Woh chaaron reception pe khadi thi, Muskan ne thoda jhijhak kar receptionist se poocha, “Sarah Khan ki class kahan chal rahi hai?”
Receptionist ne bina sir uthaye pucha, “Kaunse saal ki student?”
“Third year,” Muskan ne turant jawab diya.
Receptionist ne computer screen pe kuch type kiya aur kaha, “Iss waqt woh practical lab mein hongi. Aapko third floor par jaake unka intezaar karna hoga.”
“Shukriya,” Muskan ne halka sa muskara kar jawab diya aur baaki teenon ke saath lift ki taraf chal pari.
Lift mein ek ajeeb si khamoshi thi, sirf buttons ki beep sunai de rahi thi. Jab woh third floor par pahunche, toh ek nurse se Sarah ka lab poocha. Thodi der baad, woh room ke bahar khadi thi, intezaar kar rahi thi.
Sarah kuch hi lamhon mein lab ke andar se nikli, lekin woh akeli nahi thi. Uske saath ek shaks tha.
“Tum sab yahan?” Sarah ki hairani uske chehre pe saaf nazar aa rahi thi.
“Hi, Muskan,” uske saath wale shaks ki awaaz ne sab ka dhyan apni taraf kheench liya. Muskan ne uski taraf dekha, aur ek pal ke liye uska chehra saakht ho gaya. Woh Mazhar tha—Sarah ka dost ya shayad uska crush.
“Tum yahan?” Mazhar ne halka sa mazaak karte hue kaha.
Muskan ne ek teekhi nazar Mazhar par dali, lekin kuch kaha nahi.
“Exams khatam hue hain aaj. Socha celebrate karte hain aur tumhe bhi saath le chalein,” Muskan ne apne lehje ko normal rakhte hue kaha.
“Par meri class—” Sarah ne kuch kehna chaaha, lekin Aaliyah ne uski baat kaat di.
“Sarah, hospital ke paas hi ja rahe hain. Sirf ek ghanta lagega. Please chalna,” Aaliyah ne apna masoom sa chehra banate hue kaha.
Sabne milkar ek baar phir “Please” kaha, aur Sarah muskara di.
Mazhar jo ab tak chup tha, gusse bhare lehje mein bola, “Ladies classes ka kya? Tum log aise nahi ja sakte. Aur Jana hi hai toh as a gentleman i---”
Muskan ne Mazhar ki taraf dekha aur naram lekin teekhi awaaz mein kaha, “Gentleman ban’ne ke liye bas suit pehna zaruri nahi hota, Mazhar. Akhlaaq bhi chahiye hota hai.”
Mazhar ka chehra laal ho gaya. Usne koi jawab nahi diya, bas wahan se chala gaya.
Sarah ne sar hilate hue kaha, “Chhodo, woh pagal hai. Tum log chalo, main aa rahi hoon.”
Khana khane ke baad Sarah hospital vapas chali gayi aur baki sab apne apne ghar.
______________________
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...