Anirudh's pov...
Shaniwaar tha, nahakar hanuman chalisa kiya..aur man mein socha ki, kash bajrangbali mil jaye hame hamari anarkali..! Aur nikal liye library, Mein aksar library jaaya karta tha..jab bhi notes banane hote the..ya hindi sahitya ka upanyas padhne ka man ho tab.. mein uss din library mein gaya aur dekha ki gol Mez par chashmish kuchh padh rahi thi.

use dekhte hi man hua ki ek baar jor se, HAR HAR MAHADEV! ka jaykara laga de.. par agle hi pal yaad aaya ki Birla mein nhi hai.. library mein hai hum.. vaise uske Mez par koi nahi tha..mann toh hua ki seedha uske saamne jaa kar hi baith jaye.. par yaad aaya ki jab uss raat mene use chashmish kaha tha toh esi baurahi thi ki,hamari kidney nikaal legi, hamne dusri jagah baithne mein hi bhalai samjhi, baitha toh mein dusri jagah tha, par thi voh mere bilkul saamne, thoda bhi daaye dekhti toh hame dekh leti, par..
chashmish toh Puri padhaku type thi, lag raha tha ki aaj hi pura ratta maar ke jayegi. khair, hamara man toh lagne se raha, toh hamne bhi kholi kitaab aur saamne rakha aur ek hath mein pen liya. bakayda pair pasrakar, Kursi par sarkari daftar ke babuo ki tarah fail ke chashmish ko dekhne lage. boht hi pyaari lag rahi thi aaj voh! Jeans pehna tha aaj usne.. full sleeves ka topa waala sweater pehni hui thi..
aur uss tope ke rassi ko kas kar bandha hua tha gale se, use dekhkar esa lag raha tha ki jab ghar mein chhota baccha hota hai toh thand se bachaane ke liye ghar waale use esa pack kar dete hai jaise kinaare se panni lagi ho bichh mein, chehra ubhar ke dikh raha ho.. bilkul isi tarah pyaari si chhoti bacchi lag rahi thi woh.. mein masti se use bas dekhe hi jaa raha tha.. mujhe koi fikr nahi thi ki ese hafsiyo ki tarah dekhte..log kya bol rahe hai..voh apne ek pair ko dusre pair par chadhaye padhte padhte.. kabhi apne pen hotho pe laati.. yeh sab dekhkar mera uspar pyaar badhta hi jaa raha tha.. bas soch raha tha ki, bhole kisi tarah yeh bholi hamari ho jaaye.. shiv ratri vrat rakh lenge.. bhang dhatura bhi chadha denge..bas kisi tarah mila do prabhu.. tabhi voh meri taraf mudi aur meri taraf dekha..mein use abb bhi dekh raha tha.. dekh kya lag bhag ghur raha tha.. toh usne haath se ishaara karte hue puccha.. KYA HAI?.. mene bhi ishaare se sir hilaya.. KUCH NHI! Aur mein padhne ki nautanki karne laga..voh firse padhne lagi.. aur mein phir se use ghurne laga..use bhi shayad ehsas hua ki mein phir se use dekh raha hu.. toh voh uthi aur bakayda voh kursi ko meri taraf mod kar baith gayi...aur muskurate hue dono hath apne gaalo par rakha.. aur mujhe dekhne lagi.. jaise keh rahi ho, lo beta.. tum dhang se dekhlo.. ese chhup chhup ke kyu dekh rahe ho?? Mujhe laga ki mein galat kar raha tha isliye isne esa kiya..mein jhuk gaya aur padhne laga.. usne bhi kursi muda li aur padhne lagi..par mujhse raha na jaa raha tha.. aur seedha uske Mez par jaake uski paas waali kursi par baith gaya..woh thodi sehem si gayi.. ghabrati hui aawaj mein boli..
Bondita: k-kya hai? Itni jagah khaali padi hai waha jaa kar baitho..
Anirudh: sorry, uss raat mene tumhe chashmish bol kar galti kar di.. mein uss din bhi maafi maangna chahta tha par tum kafi ghusse mein thi.. waise mene kaan pakde the..
YOU ARE READING
Mera Pehla Pyaar - Chashmish
RomanceMaana ke ham saath nahi Mere Aftab-e-Ishq, iss dil mein aaj bhi sirf tera chehra hai, sirf tera naam hai, jo chhap tum chhod gayi usee kabhi mitaya nahi jaa sakta, ek khubsurat sa ehsaas jo tumne diya, jab bhi uss din ke baare mein sochta hu, Hot...