Part 107- Cooking for Chachi

379 33 6
                                    

As they entered the restaurant, everyone smiled teasingly at them.

Mini: 🤨

Neil: 😒What?

Geeta: Badhai ho sir, aapki shaadi pakki ho gayi.

Neil: Tumne inhe bhi bata diya?

Mini: Nahi, shayad Dadi Amma ne...

And all of a sudden, Simpi came and hugged her.

Simpi: Congratulations Mini Madam!! Mujhe badi khushi huyi ki aap bhi shaadi kar rahe ho.

Mini: Thank you Simpi Didi.

Simpi: Arrey sir, aapko bhi, Congratulations!!

Neil: Thank you. Ho gaya sabka, ab kaam shuru karein?

Simpi: Ab toh khush ho jao sir, aap toh abhi bhi gusse mein ho. Aapki shaadi..

Neil: Abhi 6 mahine hain. Bahot time hai.

Simpi: Lekin sir engagement...

Neil: Usme bhi time hai. So please, everyone get back to work.

Khursheed: Jaa rahe hain janab, aap shant ho jayiye.

They all went to kitchen.

Mini: Kabhi toh pyaar se baat kiya karo.

Neil: 😒

Mini: Whatever. By the way, raat ko ghar par bhi khana tumhe hi banana padega, remember?

Neil: Yes I do. Tumhari Chachi ji ko bhi toh pata chale, Neil Oberoi ki ungliyon ka magic.

Mini: Unhe yeh tumhara magic vagic nahi dikhega.

Neil: Let's see.

Later, in the evening, as they entered the house..

Chachi: Arrey aa gaye tum. 😃 Manne toh laga tha ki je sirf rasoiya hai, mai naa janti thi ki je mhare Hanuman ka hone wala damad hai.

Neil: Wait, what?

Chachi: Arrey, je toh ghani ingreji bolta hai. Chhori, damad ko ke kehte hain ingreji mein?

Mini: Son in law... 😬

Neil: I know 😒

Chachi: Tu aa naa, mhare paas baith.

Neil: Arrey but I have to.. matlab mujhe khana banana hai abhi, aapke liye. Aapne kaha tha naa subah.

Chachi: Manne tab tak pata naa tha ki tu mhare Hanuman ka hone wala damad hai. Ab damad se koi khana banwawe hai ke? Tu mhare paas baith, chhori tu jaa ke khana bana.

Mini: Kya, mai?

Neil: Nahi nahi. Abhi toh shaadi bhi nahi huyi, I will go and prepare..

Chachi: Naa naa, tu baith. Chhori tu jaa, waise bhi chhoriyo ko khana banana aana chahiye.

Mini: Haan, toh mai bana lungi. I know how to cook.

Neil: 😒

Mini: What?

Neil: Mujhe zeher nahi khana.

Mini: Oh hello! Don't forget Chef Neil Oberoi, tumne hi cooking sikhayi thi mujhe.

Chachi: 🤨

Mini: 😑

She went towards the kitchen.

Chachi: Tu bata chhore, tu Punjabi hai?

Neil: Hanji.

Chachi: Thare ko punjabi bolni aave hai?

Neil: Ofcourse. Agar mai punjabi hoon toh punjabi toh bolunga hi naa.

And something fell in the kitchen. He stood up, concerned for her.

Chachi: Arrey woh kar legi, tu baith jaa. Manne yo bata, thari maa bhi kaam karti thi ke, jaise mhare Hanuman ki lugai karti thi?

Neil: Hanji. Mere papa ke saath, aur waise woh bachho ko music.. matlab sangeet bhi sikhati thi.

Chachi: Thari maa gaati bhi thi, phir toh tu bhi gaata hoga. Manne acha sa ek gaana suna.

Neil: What? 😯😬

Chachi: Haan haan, suna.

Neil: Arrey par...

Mini (from the kitchen): Ouch!!!

And some more utensils fall. Neil stood up and was about to go but Chachi held his hand.

Chachi: Ke ho gaya? Usko karne de.

Neil: Arrey aapki alag zabardasti hai yaar. Leave my hand.

He ran upstairs and came to her.

Neil: What happened? You are fine naa?

And he noticed a burn on her hand.

Neil: Yeh kya kiya Madam?

Mini: Yaar yeh cooking itni messy kyun hai? Mujhse kabhi theek se nahi ho paati.

Neil: It's okay. Tumhe kya zaroorat hai cooking karni ki? You come here.

They went to her room. He gave her an ointment.

Neil: Yeh lo. Apply this and baithi raho aaram se.

Mini: But khana..

Neil: Mai hoon naa. I will do it.

He prepared everything.

Neil: Yeh lo, khila do apni Chachi ji ko.

Mini: Arrey but you have prepared this. Go and serve yourself.

Neil: Tum chalo toh.

They both went downstairs and served the food to her.

Chachi: Waah, kya khana banaya hai tanne chhori.

Mini: Yeh maine nahi..

He held her hand to stop her from saying anything further. She looked at him.

Neil: 😉

Mini: 😐

Neil: 😒

Mini: 😑

Neil: ☺️

Mini: ☺️

Chachi: Kamal kaa khana banaya hai.

Neil (whispered): Dekha, I told you, Neil Oberoi ki ungliyon ka magic, kaam zaroor karega.

Mini: 😏

Chachi: Acha chhori, mai toh kal jaa rahi hoon.

Mini: Really? 😃

Neil: 😬

Mini: 😶 Matlab, sach mein? Itni jaldi kyun... Abhi toh aayi hain aap.

Chachi: Mai toh mhare Hanuman se milne aayi thi. Woh toh raha nahi. Isliye mai bhi wapas hi jaa rahi hoon.

Mini: Oh.

Next morning,

Kirpal: Sahab ji!!! Mubarakaan ji mubarakaan.

Neil: Shh! Dheere bol.

Kirpal: Oh ji ab kya dheere bolna. Ab toh viyah kar rahe ho aap. Sabko pata hai. Mujhe toh bulaoge naa, mai tuhada jigri yaar..

Neil: Haan haan, I know. Tujhe kyun nahi bulaunga. Lekin abhi shaadi nahi ho rahi, there's time.

Kirpal: Koi baat nahi sahab ji. Akhir aapne Mini Madam ko impress kar hi liya.

Neil: Kya matlab?

Kirpal: 😁

Neil: Aise mat has. Aur abhi tu jaa, restaurant jaane ka time ho gaya hai, mujhe taiyaar bhi hona hai.

Kirpal: 😁

Neil: 🤨... ☺️

Happy Reading. ❤️

Shukriya ❤️🌷| MiNeil's love story | Patiala Babes (Complete)Where stories live. Discover now