Zayn ne café ka darwaza dhakela. Muskan pastry ke shelves ginne mein masroof thi. Rubina aunty aur Shayra logon ki bheed ke darmiyan customers ko serve kar rahi thi.
Woh Muskan ke paas chala gaya, jo ab tak uski mojoodgi se bekhabar thi.
“Assalam o Alaikum,”
“Main tumhari bakwas sunne ke liye free nahi hoon, Zayn. Nikal jao,” Muskan ne bina uski taraf dekhe jawab diya. Uski awaaz thandi thi, Usne ginna nahi roka, uska dhyan apne kaam mein laga raha, jaise woh Zayn ko pehchanti hi na ho.
Zayn counter ke sahare lag gaya, shaheen nazar rakhe hue. “Kya tumhe itna rude rehna zaruri hai? Main yahan ek paying customer hoon. Kam az kam pretend to karo ke tumhe meri fikr hai.”
Muskan ne ek zabardasti wali sweet si smile apne chehre par chadha di aur upar dekha. “Hello, Mr. Akhtar. Aaj hamare café mein aane ka shukriya. Jaise aap har din yahan tashreef late hain. Ab mujhe bataiye, aapko kya chahiye? Aapka chehra todne ke liye ek plate?” Usne ek plate uthai, jaise soch rahi ho ke use kya karna hai.
Zayn hansi dabata raha, uski nafrat ka maza lete hue. “Tumhe pata hai, tum fake smile mein kaafi cute lagti ho. Ek tarah se, ye tumhara signature move hai.”
Muskan ne ek pal ke liye uske hansi bharay chehre ki taraf dekha— Rubina Aunty ki tez awaaz ne dono ko choka diya.
“Muskan!” Rubina aunty ne pukara, haathon ko kamar par rakhe, dono ko gur rahi thi.
Zayn ne dono eyebrows uthaye aur ek masoomiyat bhari muskaan se Rubina aunty ki taraf dekha.
“Ab tak pastries pack nahi hui?”
“Main pack kar rahi thi, lekin ye mujhe tang kar raha tha,” usne Zayn ki taraf ishara karte hue kaha.
Rubina aunty ne Zayn ki taraf dekha. “Zayn, tumhe kuch chahiye?”
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...