(play the above song while reading)
Anirudh's POV...
Aaj mein bata nahi sakta mein kitna khush tha, jis tarah chashmish ne mujhe propose kiya tha, uss tarah shayad hi koi ladka kisi ladki ko propose kar sakta tha.. log kehte hai ki hamesha ladka ladki ko propose karta hai.. par hamari love story kuchh alag hi thi.. yaha ham dono ne ek dusre ko propose kiya tha..
Guru! Jab voh apne ek ghutne par baithe mujhe propose kar rahi thi, uss wakt uske liye mera pyaar aur bhi badh gaya, uske ek ek lafj jo mere liye the, usee sunkar khushi ke aansu nikal aaye, par,meine jhat se pochh liye, chashmish dekhti toh, khamakha chinta karti.. uss pal ko bas feel karna chahta tha..
mujhe pata nahi tha ki chashmish bhi mujhe chahne lagi hai, haa itna pata tha ki, chashmish mujhe pasand karne lagi hai.. par pyaar! Mein man hi man muskuraaye jaa raha tha..
Meine, aas paas dekha, sab log apne apne kaam karne chale gaye, toh meine bike par baithte huye ishaare se apne gaal par ungli rakhte huye, chashmish ki aur shararat bhari aankho se dekha.. chashmish ne mujhe ghura, aur boli..
Bondita : aajkal bohot shararti ho gaye hai aap.. baithiye abb, chaliye!
Chashmish ne mujhe dheere se maarte huye kaha..
Anirudh : jo bhi hai, aapke hi hai!
Mein chashmish se kafi dino se gaal par kiss mang raha tha, par chashmish koi na koi bahana banake sharmakar bhaag jaati thi, par aaj toh meine thaan hi liya tha, jo ho jaaye, aaj toh chashmish se kiss maang kar rahunga!
Ham bike par baithe,tabhi, chashmish ko bike ke side mirror se dekha, usse najre hat hi nahi rahi thi.. tabhi mere man mein ek khurafati idea aaya! Bohot hi faltu sa idea tha!! Meine bike start ki speed kafi tez thi, chashmish dar gayi, boli..
Bondita : yeh aap kya kar kar rahe hai! Speed kam kijiye..
Anirudh : ek shart par!
Bondita : kya??
Meine phirse apne gaal ki aur ishaara kiya aur muskuraaya..
Bondita : aahh!! Anirudh saamne dekho.. Gir jaayenge ham..
Anirudh : nahi, pehle tum bolo.. aur rahi baat girne ki, mein hu na haath thaam ne ke liye!! Tumhe girne du.. yeh kabhi nahi ho sakta..
Bondita : ohh filmo ke maharaj!!
Phir thodi saas lete huye kaha.. "achha baba ok! dungi!"
Mein khush ho gaya, par raasta kharab hone ke kaaran, bike ka balance bigad gaya aur......
Ham gir gaye, kichad mein, bohot paani tha kichad se bhara hua.. meine chashmish ki aur dekhkar bola..
Anirudh : tum thik ho??
Voh meri taraf dekhkar jor jor se hasne lagi, uski hasi rukne ka naam hi nahi le rahi thi..
Anirudh : arey! Tum ajib ho, bike se girne ke baad bhi has rahi ho!? Aur, has kis baat par rahi ho, itna hi toh puchha tha ki, tum thik ho ya nahi..
Bondita : (haste hue) Voh bhagwaan hai na upar, sab dekhta hai! Kitna sataya tha aapne mujhe.. abb dekhiye, de di na saza..
Anirudh : tumpe hi nazre gadhay baitha tha.. aur tum jo mujhe sata rahi thi, uski toh koi saja nahi di na tumhe.. chhoti si chij maangi thi aur tumne...
Mein toh tumhe bas ghumaane laana chahta tha.. taaki tumhe khush dekh saku.. Meine bataya tha na tumhe, ki tumhe haste huye dekhta hu toh saanse atak si jaati hai.. lekin chhodo, tum nahi samjhogi!
Mein kafi naaraj tha bondita se, mera muh bhi ban gaya tha.. chashmish ne bhi mujhe naaraj dekh, hasna band kar diya tha.. usne mera haath pakadne ki koshish ki.. par meine apna haath chhuda liya..
Voh bhi naaraj ho gayi..
par thodi der baad muskuraakar meri aur badhi.. mujhe samajh mein nahi aa raha tha ki chashmish aakhir karna kya chah rahi hai.. par voh jab meri aur badhi toh.. mera dil jor jor se dhadak raha tha..
usne mere gaal ka kichad saaf kiya apne dupatte se.. aur mere gaal par kiss kar diya..
Mujhe bohot bada shock laga tha..
To be continued...
YOU ARE READING
Mera Pehla Pyaar - Chashmish
RomansaMaana ke ham saath nahi Mere Aftab-e-Ishq, iss dil mein aaj bhi sirf tera chehra hai, sirf tera naam hai, jo chhap tum chhod gayi usee kabhi mitaya nahi jaa sakta, ek khubsurat sa ehsaas jo tumne diya, jab bhi uss din ke baare mein sochta hu, Hot...