.Your kindness is the only thing from which I had fall for you.~
Y/n hug todti hai uske dadu ke saath or tabhi yogesh kehta hai.
Yogesh: Tum dono ne shaadi pehle nhi ki thi right? Y/n sirf tahir ke ghar me kaam karne aai thi or fir tahir ne y/n ki madad karne ke tor par uske gao gaya tha as her husband or waha phir prakash ne tum dono ki shaadi karwai tum dono ne kar to Li jisse sabko yakeen ho gaya magar tum dono ke beech ab pyar nhi tha,dheere dheere pyar hua or tum dono is stage par ho. Tahir ne jo bataya ke uski maa hai sirf wo sach tha but asal me sauteli hai lekin wo acche se behave nhi karti isiliye tahir bhi use apni maa kabhi nhi banaya, y/n yaha reh leti hai in sabke beech par pata nhi kese. Abhi bhi y/n padhai kar rhi hai...haina? Ye sab sach?
Y/n or tahir dono hi shockness me hote hai ke aakhir kese pata chala yogesh ko ye sab,par iske piche bhi ek Raaz hai.
Yogesh: tum dono ko ky laga mujhe kuch pata nhi chalega or Sarita Prakash rishi or jatin ko jis tarah duniya ke saath tum dono ne bewakoof banaya us tarah mein bhi ban jauga, but nahi! Ese case bohot dekhe hai...par mein apni y/n ka ghar nhi todna chahta hu isiliye I promise ke ye kisiko nhi batauga..
Tahir: but aapko ye pata kaha se chala?
Yogesh: dimaag se, shaatir hu bhaiya yu hi saalo se videsh me nhi reh Raha..
Wo dono hi samajhte hai or yakeen karte hai yogesh par kuch baato ke baad yogesh shaam me jaane wala hota hai ye sunkar y/n or tahir use rokte to bohot hai lekin yogesh bhi kam ziddi nhi the aakhir me y/n maan hi jati hai as yogesh aaj shaam hi gao jaa raha tha bohot saalo baad.
Y/n: apna dhayan rakhna dadu...
Tahir: haa or hume call kar dena pohochne ke baad...
Yogesh: Okay damaad ji...tum dono bhi apna khayal rakhna wese bhi kafi dino baad train me jaa raha hu dekhte hai ky hoga...
Y/n or tahir haste hai yogesh ka funny face dekh kar or phir jab train start hoti hai to y/n or tahir unhe last goodbye karke waha se chale aate hai Ghar, y/n again jakar bed par let jaati hai as tahir bhi us raat notice karta hia ke y/n bohot dino se kam baat kar rhi hai or zyada pareshan dikh rhi hai.
Wo uske baju let ta to hai but just use dekhte rehta hai, y/n soi nhi thi wo sab samajh rhi thi ke tahir use dekh raha hai but pata nhi kyu? Wo apni aankh kholti hai or tahir ko confusion me dekhti hai.
Y/n: Ky aap Hume bhi sone dege or khud bhi soyege??
Tahir: Nahh!
Y/n: Aap dadu ki language kyu sikh gaye hai unhe aadat hai ese nhi kehne ki jo aap lag chuki hai...
Tahir: Aapki tabiyat kharab hai or aapne bataya bhi nhi hume, huh?!
Y/n shock hoti hai ke Tahir ko ye kese pata chala.
आप पढ़ रहे हैं
𝐃𝐚𝐦𝐚𝐚𝐝 𝐣𝐢𝐢 - [𝐤𝐭𝐡 𝐟𝐟]✔
Fanfiction"Bharosa hai aapko inpar..?" "Haa, par aap ye kyu pooch rahe hai..??'" "Kyuke sabse pehle jab aap ghar ke bahar nikli to yaha aai....kyu aai hogi? Thanks bolne ya fir kuch maangne....wahi to karte hai na log yaha aakar?" "Haa, mein shukriya karne aa...