Chapter 34

126 10 12
                                    

Zayn ghadi chala raha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn ghadi chala raha tha. Usne ek nazar apni wrist watch par daali. Waqt ka andaza lagate hi usne ghadi ki raftaar tez kar di. Gaadi ke speakers se halki dhun mein ek gana baj raha tha, aur Zayn ke chehre par ek halki si muskurahat thi. Aaj Muskan ne use khud phone karke bulaya tha, aur yeh soch kar uska dil khushi se bhar gaya tha.

Park ke bahar gaadi park karke, woh andar gaya. Wahi purani jagah. Lake ke samne ka bench, jo ek bade gulmohar ke darakht ke neeche tha. Muskan wahan bethi thi. Uski taange apne seene ke gird lapeti hui thi. Sar ghutno par rakha hua, aur dono haathon se apni taangon ko thaam rakha tha.

Zayn dheere se uske paas gaya aur uske saath zameen par baith gaya.

"Kya baat hai? Aaj mujhe yaad kar liya tumne?" Zayn ne muskurate hue cheda.

Muskan chup rahi. Uska chehra itna sanjeedah aur udaas tha. Zayn ko use dekh ghabrahat hui. Uski aankhein uske chehre par tik gayi thi.

"Tum theek ho na?" Zayn ne pareshaani se puchha. Usne kabhi Muskan ko is tarah nahi dekha tha.

"Kuch nahi. Bas... mind fresh karna tha," Muskan ne jheel ki taraf dekhte hue kaha.

Zayn uski taraf dekh raha tha, har waqt ki muskurahat aur mazak aaj uske chehre se gaayab thi. Phir achanak woh uth gayi aur uski taraf dekha.

"Kahin chalen?" Usne dheemi si awaaz mein kaha.

Zayn ne thoda ghabra kar sir hila diya aur uske peeche chalne laga. Muskan khidki ke bahar dekh rahi thi, Zayn uski taraf dekhta aur firse samne dekhta, use bechaini ho rahi thi. Pura safar khamoshi mein kat gaya.

Gaadi ek game center ke samne ruk gayi.

"Games khelne ka mann hai?"

Muskan ne sir hila diya aur gaadi se utar gayi.

Woh andar gaye, jahan har taraf roshniyan thi, log hansi-mazaak kar rahe the. Muskan ek claw machine ke paas gayi aur usne ek stuffed toy ki taraf ishara kiya.

"Woh chahiye," usne dheeme se kaha.

Zayn ne hansi rok kar kaha, "Tumhe pata hai na, yeh machines cheating karti hain?"

Muskan ne bina kuch kahe sirf us khilone ki taraf dekha. Uski aankhon mein ek ajeeb si kasak thi, jo Zayn mehsoos kar raha tha. Use yeh ehsaas tha ke Muskan aaj alag bartaav kar rahi thi.

"Theek hai," usne coins machine mein daale aur game khelna shuru kiya. Pehli koshish nakaam rahi, phir dusri bhi. Muskan chup chap khadi thi, Woh Zayn ko gour se dekh rahi thi.

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now