Sidharth’s P.O.V
Isne inta asani se na kar diya akhir aise Kun? muj itna to pata hai wo chahti bahut kuch hai par bolti nai hai, Kya karun uske muhn se niklawaun ya Thora time rukun may be wo khud he, possible hai wo khud he bataye. Par ajeeb baat hai usne ek baar bhi ye nai bola main sochke bataun ya Kya seeda naa bol Diya. Aur dusre he minute aise behave kiya jaise kuch bhi nai hua hai. Weird but main bhi real reason janke he rahunga uske bina to manne Wala nai hun main.
Other side
Shehnaaz’s P.O.V
Ye Sidharth Kya bol rahe the shadi lagta pagal ho gaye hai, aise kon bolta hai, aur main kabi Han nai bolungi aisa nai hai un main koi kami par isliye kunki main nai chahti Meri wajh se koi unko kuch bhi bole, wo bolenge to nai par kahin bhi leke Jane main bhi kitni embarrassment hogi unko, unko waise bhi bahut se achi ladkiyan mil jaygi Jo unke liye ek dam perfect ho, main perfect nai hun unke liye. Par muj aisa koi mil raha hai to, par main selfish nai ho sakti na, Kal ko unke bache bade honge unko bhi embarrassment nai hogi unke friends ke samne, nai main aise nai Kar sakti, acha he hoga agar ye muj firse na he bole iss topic pe. Par ye bhi Sach hai na I too want to marry, I too want to experience that beautiful bond irrespective of any thing, par wo insaan muj bas ye na feel karwaye ki main ye nai Kar sakti ya wo. Agar wo insaan mere Mann ki samjta hai aur muj waise accept karta hai to I will do anything for that person wo bhi Bina ye soche ki usne ye Kiya wo Kiya aisa hai ya Kya bhi, agar wo muj Meri imperfection ke sath accept karega to I will also accept the way person is.
After that few days passed he was only observing her, other side she thought he forgot about that topic. But finally when they both were in garden, he asked
“Tumne uss bare main Kya socha”
“Maine naa to bol Diya tha apko fir Kun wahi baat Kar rahe ho”
“Dekho shehnaaz muj pata hai kuch to baat hai Jo tumhe rok rahi hai, tumhe jab feel ho share karna hai tum Kar sakti ho aur tumhe ye bhi pata hai main judge nai karunga”
“Par aap muj he Kun bol rahe shadi ke liye apko muj se jyada perfect ladki mil jaygi, then why me”
“Main agar bolunga to abi line bhi lag jaygi par wo mere ya mere bacho Meri mom ke liye nai paison ke liye hongi, aur muj itna to tumpe trust hai ki tum unn ladkiyon jaisi nai ho aur mere bachon ko tum bahut pyar dogi aur rahi baat humari tumhe jitna time chahiye tum lena hum friends to hai he aur friends banke bhi rahe sakte hai”
“Aur agar uske baad bhi main kahun Meri na hai to”
“Agar uske baad bhi naa hai to muj bas asli reason batana na bolne ka”
“Par muj shadi he nai karni I don’t want marry”
“Maine reason pucha yaar wo Bata do, dekho ho to tum ladki aisa to hai nai ki tum straight nai ho, you also have feelings, so simply Bata do, kya muj main koi kami hai ya Meri koi baat tumhe nai pasand isliye Mana kar rahi ho”
“Maine aisa kab kaha aap main kami hai Ulta aap to ek dam perfect ho kisi bhi ladki ke liye bas gussa apko bahut jaldi ata hai” she said with small chuckle.
“Ohho Matlab mere temper issue ki wajh se tum Mana kar rahi ho”
“Are nai baba Maine just apko bataya, aur Meri na isliye hai kunki muj shadi he nai karni”
“Bhav khana band Koro aur uski jagh ache se khana khao, par abi muj seeda jawab do”
“Fine to suno main nai chahti ki future main apko ya apke bachon ko Meri wajh se sharminda hona pare kisi ke bhi aghe”
“Ye Kya bakwas boli tumne iska explaination de sakti ho”
“Yaar please aap gussa mat karo maine bas Jo past main experience Kiya hai uske liye bola, people like to feel embarrassing walking along with me”
“When I have made you feel like that just tell me the one incident since we are speaking” he asked being exasperated.
“You didn’t had made me feel that way it’s just I won’t will be liking that anybody say anything to you” she said sadly
“Look shehnaaz no one is perfect in this world, ye tumhe bhi pata hoga. Jaise humare hath ki panchon ungliyan same nai hoti waise he log bhi same nai hote, to Jo galat log aye zindgi main uske liye soch ke apna future Kun kharab kar rahi ho, tum khud bolti ho muj khulke jeena hai sab kuch karna hai to fir past ko leke dukhi hone se to wo sab nai hone Wala na.
Tum muj perfect bol rahi ho main bhale he physically perfect hun but uski jagh kisi aur baat main Kam hun jaise muj gussa jaldi ata hai aur bhi bahut kuch to Kya main bhi jeena chhod dun” he said trying to make her accept the point.
आप पढ़ रहे हैं
DOSTI PYAR HAI
RomanceMain Male Lead is Divorced With Kids And Main Female Lead is Physically challenged peep inside to watch how they will fall for each other ❤️❤️