Chapter -15

275 18 0
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Lecture khatam hone ke baad sab ne mil kar bahar ka rukh kiya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Lecture khatam hone ke baad sab ne mil kar bahar ka rukh kiya. Corridor mein chalte hue, door se students ke chillane aur shor machane ki awaz sunai di.

"Kya ho raha hai?" Aaliyah ne hairani se kaha.

Woh sab be-ikhtiyaar ground ki taraf dekhne gayi. Neeche pohanch kar dekha, to poora mahol garma garam tha.

Ek larka ghutne par baitha tha, uski ungliyon mein ek chhoti si angoothi chamak rahi thi, woh ek larki ko propose kar raha tha.

Woh Zamir Qadir tha… woh larka jis se woh teen saal se pasand karti thi. Us bheer mein Muskan bejaan si khadi thi. Uska chehra beizhar tha. Zamir ke saamne woh larki—Aaiza—ek bechain si hansi ke sath apna hath uske haath mein de rahi thi.

“Main tumse shaadi karna chahta hoon, Aaiza,” Zamir ka aahista lekin yaqeen bharha lehja poora hall sun raha tha.

Muskan ki aankhein zameen par jam gayi thi.
Us waqt, bheer ke pichle kone mein Zayn khada tha. Woh itminan se woh manzar dekh raha tha. Har koi yeh manzar kar khush hota hai. Woh bhi tha. Usne cheer karte hue students ki taraf dekha. Uski nazar Muskan par ruki, Uska chehra zard tha, woh apni jagah se hil bhi nahi rahi thi.

Zayn ek pal ke liye chonk kar use dekh raha tha. Use dheere dheere sab samajh aa raha tha. Woh ladka uske liye kya ahmiyat rakhta tha woh bhi. Zayn ko use iss haal mein dekh hasi aa rahi thi. Zayn ki muskan gehri hoti gayi. Woh apni jagah se thoda aage aaya, haath jaib mein daalte hue, woh use dekh raha tha. Ek muskurahat uske chehre par thi, jo dheere se ek halki hasi mein badal gaya. Zayn ne uske dard ko khud ke maze mein tabdeel kar diya tha.

Zayn ka mann jaise is baat se sukoon paa raha tha ke Muskan ki duniya uski aankhon ke samne bikhar rahi thi. Woh phir se dheere se hansa, “Ise bhi koi pasand karsakta hai bhala? Bewakoof ladki.”

Muskan ke qadam thodasa peeche hatne lage, lekin uski aankhein ab bhi Zamir par tikki hui thi.

“Yeh ladki sachme kuchh zyada hi sochti hai,” Zayn ne zor se haste hue use dekhte hue kaha.

Zayn ab uska chehra gorse dekh raha tha. Uska har ehsaas, uska har jazba.

Jab woh ground se bahar nikal gayi, Zayn dheere dheere uske peeche aaya, Woh dheere se mutmaeen ho kar bola, “Aakhir samajh aa gaya ke asli duniya kaise chalti hai.”

Bahar nikal kar Muskan ne apne aansuon ko rokne ki koshish ki, aansoo fir bhi uske gaal se behna shuru ho gaye.

Mahenoor ne uska kandha halka sa chhua aur pucha, “Muskan, tum theek ho?”

“Theek hoon,” usne aankhein jhukaye kaha, lekin uski awaaz itni bhari thi ke Mahenoor ne bina zyada sawal kiye uska haath tham liya.

“Agar tum chaho toh—” Aaliya ne bolna shuru kiya tha, lekin Muskan ne uski baat kaat di.

“Mujhe kuch nahi sun’na! Mujhe kuchh der akela rehna hai. Allah Hafiz!”

Zayn door se khada yeh sab dekh raha tha. Usne apne aap se kaha, “Yeh ladki bhi ajeeb hai… dard ko apni zindagi ka hissa banane mein maahir.” Phir ek baar Zamir par nazar dal ke muskuraya aur wahan se chala gaya.


___________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

___________________

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now