Anirudh's POV...
Chashmish se baat karke man toh halka ho gaya tha, par uljhan waisi ki waisi hi thi. Socha ki ekad ghut sharab pi hi lu, shayad thodi bechaini kam ho jaaye.
Mein sharab ki ek ek ghut ko gale mein utaarta jaa Raha tha. Soch raha tha ki, kiski sunu? Khudki, ya chashmish ki?
Abb Priyanka ki baate bhi mujhe pareshaan kar rahi thi. Uska yeh kehna ki,
"meine toh bachpan se aap hi ko sabkuchh maana hai, aapki mummy se hamesha bahu ki tarah dulaar paaya hai. Gaav waalo ne aapke naam ke saath Mera naam ese joda hai ki, mein chahkar bhi nahi tod sakti. Aap chahe toh mujhse shaadi na kare, par mein kabhi Kisi aur se shaadi nahi karungi."
Mujhe mere prati Priyanka ke pyaar ka ehsaas ho raha tha, kyuki meine bhi chashmish se isi tarah tut ke pyaar kiya tha. Pyaar ko khone ka dard kya hota hai, yeh mein bakhubi jaanta tha. Mein niche aakar kamre mein sone ki koshish kar raha tha. Par nind thi ki, aane ko tayyar hi nahi thi.
Kabhi chashmish aankho ke saamne hoti thi, toh kabhi Priyanka.
Abb wakt aa gaya tha, ki mein inn Dono mein se kise aankho mein basana chahta hu, iska faisla ho jaaye!
Dil mein toh chashmish hi thi, aur pata bhi tha ki hamesha rahegi!
Par uski Kahi baat, abb dimaag mein gunj rahi thi. "Hame jab khudka pyaar na mile, toh koshish karo ki dusro ka pyaar unhe mil jaaye!"
Mein achhi tarah jaanta tha ki mein aur chashmish abb kabhi ek nahi ho sakte hai. Aur kareeb 2 Saal se relationship mein bhi nahi hai. Shayad abb wakt aa gaya hai, ki abb hame aage badhna hoga!
Kyuki chashmish ki baat Sahi thi, Shaadi toh ham Dono ko Karni hi hai, chahe abb kare yaa chahe 2-4 Saal baad, lekin karni toh hogi hi.
Toh Kyo na sabko Khush hi rakhkar kare, kyuki jaroori toh nahi, ham dukhi hai toh sab dukhi rahe!
Meine faisla kar liya, ki mein Priyanka se Shaadi ke liye haa Kar deta hu.. par usee sab kuchh batakar, aur kuch wakt maangkar, taaki mein khudko sambhaal saku.
Yeh sab sochte sochte subah ho gayi. Meine socha ki Priyanka ko call karu, phir socha, pata nahi call pick karegi ya nahi.
Meine Priyanka ko message Kiya, "hello Priyanka, mujhe tumse kuchh baat Karni hai, kya ham mil sakte hai?"
Ek ghante baad Priyanka ka message aaya.
"Thik hai, aap Ghar par aa jaaiye"
Kuchh Der baad mein Uske Ghar Gaya, mishrayin Amma kuchh kaam kar rahi thi.
Mishrayin Amma: arey Anirudh! Aao aao.. aaj hamare Ghar kaise? Tumhe toh Kabhi hamari Yaad hi nahi aati hai.. Banaras jaakar gaav ko bhul hi Gaye ho!
Meine muskuraate huye, unke pair chhukar kaha..
Anirudh: Nahi Amma aisa kuchh nahi hai, bas gaav abb kam hi aana hota hai, toh Yaha bhi Kam hi aa pata hu.
Mishrayin Amma: haa beta, bas Naukri par lag jaao, aur ham logo ka naam Roshan karo. Aee Priyanka bitiya, Pani lao, Anirudh aaya hai, aur haa chai bhi rakh do.
Udhar se Priyanka ki aawaj aayi...
Priyanka: thik hai mummy!
Priyanka Pani lekar aayi, uska mood sahi nahi lag raha tha.
Mishrayin Amma: ham jaa rahe hai chawal rakhne, tum log baitho!
Priyanka boli..
Priyanka: mummy chai rakh dijiyega tab..
Meine kaha..
Anirudh: Nahi Amma, chai pikar hi aaya hu, abhi rehne dijiye..
Priyanka mujhe ghur rahi thi, mein shaant tha, kuchh bolne ki himmat nahi thi. Haalanki meri koi Galti nahi thi, sab kuch haalat ka Kiya dhara tha. Par afsos, samajhne waala koi Nahi tha.
Priyanka boli..
Priyanka: aapko kuchh baat karni thi?
Meine kaha..
Anirudh: haa voh chashmi... Mera matlab hai, Bondita tumse baat karna chahti hai.
Priyanka tunakte huye boli..
Priyanka: mein kyu baat karu unse?? Aur unse mujhe kya kaam hai?? Achha.. toh abb voh bhi baat karegi ki mein Ghar waalo se baat karu! Anirudh mein aapko kuchh nahi kehna chahti hu.. par aap mujhe abb ghussa mat dilaiye.. aapko mujhse shaadi nahi karni hai, yeh aapki dikkat hai. Aapko gharwaalo ko kaise mana karna hai yeh aap sochiye, aur mujhe faltu mein kisise baat nahi Karni hai.
Kehkar Priyanka rone lagi..
"Mein unse baat kyu karu? "
Meine usee shant hone ko kaha,
Anirudh: yaar koi sun lega toh dikkat hogi, please ro mat.. meri baat suno. Voh tumse kyu baat karna chahti hai, kya baat karna chahti hai.. yeh mujhe Nahi pata.. par mujhe itna jaroor pata hai, ki voh chahti hai ki mein tumse shaadi ke liye haa kahu..
Priyanka ne hairaan hote huye kaha..
Priyanka: voh aisa kyu chahegi?
meine man mein kaha, kyuki voh baaki ladkiyo jaisi nahi hai, haa maanta hu ki chashmish mein bachpana hai par.. par samajhdaari bhi bohot hai usme.. jis baat se mein 2 saal se bhaag raha tha, aur samajhna nahi chahta tha, voh mujhe kal chashmish ne samjha diya.. "yeh sab jindagi ke utaar chadhaav hai.. aapko inhe jeena Hoga, hame bhi jeena Hoga!
khair, Phir meine kal Raat chashmish se huyi saari baato ko bataya..
Priyanka ne kaha..
Priyanka: thik hai, aap unhe Mera number dedo, mein baat Kar lungi..
Meine kaha, "thik hai, mein usee message Kar deta hu, aur uska tumhe! Baat Kar Lena. Abb mein jaa Raha hu.
Priyanka boli...
Priyanka: arey! Khaana toh kha lijiye..
Anirudh: Nahi, phir Kabhi.. abhi chalta hu..
To be continued...
YOU ARE READING
Mera Pehla Pyaar - Chashmish
RomanceMaana ke ham saath nahi Mere Aftab-e-Ishq, iss dil mein aaj bhi sirf tera chehra hai, sirf tera naam hai, jo chhap tum chhod gayi usee kabhi mitaya nahi jaa sakta, ek khubsurat sa ehsaas jo tumne diya, jab bhi uss din ke baare mein sochta hu, Hot...