chapter 39

253 28 9
                                    

Anirudh's POV

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Anirudh's POV...

Priyanka ki joining mirzapur mein honi thi, Ghar se farmaan aa gaya ki, "bitwa! Mirzapur mein kamre ki vyavastha karo!" Sach kahe toh sunte hi baura gaye ham! Lekin kar bhi kya sakte the phone par! Babuji farmaan suna rahe the, aaj ehsaas ho raha tha, ki mahadev hame ladka banakar hi galti kar diye!

Maataji kehti thi ki, "bitwa! Tumhare janam ke liye har Mandir mein maatha teke mannate maange hai, aur jab paida huye, gaav bhare mein laddu bathvaye! Aur dudh se nahlaaya gaya tumko!" Bachpan mein ham uhh kahani sunkar bade khush hote the! Ki.. arey! Hamare liye itna kuchh hua!" Par jab bade huye, tab samajh mein aaya ki pitaji ne jo bhi mannato ke liye kharcha kiya hai, usee suth samay wapas le rahe hai! Bachpan mein jo hua tha, voh sab toh bakre ko bali se pehle khilakar mota tagda karna tha!

Kya hi ki, hamare Ghar mein, hamari beheno ka tagda samman! Upar se nak behni Priyanka ka toh.. maharaniyo ki tarah samman tha!

Aur ham thehre, lathmarve! Jo aaye, lathiya ki nikal liye baato se!

***

Khair, kismat ko kabtak koste! Apne classmate Amit ko, jo ki mirzapur ka tha uss se kaha ki, "Bhai! Koi room ho toh batao mirzapur mein!"

Abb bhaiya Amit hamare thehre mirzapuri, jabtak puri baat na jaan lete, kamra khuchwaate nahi! Toh bhaiya, hamne bhi naa chahte huye bata diya, "ki tumhari hone waali bhaujai ka junior engineer pad par hua hai, mirzapur mein unhi ko rehna hai.."

"Arey, Guru badhai ho! Party kab de rahe ho?

Marta kya na karta! Keh diye, "jab kaho bhaiya!"

Shaam mein pura hostel hamari puri baarat nikaalne ko tayyar tha!

Party lene waale sab khushi se pi rahe the, ham, chaubey aur Maurya ji gam mein ek baar phir pi rahe the! Pine waalo ko chadh gayi thi, hostel pura, "Priyanka bhaujai ki jay!" Aur har har mahadev ke naam se gunj raha tha.

Khair, Nashe mein mere Amit mahoday ne kaha, "Yaar Anirudh! Chinta na karo, jabtak ham room nahi dilwa dete, bhaujai ko kehna hamare Ghar par hi rahe! Kauno dikkat naahi hai! Yaar phir kaho toh permanent hi vyavastha Kara de! Pitaji se baat karke ek room khaali karwa dete hai! Hamare yaha bhi kiraaye par niche kamra diya jaata hai!"

Hamne kaha,"Yaar! Iss se achha kya Hoga? Kara do vyavastha..

Usne kaha,"thik hai! Kal Ghar par baat karke batata hu"

Dheere dheere sab log jaane lage, aur ham! Nashe mein, "ek bottle ho bagal mein, aur haath mein ho ek glass! phir kisko fursat ki soche, kab subah hui, kab shaam!" Pi le.. pi le.. gungunaate huye bistar par gir gaye..

***

Subah 8 baje nind khuli toh yaad aaya ki, Ghar jaana hai Priyanka ko lene!

Hamne Amit ko call kiya, usne call pick nahi kiya..

Maurya ke room mein Gaye,"arey! Amitwa sasura pi kar so raha hai, kal uss se room ke liye kahe the.. jage toh uss se kehna ki hamse baat kare! Ham Ghar jaa rahe hai, kal aana hai.. toh usse kehna ki, saath mein mirzapur chalna hai!"

Maurya ne kaha,"sasura! Mujhe Nahi lagta voh itne jaldi uthega! Jab uthega tab bata bata denge.."

***

Mein gaav ke liye nikal liya, shaam ko Ghar pahucha.. tabtak Amit ne call karke bata diya tha, "ki Bhai niche ke kamre mein, puri vyavastha ho gayi hai, gharwaale keh rahe hai ki, saaman lekar naa aaye, jarurat padi toh.. ham hai hi!"

Hamne kaha,"Arey Yaar! Aise kaise hoga?"

Amit bola,"arey, Bhabhi hai hamari itna toh kar hi sakte hai!"

Iske aage Hamne kuchh nahi bola, Ghar par bataya toh.. sabhi log bohot khush huye..

Maataji boli,"chalo achha hai! Parayi jagah koi parichay ka ho toh achha hi hai! Par dekho, apne khaane ki vyavastha kar Lena, voh log jitna bhi kahe!"

Pitaji aur Mishra chacha ne bhi baat ka samarthan kiya!

Subah hui, hamlog nikal liye boriya bistar leke.. hamne saath mein Mishra chacha ko bhi le liya..

Dopeher mein Banaras pahuche, Amit pehle se intezaar mein tha..

Cylinder wagera dekhkar baura gaya, "yaar! Jab ham pehle hi mana kiye the, toh.. yeh sab laane ki kya jarurat thi?"

Hamne kaha,"arey yaar! Chacha ji nahi maane, hamne toh mana bhi kiya tha.."

***

Khair, Mirzapur pahuche Amit ka ghar bohot achha tha, uncle aunty bhi bohot achhe the, badi aag bhagat huyi! Aur priyanka ki, yaha bhi chaandi katne waali thi!

Aunty usee,"Arey bitiya!" Kehkar, khub dulaar rahi thi..
Kul milakar, usee yaha hamari mataji ki kami kuchh kam khalegi, aise mujhe dekhkar laga.

Amit ke pita ji gas wagera dekhkar ghussa ho gaye, bole.. "yeh sab samaan khulna nahi chahiye, aap ghar mein hamari sadasya ki tarah raho, jaise sab logo ke liye khaana banega, aapke liye bhi banega! Alag se banane ki koi jarurat nahi"

***

Agle din priyanka ne joining ki, shaam ko ghar par mithaayi lekar aayi sabke liye.. uncle aunty bohot khush the,

khub aashirwaad diya..

Hame bhi kaha,"hone waale professor sahab! Abb aap bhi jald hi professor bano!"

Meine kaha,"ji uncle, aap logo ka aashirwad raha toh.. jald hi banenge!"

Dusre din priyanka chhodkar, ham log nikal liye, mishra chacha ne jaate huye kaha,"beta! Abb priyanka aapki zimmedari hai, khayal rakhna uska!"

Hamne bhi ji chacha ji kehkar, vida liya!

To be continued...

Mera Pehla Pyaar - ChashmishWhere stories live. Discover now