Anirudh's POV...Priyanka ne meri saari sharto ko maan liya tha, khushi khushi usne vaada kiya ki voh mujhe pura wakt degi, mere past se mujhe bahar aane tak!
Kaaran bhi tha! Mujhpe toh voh vishwaas karti hi thi, saath mein abb chashmish par bhi vishwaas karne lagi thi.
Bondita bhi Priyanka ko chhoti behen maankar uss se roj baate kiya karti thi.
Mein chhutthi khatam karke, BHU ke liye jaane hi waala tha, ki gharwaalo ne faisla kar liya!
"Jab sabkuchh Tay ho hi gaya hai.. aur bachhe bhi razi hai shaadi ke liye, toh kyu na sagai kar di jaaye!"
Waise bachhe razi kyu na hote, hamse toh hamari marzi puchhne ki jarurat hi nahi samajhi! Bas! Farmaan suna diya.. Haan! Priyanka se jarur puchha gaya hoga. Kyuki voh Dono Ghar ki laadli jo thehri!
Aur ham eklaute hone ke bavjud, kachre ke dibbe!!
Haan! Haalanki mishrayin Amma hame maarti nahi thi. Shayad, daamad waali ijjat ke wajah se! Par khari khoti sunane se kabhi nahi chhodti..
Toh kul milaakar, yeh jaan lijiye ki Ghar par hamari ijjat jo hai, do kaudi ki bhi nahi hai!
Par, param santushti toh tab hoti hai, jab yeh ehsaas hota hai ki.. iss duniya mein do ladkiya hai, Jo Dil aur Jaan se hamari ijjat karti hai..
***
(Play the song given below, while reading ahead.)
Khair, gaav ke Tiwari pandit ko bulaaya gaya.. agle din ko sagai wagera rakh di gayi.. aur 6 mahine baad shaadi!
Priyanka ke chehre par toh gajab ki khushi jhalak rahi thi. Jise voh serious hokar chhupaane ki naakaam koshish kar rahi thi. Aur hamare chehre par, apaar dukh! Jise ham muskuraakar chhupa rahe the.
Guru samjho, bohot hi vikat paristhiti thi hamari.. ek baat samajh mein aa gayi thi, Kabhi Kabhi kuchh chije hame chahkar bhi nahi milti! Aur inhi baato ko sochkar Kabhi hasi aa rahi thi, toh kabhi rona!
Sagai ka karyakram khatam hua, hamne raahat ki saas li..
Agle din, BHU jaana tha. Subah ham nikal hi rahe the, toh Priyanka aur uska pura pariwaar aaya milne!
Priyanka ne dheere se side mein aakar kaha, "suniye, khayal rakhiyega apna! Aur sharab pina thoda kam kar dijiyega! Didi bata rahi thi, aap bohot pine lage hai, Amma babuji ko pata lagega, toh bohot daant sunenge aap!"
Mein bas shaanti se uska chehra Dekh raha tha, phir ek ek shabd ko dohraya!
Suniye! Ehsaas dila raha tha ki, jo space dene ki baat thi, voh keval dilaasa thi! Hak toh usne kal se hi jamana shuru kar diya! Aur yeh, suniye! Isiliye hai.. ki beta hamesha sunte rehna! Nahi toh.. jeene nahi dungi..
Dusra vakya!
Sharab pina chhod dijiye! Sunne mein toh lag raha hai, usne request kiya hai.. par yeh asal mein request nahi.. Farmaan tha! ki nahi maane toh.. Amma babuji toh hai hi lathyane ke liye!Waise hame kal hi samajh mein aa gaya tha ki, kal hamne anguthi ki adla badli nahi ki.. apne sukh chain ki adla badli ki hai
***
Meine Ghar se nikalte hi, chashmish ko call kiya..
Bondita: Hello, haa boliye.. boliye raaja!
Mein jhalla gaya, "Yaar bakwaas mat Karo! Priyanka ko kya jarurat thi batane ki, ki mein sharab pita hu?
Chashmish boli, "arey! Aap pite hai, usne puchha toh meine bata diya! Achha.. kuchh keh rahi thi kya?"
Meine thoda sa normal hote huye kaha, "haa Yaar.. voh keh rahi thi ki chhod do, nahi toh.. mummy Papa ko pata lagega toh.. dikkat hogi!"
Chashmish jor se hasne lagi..
Mein firse jhalla gaya,"abb kya hua?"
Chashmish boli," Yaar Priyanka toh umeed se jyaada tez hai, Saap bhi maar rahi hai, aur laathi ko bhi bacha rahi hai!"
Meine kaha,"tumne kaha tha na aisa karne ko?"
Chashmish boli,"Nahi.. meine kaha tha ki.. bas dheere dheere samjhao, par hame nahi pata tha ki, itne behtar tarike se voh samjhaegi! Kuchh bhi ho, abb aapko voh.. sudharkar hi maanegi.. waise, party kab milegi mujhe?"
Meine kaha, "kya Yaar tum bhi na! Mere liye koi Khushi ki baat nahi hai, ki party deta phiru!"
Chashmish boli," achha thik hai.. party mat dijiyega! Kam se Kam Shaadi mein toh bula lijiyega janab!"
Mein tilmila utha, "kyu? Tumhari behen Priyanka ne nahi bulaaya kya?"
Chashmish boli," usne toh bulaaya hai, par.. mein Aapke bulaane par hi aaungi.."
Kehkar chashmish ne call rakh diya.. meine dubaara call kiya.. toh pick nahi kiya.. shayad ghussa ho gayi! "Kyu khudko dukh de rahi ho chashmish?"
***
Bondita's POV...
Meine jhat se phone cut karkar, apne rone ki siskiyo ko puri tarah se rok kar.. khudse kaha..
Jaanti hu Anirudh, tum abhi bhi mujhe b..bhula nahi paa rahe ho.. par... Anirudh! Samjho na.. mein bas tumhe aage badhte huye dekhna chahti hu.. haa.. bhale hi ham nahi mil paaye, par.. tumhare saath bitaya har pal.. yaadgaar hai mere liye!Meine apne aansu pochhte huye kaha, "Bondita bhi waada karti hai tumse, tumhe aage badhne mein madat jarur karegi!"
***
Anirudh's POV...
BHU aaya, chaubey ji aur Maurya ji ko vyatha sunaayi.. aur anguthi dikhaayi.. sabne afsos jahir kiya.. dusra koi hota, toh Khushi ki baat hoti aur party hoti! Par hamare liye toh yeh.. Param dukh ki baat thi! Isliye gam bhulaane ke liye party rakhi gayi..
Abb chashmish ka har roj mujhe call aata tha, chashmish dono taraf ki khabar dene ka kaam karti thi. Priyanka aur uski bohot achhi ban rahi thi.
Mein Priyanka ko call nahi karta tha, aur na hi voh mujhe! Par ham dono ko ek dusre ki khabar rehti thi, mein nahi bhi sunna chahta tha, toh bhi chashmish Jaan bujhkar Priyanka ki hi baate batati thi.
Mein sab samajhta tha, ki voh dheere dheere chah rahi hai, ki mein apne past ko bhul jaau.. isi bich Priyanka ki posting mirzapur jille mein, PWD par aati hai, chashmish mujhe batati hai, kehti hai, Priyanka ne kaha hai.. batane ko.. par mujhe koi khaas matlab nahi tha.
Lekin, matlab ho yaa naa ho.. gharwaale matlab bana hi lete hai!
Call aaya," ki arey! Tumhare koi dost hai na Mirzapur mein? Usse kamre ki vyavastha ke liye kehdo! Priyanka ko lekar jaana hai, Ghar aa jao!"
To be continued...
YOU ARE READING
Mera Pehla Pyaar - Chashmish
RomanceMaana ke ham saath nahi Mere Aftab-e-Ishq, iss dil mein aaj bhi sirf tera chehra hai, sirf tera naam hai, jo chhap tum chhod gayi usee kabhi mitaya nahi jaa sakta, ek khubsurat sa ehsaas jo tumne diya, jab bhi uss din ke baare mein sochta hu, Hot...