Love everywhere

8.9K 831 58
                                    

Sid got up to see that Sana was not next to him. He looked in the bathroom, she was not there to. He got ready and went in search for his jaan. She was not in the kitchen or dining hall too. Suresh was passing by.
Sid: Oye Sana kaha hai??
Suresh: Mujhe kya pata. Dundo.
Saying he went away. Viju was seating on the table having breakfast. He smirked.
Sid: Yeh Suresh kuch zyaada nhi bol raha hai?? Aur tu kya has raha hai be??
Viju: Bhai thek he to bola usne. Aap dundo na.
Sid: Abe par itna gusse me kyu rehta hai yeh aaj kal.
Viju: Vo Maa aur Mummy uski shaadi karvane me lage hai. To pura din gusse me ghumta hai. Mummy to uske aise piche padi hai, ke vo mummy ko dekh kar direction he change kar leta hai.
They both laughed.
Sid: Bichara. Par Chachi ko bada shauk hai ha sab ke shaadi karvane ka. Mere bhi kya jaan khaayi the unhone. Kahi baar mai bhi apne direction change kar leta tha, unko dekh kar.
Viju: Ha. Sab ke karvane hai, par unko khud ka beta itna jawaan hua, ghar me ghum raha hai, vo nhi dekhta hai.
Sid: Tuje badi jaldi padi hai shaadi ke. Kon hai vo??
Viju: Are aise kuch nhi hai bhai.
Sid: Us baare me to baad me baat karenge, par at this moment mujhe meri wife ko dhund na hai.
Viju: Kya baat hai bhai. Badi utaavle ho rahe ho??
Sid: Abe apne biwi ko dund raha hu. Haq se. Chal bata kaha hai??
Viju: Garden me hai.
Sid was leaving
Viju: Bhai zara sambhal ke ha, aas paas neighbors bhi hai.
Sid: Pata hai mujhe. Apne baap ko mat sikha.
He left leaving a laughing Viju behind. He entered the garden area to find Sana sitting under their favorite tree. The tree where their names were embarked. She was wearing a green color sundress. She looked up and gave him a beautiful smile. He went and sat next to her.
Sid: Tu kab uthe??
Sana: Kab ka.
Sid: Mujhe utha deti na.
Sana: Tu itni gehre neend so raha tha. Mann nhi kiya.
Sid: Bahot khubsurat lag rahi hai.
Sana: Accha??
Sid: Hmmm. Ek kiss de na.
Sana: Siddharth nhi na. Koi dekh lega.
Sid: Sana koi nhi hai yaha. Bhav mat kha de jaldi se.
Sana gave a peck on her cheeck and at the same moment mali kaka came there. He saw what just happened turned around and left. Sana felt so embarrassed.
Sana: Dekha bola tha na koi dekh lega. Tu na sunta he nhi hai.
Sid: Are dekh leya, to dekh leya. Meri wife se kiss karvai hai. Kisi aur ke wife se nhi.
Sana: Tu kisi aur ke wife se karva ke to dekh. Kiss lene aur dene laayak nhi bachega.
Sid: Are meri Maa. Example tha. Mai sach me thodi kisi aur se kiss karvaunga. Accha chal ek aur de. Aur iss baar thek se lips pe dena.
Sana: Mai koi kiss nhi dena wali ab. Chup reh. Kal mai jab maang rahi the tab tune bhi aise he de. Yaad hai.
Sid: Tuje to kiss karna aata he nhi hai. Chal room me tujhe sikhata hu.
Sana: Ha dekha maine kal.
Sid: Accha chal bhuk lagi hai mujhe. Tu ne kya khaaya??
Sana: Maine nhi kiya breakfast.
Sid: Kya?? Sana kitne baj rahe hai yaar?? Tune abhi tak kyu nhi kiya??
Sana: Siddharth mann nhi tha.
Sid; Kya matlab mann, nhi tha. Sana tu sach me bahot pareshaan karti hai. Maa aur Chachi ne bhi tujhe abhi tak kaisi nhi khilaya?? Tu aise karegi to Mai relax hoke Dubai kaisi jaa paunga baby?? Bol mujhe??
Sana: Maa aur Aani ne mujhe kaha. Par maine kaha ke mai tere sath breakfast karungi.
Sid: Tu utha deti na mujhe tu. Accha chal ab uth. Tujhe breakfast karvata hu.
They both had breakfast together. Sid made her eat properly.
Sid: Mere jaane ke baad bhi to aise he thek se khaayegi.
Sana: Siddharth jaane ke baat mat kar na.
Sid: Baby par mujhe jaana to hai na.
Sana: Nahi abhi uss baare me mat bol.
Sid: Ok. Thek hai.
Sana: Tera kya plan hai aaj??
Sid: Mera shoot hai aaj. Afternoon me jaaunga. Ek do shots baaki hai. I will come back soon.
Sid: Shaam me kahi jaana hai??
Sana: Nahi aaj nhi.
Sid: Thek hai. Tu chal. Maa ne bulaya hai. Mai mil ke aata hu.
Sana: Ok.
   He walked to Maa's room. Maa was sitting on the sofa reading a newspaper. Maa looked up and gave him a smile
Sid: Bolo Maa.
Maa: Aa bait.
    Sid sat next to Maa.
Maa: Breakfast kiya??
Sid: Hmmm. Kya baat hai Maa aapne aise bulaya mujhe.
Maa: Beta mai tujse naaraaz hu.
Sid: Kya hua Maa?? Kya kiya maine??
Maa: Sana ne mujhe tum dono ke baare me sab kuch bataya.
     Sid was taken aback. He looked at Maa.
Sid: Maa...
Maa: Tune jo nau saal pehle kiya uske leye mujhe tujpe garv hai. Tune Sana ke papa se kiya hua promise rakha, vo bhi sahi hai. Par iss sab me tune uss bacchi ko bhi to bahot dukh diya. Kuch saalo baad tu usse jaake baat to karta.
Sid: Maa vo mujse bahot nafrat karti the.
Maa: Nahi beta, vo tujse bahot pyar, karte the aur tujse naaraaz the.
Sid: Ha aap sahi keh rahe ho.
Maa: Yeh sab to pehle ke baat hai. Par tu usse mohali akele chod kaisi aaya?? Yeh teri bahot badi galti hai. Hum samaj rahe hai, vo apne kaam se ruki hai vaha. Hame to pata he nhi ke tum dono ke beech kuch hua hai, isliye vo vaha hai. Agar vo wapas nhi aati to kya, Tu nhi jaata usse manane??
Sid: Ha Maa mai jaane he wala tha.
Maa: Dekh siddharth, Sana sirf teri biwi nhi, is ghar ke bahu hai. Usko vo respect milni chahiye jo iss ghar ke bahu, betiyon ke hai. Tune yeh jo kiya, vo mujhe bahut na pasand aaya hai.
Sid: I'm sorry Maa.
Maa: Aage se khayaal rahe. Aur ab usse khush rakhne ke koshish kar.
Sid: I promise Maa.
     It was twelve by the time Sid entered the room. It was too late by the time the shoot got over. He had promised Sana he will come early. He knew she must be waiting for him.
Sana was sitting in the balcony. Sid came and sat next to her trying to take her in his arms. She pushed him not looking at him.
Sid; Aree kya hua.
Sana: Kuch nhi.
Sid: Ab bolegi bhi.
Sana: Bola na kuch nhi. Tuje kya farak padta hai.
Sid: Aise kaisi farak nhi padta. Farak padta hai. Bolna meri jaan kya hua?? Accha chod mai mere baby se puch leta hu.
He touched her belly.
Sid: Baby batao aapke mummy ko kya hua hai??
Sana: Baby bhi nhi karega tere se baat??
Sid: Accha?? Fir kya karna padega jo baby aur uski mama mujse baat kare?? Kaan pakad lu. Nahi chal aaj murga ban jaata hu.
He was about to get up when she pulled him back next to her.
Sana: Nahi mat kar aise. Siddharth kya hai yeh kitna late. Mai kab se wait kar rahi hu tera. Call bhi kiya tuje par tune uthaya nhi. Mai wait kar rahi the dinner ke leye. Par Aani ne zabardasti khela diya.
Sid: Baby shot chal raha hai. Abhi ghar ke leye nikle ke time mobile dekha. Soocha jaakar he madam ke daat kha lu.
Sana: Mujhe pata hai Dubai jaakar bhi tu aise he karega. Bhul jaayega tu mujhe.
Sid: Nahi bhulunga baby. Tuje kaise bhulunga mai. Tu to meri zindagi hai. I love you yaar.
He pulled her to him and took her on his lap.
Sid: Kiss de mujhe ek acchi se.
She gave him a slow and seductive kiss. He removed his mouth from hers.
Sid: Mat kar baby. I will loose my control.
Sana: Par mujhe tu chahiye Siddharth. Mujhe tu abhi chahiye.
Sid: Mujhe bhi baby. Par iss sab me hum baby ko kuch nuksaan na pahucha de.
Sana: Hmmm. Yeh to badi problem ho gayi hai. Mai kal doctor se baat karti hu.
Sid: Pagal hai kya?? Kya puchegi doctor se??
Sana: Vo mai puch lungi.
He chuckled.
Sid: Accha chal mai kuch kha kar aata hu. Mujhe bahot bhuk lagi hai.
Sana: Chal mai bhi chalti hu.
Sid: Thek hai chal. Tune thek se khaaya??
Sana: Hmmm
Sid: Pakka??
Sana: Ha baba.
    They both were sitting in the dinning hall. Sid was having his dinner. Suresh came with a bowl of salad for him
Sid: Suresh kya hua bhai tu itna ukhda ukhda kyu hai?!
Suresh: Bhaiya sab aapke vajah se hua hai??
Sid: Are kya hua?? Maine kya kiya??
Suresh: Aapne shaadi kar li, ab iss ghar ke log mere peeche pad gaye hai. Pehle aap the ab mai. Sab aap ke galti hai.
Sid: Are shaadi kar le bewakoof. Maan meri baat.
Suresh: Ab aap mat shuru ho jaao. Maa to thek hai, par yeh chachi to mere leye ladki bhi dekhne lagi hai. Bhabhi aapke mayke se koi ladki dundi hai. Pata nhi kya ho gaya hai iss ghar ke logo ko.
    Saying that he disappeared in the kitchen. Sid and Sana both laughed at Suresh's plight.
Sana: Bechara. Yeh Aani bhi na??
Sid: Ha bhai Chachi ka to mai jaanta hu. Mere bhi aise he piche padi rehti the.
Sana: Fir kyu nhi ke tune shaadi.
Sid: Kyuki mujhe nhi karni thi.
Sana: Kyu??
Sid: Kyu matlab. Nahi karni thi. Meri marzi.
Sana: Par kyu nhi. Reason kya tha.
Sid; Reason yeh tha, ke meri zindagi me ek aise ladki aayi thi jisse mai pichle kahi saalo se pyaar karta tha. Uski jagah koi nhi le sakta tha. Na hi mai kisi aur ko vo jagah dena chahta tha.
Sana: Kon hai vo??
Sid: Vo??
     Sid kissed her forehead.
Sid: Meri Jaan hai vo.

Unspoken Past (Completed) जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें