Anirudh's POV...
Priyanka se baat karke, mein puri tarah se ulajh gaya tha, samajh mein hi nahi aa raha tha, ki abb mein kya karu! Jis ladki ke baare mein sochta, ki voh mujhse nafrat Karti hogi, voh mujhse pyaar karti hogi, Kabhi nahi socha tha!
Priyanka ke shabd baar baar mere dimag mein aa rahe the, raat mein bechaini itni had tak badi, ki socha, chhat par jaakar sharab pi lu, par jab bottle ko apni hotho se lagaya, ek ajib sa chidchidapan mehsus hua, chashmish ke jaane ke baad, jiss sharab ko mein, mehruba ki tarah chah Raha tha..
Aaj uss se grhina ho rahi thi, pata nahi kyu!? Bohot uljhan thi. Andar se man itna bechain tha, ki man Kar Raha tha ki, tez tez chillata rahu, par kya chillana chahta tha, iska mujhe nahi pata.
Tabhi dimag mein aaya, chashmish se baat kar lu, raat ke kareeb 12 baj rahe the. Ek Baar ke liye socha ki, itni raat ko chashmish ko kya call karu! Pata nahi jag bhi rahi hogi ya nahi.
Par aaj dimag se Dil Ka gathbandan tut raha tha, aur Dil se ungliyo Ka gathbandan mobile ke keypad par, apni satta ka dava thok Raha tha.
Meine chashmish ko call Kar hi diya....
Lagbhag ek Saal baad!
Kuchh hi ring par chashmish ne call pick kiya.
Chashmish ne chidhaati huyi aawaj mein kaha..
Bondita: Hello Anirudh! Kya baat hai janab! Aaj Aapne call kar diya, jarur koi Khushi ki baat hogi!!
Mein kuchh nahi bol paa raha tha, gala rundh sa gaya tha..
bondita ne kaha..
Bondita: hello! Bolo bhi Anirudh... Aree kya hua? Kuchh toh bolo!
Mein khud ko rok nahi paaya, aur achanak se rone laga, Jo mein kuchh Der chilla chillakar man ki bhadaas nikaalna chahta tha, abb aansuo se nikaal Raha tha..
Chashmish pareshaan si ho gayi thi, rote huye boli..
Bondita: Anirudh, please chup ho jaao.. bolo kya hua hai, kya baat hai?
Anirudh: v-vo-h...
Bondita: Bandar.. ro mat please.. Nahi toh......
mein tumhe pith dungi..Chashmish ne roti huyi aawaj mein kaha..
Mein shaant Nahi ho paa raha tha, aur udhar bondita bhi pareshaan thi. Lekin, usne khudko sambhaalte huye kaha,
Bondita: achha suno.. bas mujhe suno, kuchh mat bolo, bilkul chup! Bilkul chup ho jao..
Abb mein shaant ho Raha tha, usne kaha...
Bondita: abb bilkul shaant raho, ek minute ke liye aur lambi lambi saanse lo.. bas ek minute ke liye!
Meine aisa hi kiya, ek minute mein mujhe kaafi achha mehsus hone laga,
Chashmish boli..
Bondita: achha, abb batao mujhe kya baat hai? Kyu itne pareshaan ho?
Mein thodi der shaant Raha, fir uss se kaha..
Anirudh: Yaar! Ghar waalo ne meri Shaadi fix Kar di hai,
Bondita ne bilkul chaukte huye, thodi tez aawaj mein kaha..
Bondita: KYA?
Anirudh: h-haa.. Sahi suna..
Bondita: yaar tumse puchha?? Itni jaldi! yeh sab kaise??
Anirudh: haa, puchha.. faisla sunaate huye, ki Shaadi karni hai, iss ladki se.. bas! Iss se jyaada kuchh Nahi.. Yaar, mein Shaadi Nahi Karna chahta hu, par kaise samjhau Ghar waalo ko!?
Bondita: ladki kon hai?
Meine bondita ko, shuru se lekar anth tak Puri kahani batai.. aur yeh bhi bataya ki, kal usne mujhe bataya ki, voh mujhe bachpan se chahti hai, kaaran bhi tha, ki hamesha gharwaalo ne uske dimaag mein yahi baat daali, ki voh meri hone waali patni hai, aur voh mana Nahi karegi Ghar par! Aur agar meine mana Kiya toh, phir Shaadi Nahi karegi.
Thodi jiddi hai bachpan se, dekha hai meine usko, isliye abb thoda aur dar lag Raha hai..
Chashmish ne sab suna, thodi bohot uski rone ki siskiyo ki aawaj mujhe sunai di, par usne khudko sambhaal liya.
Bondita: Anirudh, Dekho.. tum bhi yeh jaante ho ki, abb ham Dono alag ho chuke hai, aur Kabhi ek Nahi ho sakte. Bhale hi ham ek dusre ko Kitna bhi chahte ho, mein aapse dur hote huye bhi, aaj tak dur Nahi ho paayi. Hamesha aapko hi Yaad Karti hu. Par, jaanti hu ki abb raaste alag hai. Yeh bhi jaanti hu ki, aap bhi hame roj yaad karte hai. Aur kaise rokte hai khudko, yeh bhi mujhe pata hai. Pura BHU Aapke sharab pine se waakif hai. Aaj Aapka call aaya, toh mujhe bohot Khushi huyi. Kam se Kam aaj toh Aapne apni Dil ki suni aur.. call Kiya. Kyu rokte ho khudko itna?? Kyu tode jaa rahe ho khudko iss Tarah?? Mein bhi sunti hu, Kisi se aapki yeh haalat toh... khudpar ghussa aata hai. Aakhir kyu aayi mein, aapki jindagi ko tabah karne!
POV continues..
Mein kuchh bol Nahi Raha tha,
Bondita: Anirudh mein aapse kuchh maangne Ka hak kho chuki hu.. agar hota... Toh.. yahi kehti, ki aap Priyanka se Shaadi Kar lo.. jab hame aur aapko apna pyaar mil Nahi sakta, toh Kam se Kam Kisi aur ko toh apna pyaar mil jaaye, koi toh Khush ho.. fir voh aapko itna chahti hai, ki dheere dheere sab thik Kar degi.. Aapke mummy Papa ki Pasand bhi toh hai, aap dekhna, voh Aapke pure pariwaar ko Khush rakhegi.. bohot jyaada, mujhse bhi jyaada!!
Anirudh: Yaar bondita, tum samajh Nahi rahi ho, mein kisiko dhoka Nahi dena chahta hu, mein jaanta hu, ki mein uss se pyaar Nahi Kar paunga.. aur.. tum khudko dosh mat do, tumhari koi galti nahi hai..
Bondita: aisa kuchh Nahi Hoga, yeh Aapke man Ka wehem hai, yeh sab jindagi ke utaar chadhaav hai.. aapko inhe jeena Hoga, hame bhi jeena Hoga, aapko kya Lagta hai, yeh sab aap hi ke saath ho Raha hai, mere saath bhi hota hai, aur aaj nahi toh kal, meri bhi Shaadi hogi.. toh please Anirudh.. meri baat maano, life mein aage badho, kabtak sharab ke sahaare rahoge?
Mein samajh Raha tha uski baato ko, aur Jaan bhi Raha tha, ki niyati ko yahi manjoor hai,
Anirudh: achha yeh batao, mein kya karu, mujhe Nahi samajh mein aa Raha hai chashmish!
Bondita: meri kal Priyanka se baat karao..
Anirudh: tum kya baat karogi?
Bondita ne haste huye kaha,
Bondita: kyu? Mein Nahi baat Kar Sakti kya?
Anirudh: haa jarur Kar Sakti ho, par uss se puchna hoga..
Bondita: thik hai.. puchh Kar number send Kar dijiyega.. aur abb so jaaiye..
Meine kaha..
Anirudh: thik hai..
Bondita boli..
Bondita: ek request hai.. please sharab ko abb chhod dijiye.. mere liye! Please..
Meine kaha..
Anirudh: thik hai, koshish karunga.. par dheere dheere, kyuki lat si pad gayi hai.
Bondita: haa, dheere dheere.. par Dil se chhodne ki koshish kariyega..
Meine kaha..
Anirudh: hm, thik hai..
Bondita: ok! Good night, take care.
Meine bhi same to you kehkar, call kaat diya..
To be continued...
YOU ARE READING
Mera Pehla Pyaar - Chashmish
RomanceMaana ke ham saath nahi Mere Aftab-e-Ishq, iss dil mein aaj bhi sirf tera chehra hai, sirf tera naam hai, jo chhap tum chhod gayi usee kabhi mitaya nahi jaa sakta, ek khubsurat sa ehsaas jo tumne diya, jab bhi uss din ke baare mein sochta hu, Hot...