Part 16- Neil's behaviour

1K 62 11
                                    

Khatri's house

Khatri: Oh kammo ji, aapka dimag toh kharab nahi ho gaya. Oh kya zaroorat thi aapko court mein jaa ke gawahi dene ki. Aur toh aur aapne uss Neil ke liye apne pati ko bhi jhutha sabit kar diya. Mere pyaar ka yeh sila diya aapne? (dramebaaz🙄)

Kammo: Neil ke liye nahi Khatri ji, aapke liye. Taaki aap jhuth ke bojh se mukt ho sako. Arrey, aapke liye kitne jhuth, kitne ilzaam bardasht kiye maine. Aur aapne ek baar bhi sach ka saath nahi diya? Maine aapse surrender karne ko kaha tha, aur aapne toh ek aur paap kar diya.

Khatri: Arrey kya surrender surrender? Piche hi pad gayi. Oh Kammo Rani, aap kyun nahi samajhte...

Kammo: Sab samajhti hoon mai Khatri ji. Par aapko koi fark nahi padta naa, thik hai.

She placed some papers and signed on them.

Khatri: Oye divorce papers? Yeh kab le aaye aap? Dekho Kammo Ji, mujhe aisa mazak pasand nahi hai.

Kammo: Aur naa mujhe pasand hai. Yeh court se banwakar layi hoon. Aapko surrender nahi karna naa, toh Kammo ka saath bhi naseeb nahi hoga aap ko. Mai jaa rahi hoon.

She went at Naeem Bi's house. Khatri thought a lot about his misdeeds. Kammo's absence left a void in the house as well as in his heart. He realised his mistakes and began to repent.

Haveli

Arya: Tumhara mood acha hua Neil?

Neil: Mera mood toh ekdum thik hai chhoti madam.

Arya: Jhuth mat bolo, maine dekha tha tumhe. Par koi baat nahi, ab toh tumhare saath Veer Balika hai naa?

Mini widened her eyes. Arya kept her hands on her mouth.

Arya: Maine kuch nahi kaha.😁 Chalo tum bhi smile karo. (He smiled a bit) Aise nahi, jaise mai kar rahi hoon waise😁

Mini: Chhutanki, let's go now. We should sleep and Neil bhi tired hoga.

Arya: Okay. Par, tum dono kal mere saath kheloge aur pura din mere saath rahoge. Tumne promise kiya tha.

Mini: Haan thik hai. Chalo, go to your room and sleep. Good night.

She went to her room. Mini was about to go when Neil held her little finger. She turned to him.

Neil: She understood? How?

Mini: Because I explained. Ab mai explain hi itna acha karti hoon you see.

Neil: Thank you so much, Mini.

Mini: Arrey, aise kaise kaam chalega. And yeh kya itne formally thanks bol rahe ho? (He just smiled) Aur ab yeh chhoti si smile de rahe ho. What is your problem, Neil Oberoi?

Neil: No nothing, I just..

Mini: Good night.

Neil: Good night.

She went to her room and sat on the bed.

Mini (to herself): Kya ho gya hai isko. Itna zyada affect ho gaya uss baat se ki thik se react hi nahi kar raha. Mazak nahi kar raha, jhagda nahi kar raha. Kuch soch Mini...Arrey haan, kal Arya ke saath pura din bitana hai, chahe thoda bahot hi sahi par, isko thik karna padega. Be ready, chef Neil Oberoi.

Morning ☀️

Dadu, Biji and Naeem Bi came.

Dadu: Mini.. Mini..

Mini: Dadu.. aa gaye aap.

Dadu: Meri bachi ne ek jang jeet li. Bahot bahot mubarak. Woh lambu kahan hai?

Mini: Apne room mein. Aap toh jante hain Dadu, jo bhi kal end mein hua, usse thoda affected hai.

Biji: Samajhte hain hum Mini. Bahot mushkil hai uske liye. Acha yeh bata, tune Arya se kya kaha.

Mini: Kya kaha matlab? Sab kuch kaha.

Naeem: Arrey Nigori, sab bata diya.

Mini: Aap chinta mat karo Dadi Amma. Woh ache se samajh gayi hai.

Neil came.

Dadu: Arrey, yahan aao.

He came towards him.

Neil: Ji Dadu.

Dadu: Case khatam ho gaya aur tum jeet gaye bhyi. Mubarak ho. (He hugged him, Neil smiled a bit) Beta, mai janta hoon jo bhi hua, par isme tumhara toh koi dosh nahi hai naa. Tum kyun pareshan ho rahe ho. Uss bachi ko tum apni beti ki tarah pyaar dena, aur dekhna kaise khushi milti hai tumhe.

He looked down. Mini was noticing his unusual behaviour.

Naeem Bi: Chal Mini, mai chalti hoon. Kammo ko dekhna hai zara.

Mini: Kammo Aunty aapke ghar pe hain?

... Kammo Ji, oh bahar aa jao bhyi.

They all went outside. Khatri was standing outside the house.

Khatri: Kammo ji, sirf aapki khatir, mai surrender karne ko taiyar hoon. Ab bahar aa jao.

Kammo came outside.

Kammo: Baaki sab baad mein, pehle maafi maango Khatri ji.

He came to Mini.

Khatri (with joined hands): Mini, maafi mangne ke kabil toh nahi hoon mai. Par kammo ji ne kaha hai, sorry. Mujhe maaf kar de. Mai e jo bhi kiya, teri maa... matlab Babita ji ke saath, tere saath, tum sabke saath uss sab ke liye. ( Mini raised her eyebrows 🙄🤨) Oh otherwise mat lena ji. Sach keh raha hoon. Matarani ki kasam.

Mini: Maaf kiya, khatri... uncle, Kammo Aunty ke liye bol rahi hoon. Par, abhi ek insaan aur hai jisse maafi mangni chahiye.

Khatri: Oh haan haan, Neil Oberoi. Mujhe maaf kar dena maine jo kuch bhi pehle kiya uske liye bhi aur jo abhi kuch din pehle kiya uske liye bhi. Sorry.

Neil: It's okay.

Everyone was happy but Mini could sense Neil's sadness and difference in behaviour. Khatri left for police station to surrender and kammo went along with him. He got arrested for the multiple crimes he had committed.

How will Mini help Neil to overcome his problem? Do comment. Stay tuned for the upcoming parts.

Happy reading. 💖

Shukriya ❤️🌷| MiNeil's love story | Patiala Babes (Complete)Where stories live. Discover now