Jaise hi woh lift se bahar nikla, office ka halla-gulla uske kaanon mein goonj utha. Afzal ka muskurata chehra hamesha ki tarah uska intezar kar raha tha. Zayn ne halki si muskaan ke sath use dekha, lekin uski aankhon mein woh hamesha wali sharaarat chhupi hui thi jo Zayn ko andaza lagane par majboor kar rahi thi.
Woh dono mil kar Zayn ke cabin ki taraf barhne lage. Afzal ki chhupi hui khushi aur chhalak rahi thi, jo Zayn se nazar chhupana mushkil thi.
“Tu itna khush kyun hai aaj? Hamesha toh mujhe taane maarte ho jab office aata hoon,” Zayn ne ek eyebrow uthate hue kaha.
“Isliye kyunki aaj main chain ki saans le sakta hoon,” Afzal ne sharart bhare andaaz mein jawab diya.
Zayn ek dum ruk gaya aur uski baaton ka matlab samajhne ki koshish karne laga. “Kya matlab?” usne mutajass hote hue pucha.
“Tumhare cabin mein koi tumhara intezaar kar raha hai,” Afzal ne zara jazbaati lehje mein kaha.
Zayn ne ek pal ke liye socha, phir turant baat samajh gaya. “Usse bol do main nahi aaya!” usne tezi se jawab diya aur peeche mud kar lift ki taraf wapas chal pada tabhi ek narmi bhari awaaz peeche se goonj uthi.
“Zayn!” Uss ladki ne peechhe se awaz di.
Zayn ne aankhein band kar ke ek gehri saans li, man hi man apne faisle par laanat bheji ke aaj office kyun aaya. Lekin ab peeche mur kar usse dekhna majboori thi. Aahista se usne peeche mur kar dekha aur samne jo chehra tha, usne uska din aur zyada mushkil kar diya.
Mahira... Uska chehra gulabi tha, muskaan har dafa ki tarah chamak rahi thi, Zayn ke liye yeh sab dekhna ek ajeeb jazbaat paida kar raha tha. Uski maujudgi Zayn ko napasand thi. Iss liye nahi ke Mahira ek galat ladki hai magar isliye ke agar woh usme thodi si bhi dilchaspi dikhata Mahira uss ehsas ka galat matlab nikal leti. Woh janta tha Mahira use pasand karti hai.
“Tum yahan kaise? Kya uncle ne bheja hai tumhe?” Zayn ne seedha sawal kiya.
“Har baat dad se kyun jod dete ho? Kya main sirf tumse milne nahi aa sakti?” Mahira ne naram lehje mein sawal kiya.
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...