chapter 7

292 40 27
                                    

Anirudh's POV

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Anirudh's POV...

Uss din library se nikalne ke baad... Jab meine chashmish ko MVV tak chhoda.. usne bye kaha.. par mein use bye nahi kehna chahta tha.. mein chahta tha ki mein uske saath aur vakt bitau..par mein kuch na keh saka.. voh gate ke andar jaa rahi thi..aur mein soch raha tha ki mein use rok lu.. par himmat na hui meri.. aur bas mein use dekhta raha.. jaate huye.. usne pichhe mud kar dekha toh mein wahi khada tha.. usne muskuraate huye, ek baar aur bye kaha.. aur ishaara kiya ki abb jao yaha se.. uski muskurahat ka yeh asar hua ki mein na chahte huye uski baat maani aur waha se jaane laga.. uss paar jaakar pichhe muda toh dekha.. chashmish abb jaa chuki thi..mein Lanka gate par pahucha aur call kiya.. toh chaubey ji ne kaha..

Chaubey : Bas pahuch rahe hai.. gate par !

Anirudh : bas wahi ruka hu...

POV continues...

Mein bohot khush tha..apni khushi, apne dono pyaare dosto ke saath baatna chahta tha.. par bina kuchh bataye.. mein abhi inn dono ko kuchh nahi batana chahta tha.. sochta tha ki baat kuchh aage bade toh batau.. warna ye dono bohot pareshan karenge.. voh dono aa gaye..

Anirudh : Chalo aaj kuchh mitha khaate hai !!

Maurya : kya baat hai, Anirudh sahab !! ( In a teasing tone ) Bhaujai, dikh toh na gayi ? Yaa usi taraf toh nahi gayi hai ??

Anirudh : arey yaar chhodo use, bas man kar raha hai.. aaj khaate hai.. bohut din ho gaya..!!

POV continues...

Meine ese jatane ki koshish ki mein chashmish se Milne ke liye jyada utaavla nahi hu... Mitha khaakar, esi hi halki fulki baate karte karte humlog hostel pahuche.. abb chashmish ke baare mein koi baat nahi kar raha tha..unn logo ko lagta tha ki yeh roj yaha pe aata hai.. voh dikhti nahi toh dukhi ho jaata hai..toh uska naam lekar isko aur dukh kyu pahuchaye.. Khair, hostel pahuche... abb mera man shant tha.. itne dino baad aaj kitab uthaane ka dil chaha.. kuchh der padhne ke baad.. mein khaana kha kar.. phir padhne laga.. Kareeb, 11 baje laga abb sote hai..toh kambal odha toh aankh band karte hi sabse pehle chashmish nazar aayi.. chehre par apne aap ek muskaan si aa gayi.. mein soch raha tha ki jaise hi bed par jaate hi chashmish nazar aati hai... Kya kabhi mein bhi use nazar aata hunga..? Mujhe toh usse pyaar hai !! Kya use bhi hoga ? Tabhi mujhe achanak uske naam ka khayal aa jaata hai.. "Bondita Dasgupta" waah ! Kanya toh bramhan hai ! Kaa kare ? Mummy ko phone lagakar keh de ? Ke patohu ( daughter in law ) khoj li hai aapke liye.. hamara,aapka, aur sabka khyaal rakhegi.. dekhengi toh uhh mishri ji ke ladki ko bhul jaayengi.. jisko patohu banane ka khayal banaye rakhe hai.. Bondita, Dasgupta pariwar se thi yeh jaankar hame bohot khushi hui.. kyaa kare sahab ! Hamare samaj mein ladki ka pyaar paana toh aasan hai.. par agar gair biradar hai toh use pyaar ko samaj ke saamne laana utna hi mushkil.. jaati waadi toh ham bilkul bhi nahi hai.. mitr kisi bhi jaati ka ho.. uss se dosti karne se pehle das baar sochte nahi hai..! Par hamari maataji mahol le ke mahilaon mein mukhiya waali dhaak hai.. aur isliye voh gair biradar patohu laati bhi na.. isliye mishri ji ki bitiya ko bade pyaar se puchkarte huye..

Maataji : hamar patohu !!

POV continues..

Voh bhi sharmakar khilkhila kar has deti hai.. bhole kasam guru, uhh mishri ji ki ladki hame bilkul pasand nahi hai..! Bachpan bita hai uske saath... naak bahay ghumti rehti.. "aee uddh " aee uddh" chillati.. kaksha 6 tak toh use Anirudh na kehna aaya.. kyaa shaadi karte ham usse.. voh jab bhi hame uddh uddh kehti ham ek thappad maar dete.. mahol le ki aurte kehti..

Aurte gang : aree aaj maar raha hai na.. shaadi ke baad na maarega..!!

POV continues...

Hamari maataji aur mishri maataji muskurane lagti.. ek baar, kaksha 6 mein, meine apne tiffin mein kaju ki barfi le gaya tha... usne dekh liya tha.. mein paani pine gaya toh usne.. tiffin se saari barfi khaakar chat kar di.. hamne use khaata dekh liya.. aakhri barfi uske muh mein hi thi.. ham dekh ke ekdum aag babula.. ho gaye.. hamare pitaji ne naye jute laaye the hamare liye.. school pehen ke jaane ke liye.. hamne dekha ki uske muh mein barfi ka aakhri tookda tha.. hamne bhi juta haath mein liya aur uske sar par de danadan de danadan maar diya.. voh ghar gayi aur sabko bataya.. mishrain amma ne maataji ko bataya.. mummy ne wahi juta utha kar hamari jo pithai ki... Ki hame usse nafrat ho gayi.. Khair, yeh bachpan tha.. hame kaksha 10 tak aate aate.. apne galti ka ehsaas ho gaya tha.. voh jab bhi mujhe dekhti.. raasta badal leti.. mein bhi nazre niche kar leta tha.. 12th paas karke jab mein B.H.U aa raha tha toh mishrain amma ke ghar gaya tha.. sabse milne.. toh voh mithai lekar wapas aayi paani ke saath... Mein baitha tha..

Girl : lo mithai kha kar paani pi lo.. kaaju ki hai, tumhari pasandida.. isi ke liye tumne mujhe jute se maara tha na ?

POV continues...

Usne muskuraakar kaha.. par uski aankhon mein aansu the.. use rota dekh kar meri bhi aankh bhar aayi.. aaj saari nafrat aansuon mein beh rahi thi.. yaar bachpan bita tha uske saath.. bhale hi maar pith hoti thi.. par thi toh meri dost.. mene bhi ek barfi uthai aur uski taraf badhaya..

Anirudh: uss din ke liye maafi chahta hu.. voh hamara bachpan tha...

Girl : Nahi, abb mein barfi nahi khaati.. meine uss din ke baad se chhod diya..

POV continues....
mujhe bohot dukh hua, maafi ke sivay mein kuchh nahi kar sakta tha..

Anirudh: thik hai,aaj se shuru kardo... Chodda tha meri wajah se.. meri wajah se hi shuru kar do..!

Girl : Nahi..

Anirudh : dekho mein Banaras jaa raha hu.. phir pata nahi kab aaunga... Mein nahi chahta ki yaha se apne galtiyon ka bojh lekar jaau..

POV continues...

Usne mere haath se barfi le li, aur voh bohot khushi se khaa rahi thi.. aur aankho se aansu bhi beh rahe the.. usne Paani piya aur kaha..

Girl : tum nahi khaoge ?

POV continues...

Ek mithai mujhe di.. mein kha hi raha tha ki voh boli..

Girl : ek aur lelu?? Aaj 6 saal baad kha rahi hu..!

Anirudh : haa, jaroor..!!

To be continued...

Mera Pehla Pyaar - ChashmishWhere stories live. Discover now