Zayn aur Sarah ke beech ek nayi dosti ka aaghaz ho chuka tha, jo dheere dheere ek pur-sukoon ahang mein tabdeel ho chuka tha.
Zayn ko Sarah ki muskurahat mein ek ajeeb tasalli milti thi, aur unki baatein uske liye ek sukoon ka zariya thi. Zayn ke chehre ki wo halka sa noor uske ghar walon se chhupa nahi raha. Uske walidain ko uski shakhsiyat mein ek naya sukoon nazar aaya, aur Afzal, jo uska sabse qareebi dost tha, woh Zayn ke andar hue yeh badlav mehsoos kar raha tha.
Din guzar rahe thay, aur un dono ke darmiyan dosti ki ek mazboot deewar ban rahi thi. Zayn ke dil mein ek naye badlaav ki shuruaat ho chuki thi.
---
"Happy Birthday, Sarah!" Muskan ne pur-josh awaaz mein kaha, aur uske saath Jiya, Mahenoor, aur Aaliya ne bhi is khushi mein apna hissa dala.
"Thank you!" Sarah ne muskara kar jawab diya, woh charon Sarah ke saath ander jane lagi.
Andar dakhil hote hi, Sarah apne purane doston ke sath guftagu mein masroof ho gayi. Muskan, Mahenoor, Jiya, aur Aaliya ek kone mein khadi, chup chap apas mein baatein karne lagi.
Tabhi Muskan ki nazar darwaze ki taraf gayi, aur uska saans ek lamha ke liye ruk gaya. Zayn hotel ke darwaze se andar dakhil ho raha tha. Muskan ne foran apna chehra haath se dhak liya aur apne aap ko ek aur kone mein chupane ki koshish ki. Uske dil mein bechaini ki ek lehar uth rahi thi.
"Ye log ek dosray ko jaante hain kya?" Muskan ne apne aap se dheemi awaaz mein kaha, uska shak aur barh raha tha. Woh Sarah aur Zayn ko door se dekh rahi thi, lekin unki guftagu ka matlab samajhne ki koshish kar rahi thi.
Tabhi uske peeche se ek awaaz aayi. "Tum choron ki tarah kyun chal rahi ho?"
Muskan ka dil ek pal ke liye tez dhadak gaya. "Ya Allah!" woh zor se cheekhi, aur is cheekh ne na sirf kareebi logon ki tawajju hasil ki, balke Zayn ka dhyan bhi is taraf khinch gaya.
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...