Chapter- 14

216 18 6
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Subah jaldi jaldi Muskan ghar se nikli

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Subah jaldi jaldi Muskan ghar se nikli. Aaj assignment submission ka aakhri din tha.

"Allah Hafiz Ammi." Usne gharse nikalte te hue kaha aur apni cycle liye college ki taraf nikal gayi.

Jaise hi us ne apni cycle parking mein park ki, ek gaari aayi aur uske saath wali jagah par ruk gayi. Us ne ek nazar gaari ko dekha aur dil hi dil mein ek thandi aah bhari. "Sirf koi bewakoof hi apni gaari cycle ki parking mein park karega," us ne socha.

Bina kisi tawajjo ke, us ne apna samaan ikattha karna shuru kar diya, andar jaane ke liye tayar thi ke achanak peechay se ek jaani-pehchani awaaz sunai di,

"Long time no see, Little Creature," awaaz mein shokhi thi.

Uske qadam theher gaye. Dheerey se mud kar dekha, aur Zayn ko apni gaari ke saath lag kar khara paya.

"Gorilla kahinka." Dheere se kehke woh college ke andar chali gayi.

Aaj lecture kaafi tense tha. Professor Fareed ne lecture start kar diya tha, lekin Mahinoor apne seat par zyada waqt nahi bita paayi. Woh lecture ke beech mein uth gayi aur professor se baat karne ke liye haath uthaya.

"Sir, jo assignment diya tha, usmein kuch cheezein clear nahi thi," Mahinoor ne bold andaz mein kaha.

Professor Fareed ne uski taraf dekha aur thodi sakhti se kaha, "Agar aapko clear nahi tha, toh lecture se pehle poochne ka waqt tha. Ab itni der baad kyun?"

"Maine aap se poochne ki koshish ki thi, magar aap office mein nahi the."

Professor Fareed ne ek gehri saans le kar kaha, "Mujhe har student ke questions ka jawab dene ka waqt nahi milta. Agar aapko koi problem thi, toh pehle pooch lete."

"Sir, maine zaroorat samjhi aur isliye poocha. Aap se guzarish hai ke agli baar apne students ko thoda time de diya karein."

"Thik hai, agle dafa zaroor time dunga, lekin aaj ke liye baith jao."

Mahinoor etimaad se apni seat par beth gayi. 

________________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

________________________

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now