Part 119- An assumption

375 34 4
                                    

After sometime the rain stopped. But they both weren't sleepy at all, quite unusually. Mini was lost in thoughts and Neil was, very obviously aware of it.

Neil: Mini...

Mini (coming out of her thoughts): Hmm?

Neil: You're fine naa?

Mini: Yeah...

He just looked at her, deep into her eyes, and she knew that she can't hide her thoughts from him.

Mini: Yaar I'm very tensed. I'm sure ghar pe sabne yeh riots wali news dekhi hogi. Sab itne worried honge humare liye and we can't even inform them about our safety. And Arya, woh toh...

Neil: Arya will stand strong. I'm sure of this. Ofcourse, situation jaisi hai uss hisaab se toh ghar par sab worried honge hi, I know. But Arya, woh toh itni different hai ki woh khud sabko sambhal legi. She is YOUR sister, Mini. Bilkul tumhare jaisi hai. Khud ke baare mein kam aur dusro ke liye zyada sochne wali,  she's very strong.

She nodded with a little smile on her face.

Neil: Don't overthink, cheer up. Sab theek ho jaayega.

With these words, he held her foot and very slowly and with utmost delicacy, began to give her a foot massage.

Mini: Neil...

Neil: Shh! Ab agar tum itna stress logi toh mujhe kisi tarah se toh tumhe relax karwana padega.

Mini: ☺️

Neil: ☺️

On the other hand, the statements made by both of them were coming true.

Naeem Bi: Arrey Lala, tu toh keh raha tha ki tujhe sab pata chal jayega. Subha se raat ho gayi.

Biji (crying): Humare bachhe theek toh honge naa. Tumhe kuch bhi pata nahi chala?

Lala: Oh ji maine puri koshish ki pata lagane ki par koi surakh hi nahi mila.

Dadu: Arrey kisi gunah ke surakh nahi dhundne, Mini aur Neil ke baare mein pata karna hai.

Bobby: Dadu, mera ek dost hai, usne bataya ki jahan police ki car mili thi usse aage ek jungle aata hai. Yahaan se kaafi door hai.

Dadu: Lekin jungle mein kaise chale jaayenge.

Biji: Jungle!! Hey matarani, mere bacho ka khayal rakhna.

Arya: Biji, aap ro mat. Aapko pata hai naa Veer Balika bahot brave hai. Woh sab kuch handle kar legi. Aur phir Neil bhi hai uske saath. Woh toh uska hero hai naa. Woh dono jaldi wapas aa jaayenge. Khana kha lo naa Biji, please.

Everyone smiled at her and Biji hugged her.

Biji: Chalo aap bhi mere saath khao. Theek hai?

Arya: Okay.

Naeem Bi: Yeh sab uss Allahmare Rajveer ki wajah se hua hai. Arrey, naa woh milta, naa yeh sab kuch hota.

Sukh: But ab toh ho gaya naa Naeem Bi. Jitna mai samajh paayi hoon, I think there's a mystery.

Bobby: Matlab?

Sukh: Matlab, yaad hai jab Mini ne bataya tha ki usne suicide kiya aur phir investigation huyi. Pata nahi, I believe ki iss pure case mein kuch toh aisa hai jo abhi tak humein nahi pata, infact khud Neil aur Mini ko bhi nahi pata.

Preet: Correct. Aur waise bhi, yeh wohi inspector hai jo uss din unhe arrest karne aaya tha. Kahin yeh sab kuch planned toh nahi?

Sukh: For sure it's planned. Infact, RV ki body ko bhi yehi log le kar gaye the so....

Bobby: Toh tere hisaab se.....

Sukh: Haan, I think he's not dead. He was just pretending his suicide. It's possible. Well, I might be wrong lekin jis qism ka insaan woh tha yaa hai, mujhe nahi lagta woh itna bada bewakoof hoga ki suicide hi karle.

Bobby: Tu kitni intelligent hai Sukh. 😁 How lucky I am....

Everyone: 🤦🏻‍♀️

Sukh: 😶 Haan toh agar yeh baat sach hoti hai, toh automatically they'll get released.

Preet: Lekin agar woh RV zinda hai bhi, toh mujhe nahi lagta ki woh yahan hoga. Ab usko bachne ke liye toh chhup ke rehna hoga naa?

Sukh: Hmm, let's think about the same.

Next morning, MiNeil's side.

They were sleeping, leaning towards each other, though very uncomfortably in the ruined cottage but in the comfort of each other's presence. And our sleepy heads were unaware of the presence of the inspector and his force.

Inspector: Yeh rahe dono mujrim. Inke liye arrest warrant nikla hua hai, murder ka case hai, jungle mein pade huye hain lekin koi fark hi nahi hai. Aaram se so rahe hain.

He poked Neil with his stick, once again.

Neil (still in sleep): Kya yaar!! Subah subah tang karne aa jaate hain.

Inspector: MR. NEIL OBEROI!!!

Neil (waking up): WHAT?

Inspector: Chillayiye mat!

Neil: Ajeeb hai, pehle khud chillate hain phir kehte ki chillao mat.

Inspector: 😐 Ms. Mini ko bhi uthayiye.

The policewoman patted on her shoulder to wake her up.

Mini (sleepy): Yaar Chhutanki! Don't disturb me, mujhe thodi der aur sona hai. Rani Di ko kaho mere liye chai bana dein.

Neil: 🤭 Mini!

Mini (waking up): Haan! Neil Oberoi subah subah kya prob....

She noticed the police.

Inspector: Ab jail mein pilate hain aapko "chai". Chaliye, le kar chaliye inn dono ko.

What's gonna happen next? Try to guess.

Happy Reading. ❤️

Shukriya ❤️🌷| MiNeil's love story | Patiala Babes (Complete)Where stories live. Discover now