Anirudh's POV...
Chashmish apne hostel jaane lagi, aur mein usee jaate huye dekh raha tha, usne pichhe mudte huye dekha toh, mein abb bhi wahi khada tha.. usne mujhe ghurte huye, maarne waala ishaara kiya, maano keh rahi ho.. "beta, agar tum nahi gaye na yaha se, toh yahi pith dungi"
Mein dar sa gaya, uski ghurne waali shakal dekhkar! Phir mein waha se jaane laga, road cross kar kar.. jab pichhe mudke dekha, tab bhi voh.. hath fold kare huye, mujhe muskurake, jaise keh rahi ho.. "jaiye beta ji" meine bhi muskuraakar usee bye kaha, aur usne apne haath ko jorse kiss karkar, mere aur flying kiss de di.. meine bhi catch kar liya.. aur bilkul usi ki tarah apne hath ko jor se kiss karkar meine bhi uski taraf flying kiss de diya.. usne bhi catch kar liya, hamne muskuraate huye ek dusre ko bye kaha!
______________________
Mein jab hostel pahucha, tab mera mere personal audience mera intezaar kar rahe the.. ki kab mein aau aur apni katha sunau.. mein bhi stage par, mera matlab hai.. bed par khada hua.. aur meri personal audience yaani ki chaubey aur Maurya ji.. kursi lagakar baith gaye.. jab meri katha sunakar ho gayi.. toh mujhe thoda chhedne ke baad, sone chale gaye..
Mein bed par letke chaddar odhh kar.. chashmish ka mujhe gaal par kiss karne waali baat soch sochkar, apne gaal ko chhu chhukar.. muskura raha tha.. pata nahi inhi khayalon ke saath nind sasuri kab aa gayi.. pata hi nahi chala..
_____________________
Ek din aise hi ghumte ghumte chashmish aur mein, ek garden mein aa gaye.. waha aakar chashmish ne kaha..
Bondita : toh Mr Anirudh ji.. ek game khelenge mere saath?
Anirudh : ji kahiye!
Meine muskuraakar kaha..
Bondita : agar race kahungi, toh aap.. phirse jaan bujh kar haar jaayenge!
Chashmish ne muh banate huye kaha..
Anirudh : kya fark padta hai! Tum jeeto ya mein! Baat toh ek hi hai..
Bondita : toh phir.. pakdam pakdai khelte hai! Bachpan mein bhaii ke saath khelti thi.. aur tum mujhe pakadna.. agar tum jeete toh, tumhe ek kiss milegi! Aur.... Agar nahi jeete toh... Thenga!!
Chashmish ne uchhalte huye thoda sharmakar haste hue kaha.. jaise ki meine bataya tha aapko, bilkul bacchi thi meri chashmish!
Bondita : oyee! Kaha kho gaye..
Anirudh : kuchh nahi.. tumne itni badi pratiyogita jo rakh di hai, aur uska puraskaar uss se bhi bada.. usi ke baare mein soch raha tha mein bas..
Bondita : abb sapne hi dekhoge ya pure bhi karoge.. tum mujhe nahi pakad paoge.. Bandar!!
Chashmish ne anghuta dikhaate huye kaha, aur bhaag gayi..
Anirudh : sapn.. kya?? Aree ruko chashmish..
Mein bhi uske pichhe bhaagne laga, chashmish kafi tez bhaag rahi thi.. mein bhi usi ke pichhe thoda tez bhaag raha tha, kabhi ham haste toh kabhi chashmish mujhe chidhaati, "bandar tez bhaago na.." aur has deti..
chashmish bhaagte huye diwaar ke pichhe chhip gayi, chashmish diwaar ke bahar se mujhe dekh rahi thi par.. mein toh uske bilkul pichhe tha, chashmish jab chhip rahi thi.. tab meine usee chhipte huye dekh liya tha, uska pichhe dhyaan hi nahi tha.. toh mein bhi shararat karte huye, usi ke pichhe khada ho gaya.. jab chashmish pichhe mudi.. toh mujhe dekhkar, pehle toh thoda shocked ho gayi.. par baad mein muskura di..
Meine bhi usee apni aur khich liya, chashmish sharma gayi.. kafi kam sharmaati thi chashmish! Aur jab bhi sharmati aur bhi khubsurat dikhti.. usne mujhe gale se laga liya.. meine uske kaan mein kaha..
Anirudh : aakhirkaar tumhe pakad hi liya!
(Play this song while reading ahead!)
Aaj Mausam thik nahi tha, badal garaj rahe the, aasmaan mein kafi halchal ho rahi thi.. aas paas koi nahi tha, aur abb toh.. baarish bhi hone lagi thi.. chashmish aur mein, abb bhi ek dusre ke baaho mein the.. ham dono upar dekhne lage, baarish se bhig chuke the ham, abb tak..! Chashmish ke baal baarish ke wajah se.. gile ho gayi the.. chashmish ka yeh rup dekhkar.. mera uss pe pyaar aur bhi badh raha tha..
Chashmish ne apna ek haath aage kar liya.. maano, usee mehsus karna tha inn baarish ke bundo ko.. meine uska haath dheere se pakad liya.. ham dono ek dusre ko hi dekhe jaa rahe the.. tabhi, chashmish ne aas paas dekha.. aur mera haath pakadkar, mujhe ek ped ke niche le gayi.. ham dono ke chehre par ek muskaan si thi.. chashmish apni chunni jo usne pehni hui thi.. usee apne haath mein lekar.. pakde huye, apna chehra pochh rahi thi.. mein usee hi dekhe jaa raha tha, meine bhi uski chunni ko pakad liya.. aur apni aur khich raha tha.. chashmish kafi kareeb thi mere.. mein uske chehre ke aur badh raha tha.. tabhi.. chashmish ne apni chunni mere chehre par taankar muskuraakar bhaag gayi..
Mein uske pichhe bhaag raha tha, kafi najdeek tha mein uske.. thoda bhaage ham phir.. meine uska haath pakad liya.. chashmish sharma rahi thi.. ham dono ne ek dusre ko gale laga liya..
Ham dono phirse, usi ped ke niche jaa rahe the.. mein chashmish ki aankho mein phirse kho gaya.. chashmish sharmate huye mujhe dekh rahi thi..
Mein uski aur badha, aur dheemi aawaj mein bola..
Anirudh : chashmish...
Chashmish pehle toh kuchh nahi boli.. par baad mein.. mujhse bhi dheemi aawaj mein boli..
Bondita : bolo na..
Anirudh : apna puraskaar le lu? Meine shararti aawaj mein kaha...
Chashmish ne haa mein sar hilaaya..
Mein dheere se uski aur badha aur uska sharmata huya chehra.. apni hatheliyon mein lekar.. uske baalo ki late hatakar.. usee kiss kar liya..
______________________
Abb chashmish aur mein, har Sunday kahi na kahi ghumne jaate.. hamari khushaal si life ban gayi thi..
par kehte hai na.. jindagi hamesha ek jaisi nahi hoti.. apne rang achhe se badal leti hai.. jindagi mili hai, toh usme bhi kafi pareshaniya aati hi hai..
To be continued..
YOU ARE READING
Mera Pehla Pyaar - Chashmish
RomanceMaana ke ham saath nahi Mere Aftab-e-Ishq, iss dil mein aaj bhi sirf tera chehra hai, sirf tera naam hai, jo chhap tum chhod gayi usee kabhi mitaya nahi jaa sakta, ek khubsurat sa ehsaas jo tumne diya, jab bhi uss din ke baare mein sochta hu, Hot...