chapter 31

258 42 39
                                    

Anirudh's POV

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Anirudh's POV...

Maine khud ko sambhala aur train se utar gaya, chashmish ki pichhe se rone ki aawaj bhi aa rahi thi, mere utarne ke thode der baad hi, train ki engine shuru ho gayi aur aage badhne lagi, chashmish train ki khidki se bye keh rahi thi, Maine bhi haath hilakar dheere se bye kaha..

Chashmish ki train jaa chuki thi, aur Mera dil bhi, uske saath hi train par sawar tha.

Waise uss din alag hi tarah ka gam ho raha tha. Aisa lag raha tha, shayad.. yeh hamari aakhri mulaakaat thi! Par, phir meine baad mein, khudko samjhaya ki, aisa toh ho hi nahi sakta.. kuchh bhi uth patang sochta hu mein bhi!

Mein, bike par baitha, aur Lanka ki aur chal diya, mujhe apne kuchh mithhe pal yaad aa gaye, Jo meine chashmish ke Saath bitaaye the..

Chashmish chhori Kam chhora jyaada thi..

Ek Baar library mein, chashmish ko kuchh books chahiye the, mein bhi uski madat Karne ke liye gaya.

Aur aakhirkaar, mujhe voh book mil gayi Jo chashmish ko chahiye thi, upar ki shelf par thi, Mera haath Nahi pahuch raha tha, toh waha Rakhi Jo kursi thi, uspar mein chadh gaya,. ISS baat se bekhabar ki, voh kursi tuti huyi thi, jara sa bhi bhaar padta, toh Puri tut jaati, mein chadha aur..

Dhadam se fir gaya. Chashmish meri taraf mudi aur boli..

Bondita: kya hua Anirudh!!

Anirudh: aahh!! Meri kambhar!!

Voh has rahi thi..

Bondita: ohh Bandar!! Voh kursi tuti huyi thi.. kya tum!

Chashmish ne mujhe apna haath diya aur mujhe uthhaya aur Bola,

Bondita: Kitna achha lag raha tha Nahi??

Aur jor jor se hasne lagi, meine kaha..

Anirudh: achha! Ruko tum Abb..

Bondita: ohh hello Mr Bandar, aap pehle pakad ke toh dikhaiye..

Usne bhaagte huye kaha, mein bhi muskuraate huye, uske pichhe bhag raha toh!

Ham log Puri library mein bhaagte rahe, voh toh achha toh log abhi tak aaye nahi the, nahi toh daat padti ham dono ko, chashmish jor jor se haste huye bas bhaag rahi thi..

Aakhirkaar, meine chashmish ko pakad hi liya, bhaagne ke liye koi raasta hi nahi bacha tha, pichhe diwaar, uski dono taraf book shelves, aur saamne mein!

Meine shararat bhari aawaj mein kaha,

Anirudh : Abb nahi bhagna miss chashmish ko?

Mein dheere dheere uski aur apne kadam badha raha tha, Abb voh bhi sharmakar pichhe ki aur badh rahi thi.. jab voh diwaar ko se takra gayi.. tab meine Apne wahi shararti aawaj mein kaha..

Anirudh: toh finally, tumhe pakad hi liye meine!!

Ham kafi nazdeek the.. ek dusre ke dhadkano ko achhe se mehsus Kar paa rahe the..

Mera Pehla Pyaar - ChashmishWhere stories live. Discover now