.I can't deny the fact that I'm falling for you through my heart.
~
Y/n: th-theek hai...
Shraddha: Second ye ke tum kabhi alas nhi karogi or har kaam ko perfectly karogi...
Y/n: j-jii...
Shraddha: or third sabse main tumhe yaha kaam par agar mein rakhugi ko tumhe khana bhi banana hoga, ky tumhe Khana banana aata hai..?
Y/n: haa, mein bana leti hu...
Shraddha nod karti hai with a cold face or saumya ko dekhti hai jo apne smartphone me bohot hi lagi hui thi phir bhi shraddha use kuch nhi kehti.
Shraddha: Saumya beta, ky mein ise rakh lu...?
Saumya: mumma aapko Jo chahiye aap wo kar sakti hai lekin baadme mujhe shikayat ka mauka mat dijiye ga...
Shraddha y/n ko dekhti hai.
Shraddha: suna..?
Y/n: j-jii...
Shraddha nod karti hai or y/n ko abhi ghar jaane kehti hai kyuke kal se y/n yaha par subah apni college khatam karke aaye gi jo ke 2 baje hoti hai but wo notes apni kisi classmate se le legi or jaldi hi aajayegi. Y/n waha se chalti hu kehkar aage badhi hi thi ke saumya kehti hai piche se.
Saumya: or haa time ki paabandi honi chahiye, jitne baje kaha gaya hai tum utne hi Baje aaogi or jitne baje Jane kaha hai utne hi Baje yaha se chali jaogi...samjhi?
Y/n: j-jii...
Y/n bina mude ye kehti hai or waha se bahar chalti hai, use pedal hi itni raat gaye apne hostel jaana tha or kalke incident se wo dari thi phir bhi is sheher me use apni suraksha khud karni hogi halaki wo utni badi nhi hui hai phir bhi.
Saumya: Mumma ky aapko sachme lagta hai ke ye ladki sahi hai yaha kaam karne ke liye??
Shraddha: kyu?
Saumya: kyuke aapne ise tahir ji ka kamra saaf karne diya hai, or iski niyat par shak hai mujhe...agar tahir ji par iski nazara nhi padi na to bhagwan Kasam jaan le lugi iski...
Shraddha: shaant saumya shaant! Esa kuch nhi hoga..dekh nhi rhi ho kitni sidhi dikh rhi hai use kapde pehenne ka bhi sense nhi hai wo ky tahir ko cheenegi tumse? Wo sirf tumhara hai...
Saumya smirk karti hai shraddha ke taraf or phir wo dono hi apne apne kaamo me lag jate hai, idhar y/n gate se bahar nikalti hai or use saamne hi tahir apni Jeep se utarta hua dikhta hai, wo dono ka hi eye contact hota hai or ek second ke liye jese wakt tham jata hai. Y/n ko again usse milkar kuch alag hi feeling aati hai or tahir ko bhi.
आप पढ़ रहे हैं
𝐃𝐚𝐦𝐚𝐚𝐝 𝐣𝐢𝐢 - [𝐤𝐭𝐡 𝐟𝐟]✔
Fanfiction"Bharosa hai aapko inpar..?" "Haa, par aap ye kyu pooch rahe hai..??'" "Kyuke sabse pehle jab aap ghar ke bahar nikli to yaha aai....kyu aai hogi? Thanks bolne ya fir kuch maangne....wahi to karte hai na log yaha aakar?" "Haa, mein shukriya karne aa...