Chapter 54

454 85 15
                                    

After dinner.

Siddharth: Abhishek hum aaj Reemi ko apne sath leke jate hain. Kal early morning tujhe and Vaishnavi ko hospital jana hain. Reemi tab tak uthi bhi nahin hogi. Bachi ko zyada hospital nahin leke jana chaye.

Avneet: Correct! Upar se ek to aadhi neend ke vajah se iska bhi din kharab ho jayega. Aur phir early morning bola hain to tujhe already Vaishu ki help karni hain plus isko ready karna. Usse acha aaj vo humare sath rahe. Best option tum log hospital se seedha humare ghar aana. Breakfast sath me karege.

Abhishek: Vo sab to theek hain par Reemi se bhi puch lo. Abhi sab samajhne lagi hain to aese na raat ko tang kare tum logo ko.

Avneet: Reemi to mami ki baby hain. Reemi mama mami sath chalegi aaj?

Reem (pointing at Vaishnavi): Maa?

Abhishek (smacking his forehead): Pura din maa chaye isko.

Reem giggle.

Avneet: Na baby. Only Reemi, Mamu and Mami.

Reem (pout): Naa...

Siddharth (confused): Nahin chalna?

Reem (shooking her head): Maa...

Abhishek (wiping his fake tears): Baap ki koi value hi nahin. Har waqt maa maa karna hain.

Avneet (irritated): Tu chup baith. Yaha serious topic hain or tujhe pagalpan suj raha hain.

Siddharth (puppy eyes): Reemi mamu ke sath nahin jayegi?

Reem (pointing at Vaishnavi): Maa...

Avneet (rolling her eyes): Iski sui to maa par hi ataki hui hain or kisi ki koi izzat hi nahin hain.

Vaishnavi chuckled looking at drama.

Siddharth (rolling his eyes): Has lo has lo humari insult hote dekh tumhe khushi ho rahi hain. Hehehe... Ye expectations nahin thi tumse.

Vaishnavi: Mujhe aapke drame dekh hasi aa rahi hain.

Reem glared at Siddharth. Just then Siddharth's phone rang.

Siddharth: Boss ka hain. Need to attend this.

He left from there.

Avneet: Tum hi karo apni beti ko convince ab.

Vaishnavi nodded with a giggle.

Vaishnavi (caressing Reem's hair): Baby.

Reem (giggle): Maa...

Vaishnavi: Baby mamu, mami ko reemi ke sath time spend karna hain ache se.

Reem nodded. Just then Siddharth came there.

Avneet: Kya bola boss ne?

Siddharth: 3days ke liye Bangalore jana hain. I mean Mr. Shah ki health kharab ho gayi hain. I need to go on his behalf.

Avneet (narrowing her eyes): Vo madhumakhi anjali bhi sath chalegi?

Vaishnavi chuckled. So, Abhishek did.

Siddharth (bending towards Avneet's face): Haan par ye phool sirf is madhumakhi ka hain. Main us madhumakhi ko pass na aane doon.

He said pecking her nose. Avneet smiled kissing his cheek. Abhishek and Vaishnavi smiled at them.

Siddharth: So permission hain mujhe jane ki?

Avneet nodded with a smile. Siddharth stood properly.

Avneet (frown): Flight kitne baje ki hain?

Siddharth: 1hr hain. I mean 1hr baad office cab aayegi pick karne for airport

Abhishek: Jaldi kar lo packing. Avneet Siddharth ke jane ke baad tum yehi aao. Yaha stay karo jab tak Siddharth aaye.

Siddharth: Sounds good. Theek hain packing karke Avni ko building ke niche drop kar dooga.

After bidding bye Siddharth and Avneet left. With the help of Abhishek, Vaishnavi got fresh. Abhishek made Reem sleep.

Vaishnavi: Main and Avni mere room me rahete hain?

Abhishek: Okay...

Soon Avneet came. Abhishek and Reem slept in Abhishek's room. Avneet and Vaishnavi were in Vaishnavi's room.

Avneet: Ek baat puchu?

Vaishnavi: Haan?

Avneet: Jab dining par Reemi possessive ho gayi and then Sid cried remembering Reem (his sister) tab tum chup chup ho gayi thi. Kya hua?

Vaishnavi: Nahin... Aesa kuch nahin hain.

Avneet: You know what vaishu ye question maine tujhse pucha sach janne ke liye. Aesa kuch nahin hain ye sach to hain nahin but nevermind if you don't consider me your friend and don't trust me.

To be continued...

TRAGEDY TO TREASURE (COMPLETED)Where stories live. Discover now