Chapter-19

171 10 0
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn lambi, mez ke siray par baitha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn lambi, mez ke siray par baitha tha. Kamra khamoshi mein dooba hua tha, sirf kaaghazon ki halki si sarsarahat aur hawa chalane wale pankhay ki halki aawaaz sunai de rahi thi. Ye meeting ek ahem faislay ke liye ki gayi thi.

Zayn ke shakhsiyat ka ek asar tha jo kamre ko kabu mein rakhta tha. Uske tez nazar har chehre ko ghuroor se dekhti, har lehja parikhti thi. Uski fitrat thi ke koi bhi ghalti uski nazar se nahin bachti thi. Har baat ka ek maqsad tha, aur har khamoshi ka ek matlab.

Lekin achanak ek mobile ki ring ne is khamoshi ko tod diya. Kamre ke mahaul ko ek ajeeb si bechaini ne lapet liya. Zayn ke chehre par ek sakht ghussa umar aya. Usne taiz lehjay mein kaha, "Band karo ye!" Uski awaaz sakht thi. Us shaks ne jaldbazi mein apne mobile ko bandh kiya, uski chehre pe dar ka asar saaf nazar aa raha tha.

Zayn ka mobile vibrate hone laga. Sab ki nazarain uski taraf ho gayin. Usne ek nazar screen par daali, Sarah ka call aa raha tha.

"Excuse me," Zayn ne dheemi lehjay mein kaha. Usne apni kursi chhori aur khamoshi se kamray se bahar nikal gaya,

Kamray ke bahar, Zayn ne call uthai. "Hello. Sarah! Tum kaisi ho?"

"Zayn..." Sarah ki awaaz khaufzada aur thaki thaki si thi. Peechay kuch halke shor ki aawaaz sunai de rahi thi. "Mujhe tumse zaruri baat karni hai. Kya tum mujhse mil sakte ho?"

"Haan, zarur. Kya sab theek hai?"

Sarah ne chand lamhon ka waqfa liya, sirf uski saans lenay ki halki si aawaaz sunai di. "Tum bas aajaao, Zayn. Main wahan sab samjha dungi."

"Main aa raha hoon," Zayn ne dheere lekin mazboot lehjay mein kaha.

Call band hone ke baad, Zayn ne ek lamha apne mobile ke screen ko ghoor kar dekha. Phir wo wapas kamray mein gaya, jahan sabki nazarain uspar tik gayi thi. Wo log abhi bhi uske pehle ka sakht lehja bhool nahi paye the.

"Sorry," Zayn ne halki muskurahat ke saath kaha. Wo wapas apni kursi par baith gaya. Sarah aur Zayn kuchh hafton se har roz milne lage the. Dono ke darmiyan har roz baatein hoti. Dono ab ek relationship mein the. Jab bhi Sarah use call karti woh hamesha apne din ki thakan ki baat karti ya toh uske career ki baat karti. Woh hamesha khush hi rehti thi. Magar aaj uski awaz kuch alag lag rahi thi.

Meeting khatam hone ke baad, Zayn seedha us jagah gaya jahan Sarah ne usse milne ko kaha tha. Uske haath mein ek bouquet tha.

Sarah ne jab Zayn ko dekha, to ek pal ke liye uske chehre par sharmindagi ka asar tha. Wo dheere se uske kareeb aai, lekin uski ankhain jhuki hui thi. Zayn ne use muskura kar dekha, lekin Sarah ka rukha rawayya usse ghabrahat mein daal raha tha.

"Sarah, sab theek hai?" Zayn ne narmi se poocha.

Sarah ne dheere se sar hilaya, lekin uski ankhain ab bhi jhuki hui thi. "Mujhe tumse ek baat karni hai,"

"Bolo Sarah. Tum mujhe sab kuch bata sakti ho," .

"Zayn... main sharminda hoon," uski awaaz toot rahi thi. "Main ne tumhara istimaal kiya. Tumhe sirf is liye qareeb rakha ke Mazhar aur ko jalan mehsoos ho, aur mujhe laga ke shayad main usay wapas paa sakoon. Main tumse mohabbat nahi karti, Zayn. Mujhe kabhi bhi wo jazbaat nahi mile. Tumne mujhe itna sab diya, aur main uska koi jawab nahi de saki."

Zayn aik pal ke liye bilkul bejaan ho gaya. Uske haath se bouquet gir gaya, gulab zameen par bikhar gaye. Usne apne chehre par koi jazba nahi dikhne diya.

"Zayn, kuch to bolo,"

Zayn muskuraya, "Koi baat nahi," usne dheemi awaaz mein kaha, "Ye meri ghalti thi ke maine woh socha jo tha hi nahi. Lekin Sarah, ab se dobara mujhe phone mat karna. Mujhe nahi pata ke agle dafa main kya karunga." Keh kar Zayn ghadi mein beth kar jane laga.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now