Chapter 20

168 13 2
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn apne office ke kamray mein baitha hua tha, samne rakhi file par khamoshi se nazar daal raha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn apne office ke kamray mein baitha hua tha, samne rakhi file par khamoshi se nazar daal raha tha. Kabhi jo kagzaat saaf sutre tareeqay se sje huay hotay thay, ab idhar udhar bikharay huay thay. Sarah ke sach ne use ek aise toofan mein dal diya tha jo ab tak uske bas mein nahi aaya tha.

Uski ek ek baat uske zehan mein ghoom rahi thi. Ek hafta guzar chuka tha us mulakaat ko. Is ek haftay mein Zayn ke andar ek ajeeb sa badlao aya tha. Woh jo har waqt apne kaam mein rehta tha, ab kisi bhi cheez par dhyan dena uske liye mushkil ho gaya tha.

Kagzaat zameen par idhar udhar bikhre huay thay, files ulat pulat ho gayi thi, aur uska maamoolan saaf mez ab kaafi buri haalat mein tha. Zayn khud apne mez ke samne baitha, uspar rakhi ek report ko bina samjhe ghur raha tha.

Darwaza dheere se khula aur Afzal andar aaya. Usne pehle to idhar udhar ki halat dekhi, phir Zayn ke paas aakar ruka.

“Zayn, Tum ab tak Sarah ko bhool nahi paaye, hai na?”

Zayn ne gehri saans li aur apne uljhe huay baalon mein haath phiraya. Kuch kehne ki zarurat nahi thi. Uski aankhon mein dikhte gusse ne saare sawaalon ka jawab de diya.

Afzal Zayn ke samne baitha, halka sa agay jhuk kar. “Maine tumhe Sarah ke baare mein warn kiya tha, yaad hai? Maine kaha tha, yeh sab kuch zyada meetha ho raha hai, zyada jaldi. Aise talluq raaton raat nahi bante.”

Zayn ne apna haath zor se mez par maara. “Chup ho jao, Afzal! Tumhe lagta hai mujhe ab yeh sab pata nahi? Tumhe lagta hai mujhe afsos nahi?”

“Main yeh sab sunane nahi aaya, Zayn. Main tumhara dost hoon, aur mujhe tumhari fikr hai. Apna haal dekho. Yeh office ka haal dekho. Yeh tum nahi ho.”

“Mujhe samajh nahi aata, Afzal, kaise aage barhoon. Baat yeh nahi hai ke woh kisi aur se mohabbat karti hai. Baat yeh hai ke usne mera istemal kiya. Mera. Zayn Akhtar ka. Aur woh uski dost. Woh sab janti hogi.”

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now