chapter 41

305 27 35
                                    

Bondita's POV...

Subah ho gayi, suraj ki kirne mere chehre par aisi padi.. jaise ki keh rahi ho, "Bondita uthh jaa, kitne der soyegi abb"

Nahakar, mein tayyar hokar, hothon par ek muskurahat ke saath apne kamre se nikalkar neeche hall mein gayi..

jaha sofe pe maa baithkar apne haath mein ek tasveer liye usee bas nihare jaa rahi thi.. mein bhi maa ke kandho ko pichhe se jaakar lipat gayi.. "arey! Uth gayi?" Mummy ne mere haatho ko sehlaate huye kaha..

"kitni achhi muskurahat hai na iski?"Maa ne uss tasveer ko mujhe dikhaate huye kaha, yeh meri aur Ajit ki tasveer thi.. "kiski? Meri?" Meine haste huye puchha, mummy ne mujhe dheere se maarte huye kaha, "naa! Ajit ki!" Meine muskuraate huye puchha, "sagai ki photo hai na?" Maa ne haami bhari..

Meine puchha, "aapko kaha se mili?"

"Yahi tumhari file mein padi thi" mummy ne photo rakhte huye kaha..

"Abhi ajit se baat ki keh raha tha ki tum usse milne wali ho aaj?"

Meine bhi muskuraate huye kaha, "haa, actually abhi wahi jaa rahi thi.." mein jaane hi waali thi ki..

Tabhi papa ne sofe par baithte huye kaha, "mein aur tumhari mummy bhi chale tumhare saath?"

"Aaplog wahape aake kya karenge? Aur.. waise bhi mein Ajit se akele mein baat karungi hm..?" meine dono ke haatho ko thaamte huye kaha, kyuki mujhe pata tha agar yeh dono saath chalenge toh.. khudko sambhaal nahi paayenge..

Mummy ne apne aakho ki nami chhupate huye kaha, "tujhe dar nahi lagta?"

Meine papa ke aankho mein kabhi aansu nahi dekhe the, aaj unki aankhon mein wahi nami dikhi jo maa ki aankho mein dikhi..  ek saal ho gaya papa pehle ki tarah muskuraate nahi the..

Mummy ka sawaal sun hasi aa gayi.. mein hasne lagi aur kaha, firse ek aur jhuth! Abb jhuth hi mere jindgi ka maksad ban gaya tha, sabse mein sirf jhuth hi toh bole jaa rahi thi.. khaas kar Anirudh se, khair.. "Nahi.. Dar nahi lagta maa! Tum fikr mat karo.."

Tabhi, papa bole, "kyu dard deti hai tu khudko itna? Mujhe pata hai.. yeh iss muskurahat ke pichhe bohot dukh.. dard chhupa hai.." papa ki aakho se abb aasu behne lage..

meine khudko sambhal kar apne aasuo ko roka, aur muskuraakar mummy papa ke aansu pochhkar kaha, "kya papa! Kyu fikr karte hai aap itni meri? Fikr ki koi baat nahi hai.. sab thik ho jaayega! Haan.. sab thik ho jaayega!" Meine papa ko gale lagaate huye kaha, yeh jaante huye bhi ki kuchh thik nahi ho sakta..

***

Bondita||Priyanka

Flashback..

"Hello?"

"Ha priyanka bolo.."

"Kya kahe didi, hamne aapse pehle bhi kaha tha na.. ki hamare liye shayad hi kabhi Anirudh voh mehsus kar paayenge.. jo ham karte hai.. hamne unse puja karne ke liye mandir mein saath aane ko kaha, jaise aapne hame bola tha.. hamne waisa hi kiya, par.. voh busy hai kaam mein bohot.. ham par hi bhadak uthe" kehkar Priyanka rone lagi..

"Arey.. arey.. tum ro mat priyanka please.. mujhe pata hai, yeh bandar hai hi aisa.. jab ghussa aata hai toh.. fir padta hai ekdum jwalamukhi ki tarah, aur fir baadmein pachtata hai.. dekhna abb tum thodi hi der mein khud call karega aur tumse maafi magega.. aur tumhare saath puja karne bhi chalega.."

"Aap sach keh rahi hai didi.. voh aayenge hamare saath? Hame nahi lagta voh chalenge hamare saath, chhodiye.. ham akele hi chale jaayenge.."

"Arey Tum chinta mat karo.. dekhna abhi call aayega tumhe.. mein jaanti hu Anirudh ko, voh ghusse mein aakar jo muh mein aaya bol deta hai, par trust me, uske dil mein koi kapat nahi hota.."

"Kitne achhe se samajhti ho aap unhe.."

"Arey! Yeh bhi koi baat hui bhala.. sabse pehle agar voh mera kuchh tha aur hai.. toh dost hai priyanka.. aur abb tum shuru mat ho jaana.."

"Mujhe pata hai.. mein aap dono ke bichmein aa rahi hu.. kya karu didi! Mein chahkar bhi kuchh nahi kar sakti..  jo aap mere liye kar rahi hai.. utna toh koi saga bhi nahi karta.. hamesha dusro ke baare mein sochti ho"

"Not again Priyanka! Tum nahi aa rahi hamare bich mein.. galti na tumhari hai na meri hai na hi Anirudh ki hai.. galti sirf wakt ki hai.. agar hamare family issues nahi hote aur mein thik..." Priyanka ne mujhe tokte huye kaha, nahi toh baato baato mein woh sach mere muh se nikal jaata.. jisee meine abhi tak Anirudh ko nahi bataya..

"Dekha, kabhi khudki khushiyon ke baare mein nahi sochti aap.. hamesha dusre ke baare mein sochkar unke hontho par muskaan laane mein lagi hui rehti ho.." arey! Aapne sach kaha tha, unhi ka call aa raha hai.. mein aapse baadmein baat karti hu"

"Areee oh Chennai express..suno!"

"Haa boliye na didi"

"Kuchh jyaada jaldi hi maaf mat karna bandar mahashay ko.. usne hamari behen ko rulaya hai.. manane do usee" priyanka hasne lagi.. mein bhi hasne lagi.. meine haskar bye kaha..

Flashback ends..

***

Ghar se nikalkar.. meine socha ki Anirudh ko bata du.. ki mein Banaras aayi hu.. par fir socha ki abhi priyanka ke saath mandir mein hoga.. baadmein call karungi..

Yahi sochte sochte mein cafe mein pahuchi, Ajit mera intezaar kar raha tha.. aur apni ghadi ko baar baar dekhe jaa raha tha, mujhe masti sujhi.. meine uske pichhe se jor se chillaya.. voh dar gaya, uske haav bhaav dekhne layak the.. mein hasne lagi..

"Pagal ho kya bondita? Aise koi darata hai kya? Tum kabhi nahi badal sakti.." Ajit ne ghussa ho kar kaha..

"Aur tum bhi kabhi nahi badal sakte billuram.. kitne darte ho tum?"

"Ho gaya tumhara?"

Mein hasne lagi..

Par Ajit kafi gambheer tha.. meine hasna band kar diya aur usse puchha, "are kya hua? Aise kyu baithe ho? Koi mar gaya kya?"

"Bondita.. listen mujhe thode aur wakt ki jarurat hai.." Ajit ne kaafi serious tone mein kaha..

Meine kaha, "nahi nahi.. wakt aur nahi mil sakta! Cafe abhi band ho jaayega, order toh abhi hi karna padega!"

Ajit bola, "yeh majaak ka wakt nahi hai bondita.. it's a serious problem!"

Meine muskuraakar kaha, "ok! Alright.."

"Meine tumhe Banaras se pehle hi aane ko keh diya tha",Ajit ne bolna shuru hi kiya tha ki meine fir toka..

"Tum kehna kya chahte ho, mujhe Banaras nahi aana chahiye tha?"

"You don't understand bondita, mujhe wakt ki jarurat hai tumhaare aur mere"

"Ok.. ok.. samjh gayi.. sorry! Mein samajhti hu, mein Banaras sirf tumhare liye aayi hu.. abb tum jo kahoge waisa hi hoga, aur raha sawaal mere wakt ka toh abb mera saara wakt tumhaara" meine muskuraate huye kaha..

To be continued...

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 29, 2022 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Mera Pehla Pyaar - ChashmishWhere stories live. Discover now