Chapter- 18

188 13 0
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aaj Jummah ka din tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aaj Jummah ka din tha. Khalid apne kamray se nikle. Unhone safed shalwar kameez pehna hua tha, aur haath mein tasbeeh thi jo halki si awaz ke saath ghoom rahi thi.

Baramde ke ek kone mein Fazila baithi hui thi. Unka dupatta sir se khisak kar kandhe tak aa gaya tha, lekin unka chehra pur-sukoon tha. Wo apne shauhar ko dekh rahi thi, jo masjid jane ki tayari mein the. Khalid baramde ke darwaze par khare ho gaye aur apne jooton ke tasme bandhne lage.

Tabhi drive-way se ek gaadi ki awaaz sunayi di. Zayn ghar laut raha tha. Woh tez kadam uthata, maathay par pasine ki boondein liye, angan mein dakhil hua. Uske chehre par ajeeb si thakan thi, Fazila ne usay dekha, lekin kuch na kaha.

Khalid ne Zayn ko dekhte hi tasbeeh ko haath mein daba liya aur muskara kar usay bulaya.

"Zayn, aa gaya beta? Mashallah, waqt pe aaye ho. Chalo, mere saath namaz ke liye chalte hain."

Zayn ne ek pal ke liye ruk kar apne khalid ki taraf dekha. Uski ankhon mein ek ajeeb si uljhan thi,  Uska gala sukha hua tha, lekin usne apni baat keh di.

Zayn: "dad, mujhe chhod dijiye. Main abhi nahi jaa sakta. Thak gaya hoon."

Yeh sun kar Khalid ka chehra ek pal ke liye utr gaya. Unki aankhon mein afsos tha, lekin woh jor se kuch keh nahi sake. Unhone dheemi awaaz mein kaha.

"Beta, ye sirf hamari ibadat nahi, Allah ka hukam hai. Jummah ki namaz chhodna achha nahi."

Zayn ne khalid ki baat suni, lekin usne sirf apni gardan jhuka di aur bina kuch kahe andar chala gaya.

Khalid apni jagah khade rahe, lekin tabhi Fazila uth kar unke paas aayi. Unhone shafqat bhari nazar se apne shauhar ko dekha.

"Khalid, usay majboor mat karo. Islam mein kisi par namaz ka bojh dalna mana hai. Allah ne hidayat ka darwaza khula rakha hai. Tum bas dua karo ke wo khud se is raaste par aaye."

Khalid ne ek gehri saans li aur tasbeeh ko aur mazbooti se pakad liya.

"Allah pak, mere bete ko hidayat de. Uske dil mein apni ibadat ki mohabbat paida kar de. Main bas yahi dua kar sakta hoon."

Fazila ne unka haath pakad kar kaha

"Khalid, Allah kabhi dua rad nahi karta. Har cheez ka waqt hota hai. Tumhara beta bhi ek din tumhare saath namaz ke liye khud chalega. Sabr karo."

Khalid ne sir hila diya aur masjid ki taraf chal diye. Fazila ne unke jaane tak dekha, phir angan ke kone mein khadi ho gayi. Unhone ek nazar Zayn ke band darwaze ki taraf dekhi aur nazar fer li.


Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now