Precap:
Anuj: "Yeh baat yahin khatam nahi hogi. Kal subah Daadi ko call karke unse main khud baat karunga. Aur tujhe yeh promise karta hoon... tu kabhi akela feel nahi karega."Anurag nodded slowly, his lips trembling as he tried to muster a weak smile.
Anurag: (hoarsely) "Thank you, Papa... Thank you, Mummy."
Anupamaa gently stroked his hair, her heart heavy but determined. She knew they had a long road ahead, but together, they could help Anurag heal from the scars of his past
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Note: This whole chapter is just a conversation between #MaAnAnurag wasn't feeling that well so wanted to go and sleep for a little. He went away.. leaving Anupamaa and Anuj in the living room.
Anu: "Iske past normal nahi hain... Ithna kuch saha hai Anurag ne.. bichara.. aajke baad try karenge.. usse jitna khush karsakte... Uthna khush rakhe... "
Anuj: "Ek Ek karke samajh me aaraha hai... Itna mature kese hai yeh bachcha..."
Anu: "Uske Maatha-Pita kitna achche honge na.. yeh unko itna pyaar kartha hai .."
Anuj: "Hamesha yeh bolta tha.. ki yeh uske maa-paa ke bohot jyaada close tha... Actually Anargya bhi bohot jyaada close thi... Woh bhi bolti thi... Jab yeh 3 saal ke the... Yeh pehli baar mile the... Phir bohot close hue the... Toh Anargya, Anurag ke ghar wagera jaathi thi.. bolti thi... Woh most of the time uske Ghar mei hi reh jaathi thi... Aur Anargya aur Anurag ke maa joh thi...unki bonding bohot achchi thi... Toh yeh Anurag jealous hotha tha..in a good way though.. "
Anu: "Hehe jealous hotha tha??"
Anuj: " Haan.. matlab bolti hehe..."
Anu: "Usdin aapne kaha tha.. ki Anargya ke maata-pita ne Anurag ko leke aaye the.. haina...?? Abb samaj me aaya kyun... Ghar Walo ko problems thi naa..."
Anuj: "Nahi Anu, yaad hai Anurag ne bataya tha ki uske Maama-Maami, Chacha-Chachi, aur Mausa-Mausi bhi aaye the usko apne saath le jaane ke liye? Lekin usne Anargya ke Maata-Pita ke saath aana choose kiya tha. Kyunki Anargya ke parents uske mummy-papa ke bohot close the. Aur Anargya toh uski sabse closest friend thi hi. Bola tha na, usne kabhi bhi Anargya ka saath chhoda hi nahi. Dono Gujarat bhi ek saath aaye the.
Aur jab maine Anurag ko adopt kiya tha, tab uske relatives se bhi baat hui thi. Woh log achche hai, supportive hai. Lekin Anurag aur Anargya ki bonding alag hi level ki hai. Pata hai, ek baar jab yeh 14 saal ka tha, Anargya ko chot lag gayi thi. Chhoti si baat thi, lekin Anurag ka toh haal kharab ho gaya tha. Us din maine kaise sambhala tha isse, mujhe khud nahi pata.
Aur tumne dekha tha na, Anargya ke birthday par jab Anurag nahi aaya tha, tab Anargya ka kya haal ho gaya tha? Bachpan se hi dono ekdum inseparable hai. Ese bolte hain na, thick and thin friends. Din ke 12-13 ghante toh saath hi rehte hai. Aur Anargya toh waise bhi bohot smart aur mature hai. Business mein bhi help karti hai, jab hamara business start ho raha tha. Aur abhi Anurag do ghante ke liye chala gaya tha flute le kar, toh seedha uske paas hi chala gaya hoga.. yeh pakki baat hai..
Aur ab toh dono ko ek dusre ke mann ki baatein samajhne ke liye shabdon ki zarurat bhi nahi hoti. 15 saal ho gaye, aur ek alag hi understanding hai inke beech. Anu, normally friends ke beech thodi jealousy hoti hai na, lekin in dono ke beech woh bhi nahi hai. Ek dusre ko hamesha better banne ke liye push karte hai.
For example, jab Anurag first rank laaya aur Anargya second, toh Anargya toh khushi se uska tareef karti rahi. Aur Anurag? Usne daant lagayi, 'Tareef baad mein kar, pehle mujhe beat kar!' Matlab, woh hamesha motivate karta hai use improve karne ke liye.
Aur jo Anurag ko aata hai, samajh lo wahi Anargya ko bhi aata hai—karate, dance, music, violin, veena, flute, sab kuch. Naya seekhne ke liye toh dono hamesha tayar rehte hai. Ese friendships dekh kar dil khush ho jaata hai."
YOU ARE READING
Understanding the meaning of Love with MaAn
RomanceThis is a fanfiction story of an iconic couple, #MaAn, with a better storyline and new characters.