Note: Let me know how you like this chapter... vote and comment please... it feels good to read the comments... I feel acknowledged
-------------------------------------
Previously,
And as the night deepened, the Kapadia house finally exhaled — not in grief, not in guilt, but in peace. The scars were still there, yes. But tonight, they didn't hurt anymore. Tonight, they told a story — of love stronger than pain, of forgiveness greater than anger, and of a family that chose each other again and again.And somewhere in the quiet darkness, Anupamaa's heart whispered a silent prayer — not of regret, but of gratitude.
"Thank you, Kanhaji... Mere parivaar ka dhyaan rakjo..."
---------------------------------------
"Anurag, betu... betu... mummy ko tang mat kar... jaa, jaldi se tayyar ho jaa... jao..." Anuj called out from the sofa, his voice warm but firm.
"Papa... thodi der na... ek game khatam kar raha hoon... please... nahi!" Anurag whined, his thumbs furiously tapping the buttons of his game console.
Anuj sighed and gently began pulling the device from his son's hands.
"Please! Bas last game... nahi... nahi!"
"Chal! Mummy root gayi hai... tum samajhte nahi ho... 9th standard khatam ho gaya hai, project bhi complete ho gaya hai... do mahine ki chhutti hai, samajhta hoon... par iska matlab yeh nahi ki tum manmaani karoge. Tiffin kyun nahi kiya?"
Anurag pouted. "Goa aaye hain hum... kal toh aap dono bina bataye business party mein chale gaye the... aur aake kamre mein band ho gaye... mujhe waffle khana tha kal bhi... issi liye aaj khaunga... par mummy mana kar rahi hai. Aur aap dono party ke baad kamre mein band karke kyun baithe the??"
Anuj coughed awkwardly. "Arey! Tumhe kya... woh... woh..."
"Theek hai... samaj gaya. Par maine dekha ki aap rone waale the... kya hua?"
"Kuch nahi... yeh sab chhodo. Waffle baad mein khilaunga. Ab jao, tiffin kar lo... mere liye... please. Warna mummy mujhe daant degi. Kal maine uska mood off kiya tha... aaj tum mat karna. Band baj jaayegi."
"Okay!! Shaam ko no excuse!"
"Pakka. Jaao."
"Okay, papa!" he said, kissing Anuj's cheek before dashing off.
"Mummy ko bhi sorry bol dena."
"Ok!"
A little while later, Anuj walked into their room.
Anupamaa was sitting on the bed, sulking, her arms wrapped around her thighs — her face a perfect mix of annoyance and discomfort.(Oh no... abhi bhi gussa hai... aur lagta hai dard bhi ho raha hai... Kal mujhe kya ho gaya tha... control hi nahi kar paaya... Aaj koi galti nahi karni... warna pitayi ke liye tayyar ho ja, Anuj...)
"Aa gaye aap?" she said sharply without looking at him.
"Haan, Anu... baby..." he replied softly, taking cautious steps toward her.
"Dekha aapke laadle ko? Tiffin nahi karni... waffle khani hai maharaj ko."
"Theek hai na Anu... bachcha hai... Goa aaye hain... uski chhutti hai."
"Kal bhi pata nahi kitna junk khaya hai. Aapko pata hai na, he's sensitive. Usse junk se pet kharab ho jaata hai... aapki tarah. Aap par hi gaya hai."

YOU ARE READING
Understanding the meaning of Love with MaAn
RomanceThis is a fanfiction story of an iconic couple, #MaAn, with a better storyline and new characters.