College mein Fun fair ka din tha. Zayn aur Afzal kuch documents liye wahin ground se guzar rahe the. Wahan se guzarte waqt Zayn ki nazar Muskan par padi jo Zamir se kuchh baat kar rahi thi.
Woh dono ek stall ke paas khade the. Zayn ne use ek nazar dekha aur wahin ruk gaya,"Wahan kya ho raha hai?"
Afzal ne unki taraf dekha aur kaha,"Baatein kar rahe hai aur kya ho raha hai."
"Baatein..." Usne dheere se dohraya aur bagal mein lagi stall ko dekha. Woh ek game ki stall thi, jahan dart aur target ka game lagaya gaya tha. Usne table par rakhi ek dart uthai aur Zamir ki tarf dekhte hue fek di.
"Ise mana kiya tha maine, lekin yeh ladka..."
Zayn ne gusse mein dart fenkte hue kaha. Dart seedha ja kar Zamir ke sir par lagi.Aaiza foran Zamir ke paas chali gayi aur uska haal dekhne lagi. Muskan ne idhar udhar dekha, aur uski nazar ja kar Zayn par ruki. Woh uski taraf pith kiye khada tha.
Muskan uske paas gayi aur dheemi awaaz mein kaha,"Zayn?" Muskan ki awaaz sun kar woh palta aur use hairani se dekha.
"Hii," Afzal ne casually kaha.
"Hii," Muskan ne uski taraf dekha, phir apni nazar Zayn par tikayi.
"Tum yahan?"
"Tumhe kya lagta hai? Main iss college ka trustee hoon, toh aaunga hi,"
"Achha... haan," Muskan ne sir hila kar jawab diya.
Zayn se raha nahi gaya. Usne ek thehra hua sa sawaal kiya, "Tum Zamir se baat kar rahi thi?"
"Haan, woh shaadi ka invitation de raha tha," Muskan ne ek halki si muskurahat ke saath jawab diya.
"Shaadi?" Use shok laga tha.
"Haan, agle mahine hai... Aaiza ke saath,"
"Achha hai, karni chahiye."
Muskan ne bhi sir hila kar uski baat ka saath diya.
"Hame chalna chahiye ab," Afzal ne Zayn ke kandhe par haath rakhte hue kaha.
"Haan, bilkul," Zayn ne ek baar Muskan ki taraf dekha aur phir Afzal ke saath wahan se chala gaya. Zayn janta tha usne jalan mein aa kar yeh kiya tha. Woh janta tha ab joh jazbaat uske dil mein Muskan ke liye the woh dosti se badh kar the.
Use mohabbat ka ehsas tha.Muskan ko uske jaane ke baad kuch ajeeb sa mehsoos hua, Woh wapas apni doston ke saath mashroof ho gayi.
Raat ko ghar laut kar, woh apne kamre mein nahi gaya. Pehli baar, woh muskara raha tha. Fazila usse milne ayi aur uska chehra dekh kar hairan ho gayi.
“Zayn, kya baat hai? Aaj tum kuchh alag tarah se muskura rahe ho.” Fazila ne usse pyaar se pucha.
Zayn ne be-ikhtiyaar apni muskaan ko daba kar kaha, “Kuch nahi, Ammi. Bas dil halka hai aaj.”
Fazila uske paas baith gayi, uska haath thaam kar. “Zayn, mujhe toh kuch aur lag raha hai. Batao na, kya baat hai?”
Zayn ne ek lamha ruka, phir dheeme lehje mein bola, “Ammi, mujhe lagta hai ke mujhe kisi se mohabbat ho gayi hai.”
Fazila ke chehre par ek chamak ayi. Usne dua dene ke liye apne haath uthaye aur kaha, “MashaAllah! Mujhe toh pehle hi shak tha ke tumhare dil mein koi hai. Batao, woh kaun hai?”
Zayn ne ek lamha ke liye aankhen band ki aur ek gehri saans li. Magar usne sirf itna kaha, “Abhi nahi, Ammi. Pehle use toh bata dun.”
Fazila ne mohabbat bhari muskaraahat ke saath uska haath dabaya. Magar uska zehan sirf ek chehre ki tasveer se bhar gaya tha—Mahira. Usne khud se kaha, “Alhamdulillah.”
___________________________________________
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...