Part 32

312 28 18
                                    

Hello Beautiful People..!!

Here's the Diary Entries..!! (*Italics are Diary Entries and vice versa..!!*)

Don't forget to comment as much as possible..!! Writer Sahiba loves comments in every update..!!

Anyways, here's the update. Enjoy.. :)

.

.

.

.

Mr. Kirloskar: Miheeka beta, Mr. Shergill ne aap ke liye aur bhi kuch chodke gaye hai. (Manyata nods as she couldn't trust her voice) Yeh aap ke liye hai beta. (giving her a diary) Yeh diary Yuvraj Udayveer Singh ke liye hai. (giving him another dairy) aur yeh diary aap dono ke liye hai, sir. (giving a diary to Brij and Giri.) Ab hum chalte hai. (He bows down and leaves. Manyata keeps looking at that diary. She suddenly gets up and almost runs into her room without voicing any of her thoughts.)

Manyata sits on her bed, tearing up, to read the diary. Her vision goes blurry due to the tears in her eyes. She wipes her tears and starts reading the diary. It reads as follows:

My Dearest Miku,

Agar aap yeh diary pad rahi hai toh iska matlab yahi hai ki hum zinda nahi hai. Hum jaante hai ki aap hume bahut miss kar rahi hai aur aap kisi ke saamne royenge bhi nahi taaki aap ki weakness kisi ko na dikhe lekin hum aap ko dekh rahe hai, beta.

(Manyata cries reading those lines.)

Hum chahte hai ki aap hume jab bhi yaad kare toh muskurate hue yaad kare. Sirf achchi yaadein yaad kare. Hum aap ko rote hue kabhi nahi dekh sakthe khaas kar tab jab un aasu ka kaaran hum hai. Ab chaliye apne aasu ponch lijiye.

(Manyata wipes her tears and reads further)

Humari khwaish hai beta ki aap Devgarh and Jaigarh ke Raj Parivar yaani aap ke parivaar ko puri tarah se accept kare. Hum jaante hai ki kahi na kahi aap un logo accept kar chuki hai lekin sirf humare liye unhe puri tarah accept kar ke apne ateet se move on kijiye, beta.

Aap ne hume kabhi uss din ke baare mein baat nahi ki lekin hum itna toh samajhte hai ki uss din kuch bura hua, bahut bura, jo aap ke dil ko tod chuka hai lekin humara yakeen kijiye beta, hum sab aap se bahut zyada pyaar karte hai. Aap ko yeh baat mehsoos hua hoga na?

Uss din jo bhi hua tha, wo sab ek bura Khwaab samajh kar bhul jayiye, beta

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Uss din jo bhi hua tha, wo sab ek bura Khwaab samajh kar bhul jayiye, beta. Uss ek hadsa ko yaad karte hue puri zindagi ko mayoos nahi banate. Iss liye aap hume promise kijiye ki aap uss hadse se move on karne ki koshish karenge. Ab aap ko apne zindagi mein kisi ko aane ka mauka dena chahiye, aise kab tak aap akele rahenge. Ek baar apne aas paas dekhiye beta, aap ki khushiyaan aap ke saamne hi hai unhe pehechaan ne ki koshish kijiye.

Manyata: (in a trance) I promise you, Chachu. Hum uss hadse se bahar aane ki koshish karenge. Hum apne zindagi mein khushiyaan ko aane denge. (wiping her tears)

Doctor PrincessWhere stories live. Discover now