Chapter- 17

183 14 0
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn ki gaari ek park ke darwaze ke paas rok di

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn ki gaari ek park ke darwaze ke paas rok di.

Gaari se utar kar usne halkay kadmon se park ke raaste par chalna shuru kiya. Jheel ke kareeb pohanch kar usne paani ki lehron ki halki awaaz suni. Usne apni aankhein band kar ke saans li aur raat ke saayeon ko apne andar mehsoos kiya.

Lekin is khamoshi ko ek zor se roti hui awaz ne tor diya. Zayn ne apni aankhein kholi aur tezi se idhar udhar dekhne laga. Uski nazar jheel ke paas ek shakhsiyat par padi, jo bechaini se ro rahi thi. Woh dhyan se kareeb gaya.

"Yeh kaun hai? Aur raat ke is peher yahan kyun hai?" Usne socha. Woh uske aur kareeb gaya. Uska chehra juka hua tha. Raat bohot ho chuki thi aur iss waqt woh kisi ladki ko wahan iss tarah rote hue dekh heran tha. Usne aur kareeb jane ki sochi aur tabhi uss ladki ne apna sir uthaya aur jheel ki taraf dekh ek baar fir rone lagi. Use yun achanak wahan dekh Zayn ke dil mein ek khauf paida ho chuka tha.

"Yeh ladki mujhe ek din maar dalegi," usne dheere se kaha aur uske kareeb pohanch gaya. Itni raat gaye, ek sunsaan jagah kisi ladki ko chehra chhupaye rota dekh koi bhi dar jata.

"Ya Allah, yeh sab log mujhe kyun takleef dete hain?" Muskan ne asmaan ki taraf dekhte hue phoot phoot kar rote hue kaha. Woh isis tarah kuchh der tak aasman ko dekhe apni har takleef bata ne lagi. Zayn chup chaap uski baatein sunta raha.

Ek Pani ki boond Zayn ke gaal par giri. Usne aasman ki taraf dekha, barish shuru ho rahi thi. Zayn ne apne aap ko wahan se door karne ka faisla kiya. Usne apne kadam peechay ki taraf mod diye.

Gaari mein wapas baith kar jab woh chalne laga, toh usne barish ke parday mein Muskan ko ek baar phir dekha. Iss baar uske dil mein Muskan ke liye koi nafrat ya gussa nahi tha balki fikar thi.

Woh sadak par bejaan si chal rahi thi. Wahin kuchh duri par do aadmi ladkhada te hue wahan se guzar rahe the. Unki chaal se yeh saaf ho raha tha ke unhone sharab pee hui thi. Zayn ki fikar ab badhne lagi thi. Bhale hi uske dil mein Muskan ke liye koi jazbat nahi the magar woh use iss taraf akela nahi chhod saka. Usne apna seat belt khola aur gadi se niche utar gaya.

"Yeh ladki mujhe pagal karke chhode gi," usne dheeme se kaha aur kuchh duri banakar uska peechha karne laga. Barish dheere dheere badhne lagi thi. Muskan ko usse koi fark nahi pad raha tha.
Use yun befikar chalta dekh Zayn ko hairat hone lagi.

"Laparwah hai yeh ladki. Koi parwah hi nahi ke kahan se guzar rahi hai, kya waqt ho raha hai, kaise log hain aas paas. Bas apni dhoon mein chale jaa rahi hai. Aur mein paaglon ki tarah iss barish mein bighta hua uske peechhe chal raha hoon. Well done Zayn." Kehte hue woh aage badhne laga. Woh kareeb 20 minute se yunhi barish mein bhigte hue chal rahe the. Zayn ko ab shak hone laga ke woh sahi raste jaa bhi rahi hai ya nahi. Tabhi Muskan ek ghar ke samne ruki aur gate khol kar ander jaane lagi. Zayn bhaagkar uss gharke saamne ruka aur dekhne laga.

Muskan ek darwaze ke peeche gaayab ho gayi. Zayn ne kuchh der tak uss darwaze ki taraf dekha aur fir wapas lautne ka faisla kiya. Use ab firse paidal chal apni ghadi tak pohonchna tha. Tez barish ki wajah se koi rikhsha ya taxi nahi mil rahi thi.  Pure raste khudko koste hue woh ghadi tak pohoncha aur ghar ke liye nikal gaya.

Ghar pohanch kar usne apne haath se boxing gloves uthaye aur punching bag ke samne khada ho gaya. Har punch ke saath uske jazbaat bag par baras rahe the. Har zor ka mukka uski takleef ko bayaan kar raha tha.

Lekin jab uske haathon aur kandhon mein dard chha gaya, toh usne ruk kar apne gham ko mehsoos kiya. Ek gehri saans le kar usne apne aap ko bistar par gira diya aur aankhon ko band kar ke us raat ke manzar ko yaad karte hue so gaya.



Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now