Zayn apni gari dheerey dheerey society se guzarta raha, dil mein ek ajeeb si ghumakhti hui ghabrahat aur umeed. Aaj ka din uske liye khaas tha, Sarah se mulaqat ka din.
Community center ke parking lot mein gari roknay ke baad, Zayn ne gehri saans li aur apni collar seedhi ki. Apni tie thik karta, woh gari se nikla.
Jaise usne kadam hall ke andar rakha, uski nigah seedha Sarah tak pohonch gayi. Woh ek group of bachon ke darmiyan khadi thi, uski hansi ka jadoo poore kamray mein bikhra hua tha. Woh ek ajeeb si roshni se bharpoor lag rahi thi—ek naram, shafaf roshni jo dil ko kheench leti thi. Zayn ke labon par ek halki muskaan aayi aur woh uske paas chala gaya.
“Assalam o Alaikum,” Zayn ne naram lekin bharosa dilaane wale lehje mein kaha, ek roti hui bachi ke paas rukh karte hue. “Kya madad chahiye?”
Sarah ki nazarien uski taraf uthin. Woh muskurai. “Wa Alaikum Salam,” Sarah ne jawab mein kaha.
Dono mil kar roti hui bachi ko sambhalne lage. Sarah ne apne haathon se injection lagaya aur Zayn us bachi ke samne cartoons ka zikr karke uska dhyan kahin aur karne laga. Bachi ke aansoo dheere dheere rukne lage.
“Tumhein pata hai, mere paas ek khaas dost hai,” Zayn ne dheemi awaaz mein kaha, bachi ko apne paas sambhalte hue. “Ek cartoon dost. Tum milna chahoge?”
Bachi ke aansoo ruk gaye aur uski chhoti si maasoom aankhon mein ek chamak aa gayi. Usne sir halke se hilaya.
“Doraemon!” Zayn ne khushi se kaha. “Tumhe Doraemon pasand haina?”
Bachi ne phirse sir hilaya aur haami bhari. Ab woh muskura rahi thi.
“To phir ek wada karte hain,” Zayn ne apni chhoti ungli bachi ke samne badhayi. “Rona band, aur doston ke saath khelne chalo. Phir mein tumhein Doraemon se zarur milaunga.”
Bachi ne wada kiya aur apne doston ke saath bhaag gayi. Zayn ne muskurate huye use jaate dekha.
“Shukriya, Uss bachi ko sambhalne ke liye.”
Zayn ne uski taraf dekha. “Koi baat nahi,”
“Tum aur madad karna chahoge?”
“Bilkul,” usne foran kaha.
Poore din dono mil kar khelte rahe, hanste rahe, aur ek doosre ko behtareen tareeke se samajhne lage.
---
Zayn ki gaari road par dheemi raftaar se chal rahi thi jab phone ki ringtone ne khamoshi ko toda. Caller ID par “Ammi” likha dekh kar usne bina kisi soch ke phone uthaya.
“Ji, Ammi?”
“Beta, woh pastries le lena jo tumhare dad pichle hafte laaye thay.” Fazila ne dusri taraf se kaha.
“Wahi chocolate wali, na?”
“Haan, wahi,”
"Mujhe uss cafe ka address batayen mein le aata hun." Fazila ne use address bataya.
“Thik hai, Ammi. Main le aata hoon,” usne jawab diya aur phone rakh diya.
Ek sharp U-turn le kar usne apni gaari ek chhoti si café ke bahar roki. Pastries li aur ghar chala gaya.
_________________________
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...