"Jaan kya hua aap aise kun ro rahe ho, kisine apko kuch bola? Kahin chot lagi hai?"
She was not answering to make them more worried.
"Jaan bolo na aise dara kun rahe ho aap"
"Acha aap room main jao main apse wahin baat karta hun"
"Sidharth yahin baat kijiye please muj bhi batao jaan kya hua hai aap aise kun ro rahe ho?"
"Papa udar na wo do anuty baat kar rahe the that mumma ko dusra baby kun chahiye tha, aur ab usko apna baby ho jayga to fir wo apne sautele bachon ko thori na dekhegi aur bol rahe the chal fir nai paati ache se to abort karana tha na baby ko aur ye koi umar hai kya baby karne ki, sab kitna pareshan ho gaye honge usko sambhalne main. Aur wo dusri aunty bol rahi thi kab tak kisi aur ke bache sambhalegi apna nai chahiye hoga kya, upar se ye to dekh wo intimacy kar payi hai. Aur jab maine bola aise kun bol rahe ho to muj bolti hain ki teri maa teri maa nai hai aur fir chali gayi"
She again started crying.
"Papa wo aunty aisa kun bol rahe the teri mumma teri nai hai, bolo na mumma aap meri mumma ho na wo jhuth bol rahe the aur wo aunty bure hai na"
"Bache pahle to aap aise rona band karo aur dusra abi to apne kaha wo aunty buri hai to fir aap uski baat pe kun believe kar rahe ho wo aunty jhuth bol rahe hai, ye apki he mumma hai aur hamesha apki he rahegi samja aur aise mera jaan rondu kun hota jaa raha hai wo to bolta hai wo nai rota"
"Main nai roti papa aur merko rondu mat bolo aap"
"Aww meri jaan par abi to aap ro rahe ho to hue na rondu"
"Shonna bacha idar aao aap mumma ke pass aur Sidharth aap meri Shonna ko rondu mat boliye theek hai na warna acha nai hoga"
This made Diyu giggle.
"Aur shonna ek baat hamesha yaad rakhna main he apki mumma hun aur ye apke papa aur apko koi dur nai karne wala aur hum sab apse bahut sara pyar karte hain abi ye apke Baa ko pata chalta na aap aise kisi ki baten sunke ro rahe ho to pata hai na kya hota"
"Mumma mat bolo aur Baa ko bhi nai batana warna wo mujse gussa karenge upar se baat nai karenge alag se"
"Main to bataunga apke Baa ko wo bhi dono ko"
"Mumma yaar bolo na papa ko aisa thori na hota hai"
"Shonna wo nai bolenge kuch bhi apke Baa ko but aap promise karo aise kuch bhi sunke aap aise rone nai baith jaoge aap to mere itne samjdar bache ho fir bhi aisa kiya"
"Firse nai hoga mumma promise muj laga wo aunty sach bol rahi hai isliye muj rona aya"
"Jaan abi apko bataya na to bas ab bhul jao aur chalo andar apko bhukh lagi hogi na"
"Nai papa bhukh nai lagi"
"Shona firse bahar se khaya" shehnaaz asked in straight tone
"Mumma aaj na bahut dino baad he khaya tha sachi"
"To do din pahle Chinese restaurant main kon gaya tha"
She bit her tongue.
"Mumma yaar aap aise mere piche mushtande kun bejte ho"
"Baby don't change the topic"
"Acha theek hai next one-week tak no bahar ka khana"
"Dekhte hai kitna follow karte ho"
"Hehehehe"
"Aap dono ka ho gaya ho to andar chalen ya yahin rahena hai"
"Chalo kisne roka hai apko" both said at same time
They went inside and he made her comfortable on bed and then went to check out on Diyu. He after some time came back to room and found her lost in thoughts.
"Ab kya soch rahi ho baba"
"Sidharth kya main sach main selfish ho gayi hun baby ko rakhke"
"Ab tu agar faltu ke khayalon main batkegi na main chamat marunga samji na"
"Par Sidharth ye to sach haina main selfish ho gayi upar se muj idea thi muj bahut takleef hogi uske baad bhi"
"Pagal ladki aise thori si takleef sabko hoti hai tu ekloti nai hai samji"
"Par Sidharth logon ko aise kun lagta hai badi age main baby nai kar sakte aur jo handicapped hai wo bhi nai kar sakte"
"Log na pagal hain aur unke pass koi kam danda nai hota dusron ki zindagi main dakhal andaji karne ke alawa samji unko na bas gossip karne ke liye topic chahiye aur wo bhi roz naya topic aur agar nai milta to unka din khatam nai hota"
"Sidharth agar kabi bhi Jaan ko pata chala to"
"Aisa kabi nai hoga aur main kabi nai hone dunga ye theek hai"
"Sidharth main apne teeno bachon ke bina nai rahe paungi sachi"
"Jaan koi alag nai kar raha unhe theek hai na"
"Promise karo"
"Promise meri jaan"
"Acha apne doctor se baat ki"
"Haan unhone kaha hai thori takleef hogi aur painkiller likhe hai agar bahut jyada pain hua to he lena hai"
"Main Delivery ki baat kar rahi hun"
"Haan uske liye unhone surgery he boli hai aur date bhi bata di hai"
"Sidharth use humare baby ko koi nuksan to nai hoga na"
"Na baby aur kal hum hospital jaa rahe hai"
"Kun"
"Baby ULTRA SOUND ke liye"
"Finally hum baby ko dekh paynge kal"
"Haan jaan hum kal finally apne baby ko dekh paynge"
"Sidharth sab theek hoga na"
"Haan meri jaan sab theek hoga"
Day passed, it was next day and they were ready to leave as soon they came out of room trio was waiting for them to accompany.
"Aap teeno kahan jane ke liye ready hue ho"
"Hum apke sath jaynge" Arshu said
"Aur aap teeno ko kisne bola hum leke jaynge"
"Aap ke bolne ka humne wait he nai kiya khud he ready ho gaye" Akhil said this time
"Papa Mumma jaldi chalo late ho jayga, muj chotu baby ko dekhna hai to jaldi chalo"
Sidnaaz looked each other, are they for real.
"Bacha party main aur Sidharth hospital jaa rahe hai kahin gumne nai"
"Mumma humne kab kaha hum gumne jaa rahe hai"
"Arshuuu"
"Sidharth rahne dijiye nai sunege teeno isse acha chalo kunki main nai ruk paa rahi jyada"
"Theek hai chalo aur bachon hospital main kuch bawal nai"
Promo:
"What do you mean Doctor" he almost shout
आप पढ़ रहे हैं
DOSTI PYAR HAI
RomanceMain Male Lead is Divorced With Kids And Main Female Lead is Physically challenged peep inside to watch how they will fall for each other ❤️❤️