Zayn apne office mein gehri tawajju se kaam kar raha tha. Lambe arse ke baad wapas aaya tha, is liye har file par ghour se nazar daal raha tha. Achanak, bahar se kuch awazain sunayi deen:
"Dekhiye, aap aise hi office mein nahi jaa sakte," kisi employee ne rokne ki koshish ki.
Zayn ne sir uthaya aur dekha ke ek shakhs zabardasti andar daakhil ho raha tha. Yeh Muskan ke walid, Azlan, the. Unka chehra ghusse se surkh tha. Peeche kuch employees aur Afzal bhi pareshaan halat mein khade the. Azlan seedha Zayn ki taraf barhe. Zayn ne hairani se uth kar kaha,
"Aap yahan—"
Lekin is se pehle ke woh mukammal baat kar pata, Azlan ka zor daar thappad uske chehre par pada. Thappad ki goonj ne mehfil ko saktah mein daal diya. Zayn chand lamhon ke liye sun ho gaya. Phir, apni aankhon mein ghussa bhar kar, usne kaha,
"KYA KAR RAHE HAIN AAP?"
Azlan ne uska collar pakad kar cheekha,
"Muskan se door raho."
Zayn ne apne collar se Azlan ka haath jhatka aur kaha,
"Pagal ho gaye hain aap?"
Azlan ne aankhon mein nafrat liye jawab diya,
"Apna mooh band karo. Tum jaise logon ko achi tarah se jaanta hoon. Ek number ke kamine aur badmaash ho."
Zayn ne ghusse se kaha,
"Aap hadh paar kar rahe hain ab."
Azlan ne tanzan kaha,
"Hadh toh tumne paar ki thi mere ghar tak aa kar, woh bhi der raat ko. Bilkul ek awara aur bigde hue ladke ki tarah."
Zayn ne teekhi nazron se dekhte hue jawab diya,
"Achha, bohot achi tarah se jaante hain aap mujhe. Aapko tajurba hai kya?"
Azlan ne dhamki di,
"Apni hadh mein raho, warna ek aur marunga gaal par. Tum aur Muskan jo kuch kar rahe ho, main sab jaanta hoon."
Zayn ne sakht lehje mein kaha,
"Khabardar jo koi fazool baat ki aapne. Hum bas dost hain, bas."
"Achhi tarah se jaanta hoon kaisi dosti hai. Main bas tumhe yeh batane aaya hoon ke jo aiyashiyan karni hain, mere ghar se door reh kar karo."
Yeh sun kar Zayn ka ghussa apni inteha ko chhoo gaya. Usne Azlan ka collar mazbooti se pakad liya aur aankhon mein aankhen daal kar kaha,
"Aapko lagta hai ke aap mujhe dhamka sakte hain? Main Muskan ka dost hoon, aur uski izzat meri zimmedari hai. Agar aapne dobara mujh par ya us par ilzaam lagaya, toh anjaam ke zimmedar aap khud honge."
Azlan ne Zayn ki aankhon mein dekha, jahan ek nayi shiddat aur hosla tha. Unhone apna collar chhuraya aur kaha,
"Tumhe iska pachtawa hoga."
Zayn ne thande lehje mein jawab diya,
"Yeh waqt hi batayega. Ab behtar hoga ke aap yahan se chale jaayein, warna mujhe security bulani padegi."
Azlan ne ek aakhri ghoor se Zayn ko dekha, phir wahan se nikal gaye. Afzal aur baaqi employees ne chup chaap yeh manzar dekha, unki aankhon mein hairani thi. Zayn ne gehri saans le kar apne aap ko sambhala, aur phir apni kursi par baith kar kaam mein masroof ho gaya, lekin uski aankhon mein ab bhi ghussa aur jazbaat ki lehr thi.
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...