chapter 32

252 42 50
                                    

Anirudh's POV...

Chashmish ke phone rakhne ke baad, meri samajh mein kuchh nahi aa raha tha, ki mein kya karu!

Andar se dil toh ro raha tha, par aankhe suk gayi thi. Shayad ham mature ho gaye the. Ham samjh rahe the, ki isme chashmish ka koi dosh nahi hai.

Samaaj ka dosh hai, jo har rishto mein jaati, paisa, aur ruthba dekhta hai.

Chashmish ke pita professor the, aur mummy ji inter college ki lecturer!

Aur hamare pita, upper primary mein principal, aur maataji sadhaaran grihini..

Toh fark toh tha, ham mein aur usmein!

Hamare pita ke uchi post par naa ho paane mein, unka koi dosh nahi tha.

Arey! Unhone toh aukaat se jyaada paaya tha apne jeevan mein!

Dadaji kisaan the. Kheti karke bachho ko padhana, palan poshan karna aasan na tha. Paise itne bhi nahi hote the, ki kheti ko sahi vakt par kiya jaa sake.

School ki fees ke liye paise hote hi nahi the. Jo uss jamane mein sirf kuchh paise hua karte the.

Kabhi Kabhi haalat yeh hua karti thi, ki indhan nahi hua karta tha. Bhari barsaat mein, ped ki lakdi, voh bhi geeli! Jo jalti Kam, bujhti jyaada thi, uss se khaana banana hota tha.

Itne abhaavo ke baad, Jo vyakti primary ka master ban paaya, unhe mein Kisi IAS se kam nahi samjhta.

Khair, subah chashmish ne call kiya. mein class nahi gaya tha, voh bhi nahi gayi thi aaj..

Chashmish boli..

Bondita: Anirudh! Ghussa ho mujhse?

Anirudh: Nahi... Bilkul Nahi.. bas tumhe mujhe bata dena chahiye tha pehle hi..

Bondita: Anirudh mein tumhe dukhi nahi karna chahti thi.. Soch rahi thi dheere dheere ignore karungi,  duri banegi.. toh shayad sabkuchh sahi ho jaayega!

Anirudh: toh kya itni duri banakar sab kuchh sahi ho gaya..

chashmish kuchh der shaant rahi..

Bondita: Nahi.. kuchh sahi Nahi hua.. aur aapko kya Lagta hai, mein bohot khush Hu yaha? Yeh sab mein khushi khushi kar rahi Hu?? mein bohot majboor hu.. gharwaalo ne mujhe bohot majboor kiya hai. Kisi tarah se meine unhe manaya, ki voh baat ko aage na badhaye.. mein jaanti hu Anirudh, ham dono ka rishta aage nahi badh sakta.. isiliye mein pichhe hat rahi Hu, mein Ghar ke khilaaf nahi jaa Sakti.. hamari bhi apni kuchh jimmedari hai apne mummy Papa ke prati, jise mujhe nibhaana hai.

POV continues..
Ham kuchh jyaada hi selfish ho Gaye the, hame Abb apni Khushi se jyaada gharwaalo ki khushi pyaari lag rahi thi.

Mera Pehla Pyaar - ChashmishWhere stories live. Discover now