Zayn ki gaadi cafe ke bahar ruki. Woh ek lamhe ke liye ruk gaya. Usne steering par rakhay apne haath dekhe, jo halka sa kaanp rahe the. Aaj ke din ke liye wo tayar nahi tha, lekin uske paas koi aur raasta bhi nahi tha. Ek gehri saans lekar usne car ka darwaza khola aur cafe ke andar chala gaya.
Shayra counter par khadi thi. Shayra ke chehre par kuch tha jo usse aur bechain kar gaya.
"Muskan kaha hai?"
Shayra ne sirf ek lamhe ke liye uski taraf dekha. "Zayn, wo toh chali gayi, kal subah uski flight thi."
"Kaha gayi?"
"London," Shayra ne dheeme lehze mein kaha. "Apni further studies ke liye."
Sirf wahan se mud kar bahar chala gaya.
Usne car start ki aur bina sochay samajhay raste par nikal gaya.
"Muskan Malik. Aaj subah ki flight... wo kis flight mein gayi thi?" usne staff se poocha, uske alfaz katay hue lag rahe the.
Staff ne system check kiya, phir sir uthakar uski taraf dekha. "Unhone wo flight nahi li."
"Aap shayad galat dekh rahe hain," usne israr kiya, lekin jawab wahi tha: "Unhone flight miss kar di thi."
Zayn ne sirf ek lamha ke liye us bande ki taraf dekha, phir wahan se mud gaya.
Zayn ne gaadi hotel ke samne roki. Ek pal ke liye usne steering wheel ko mazbooti se thaama aur geheri saans li. Uski aankhon mein thakan thi. Darwaza kholte hi woh seedha andar chala gaya, bina idhar udhar dekhe.
Woh kisi se phone par baat kar rahe the. Jaise hi unhone nazar uthai aur Zayn ko dekha, unka chehra ek hi lamhe mein tez ho gaya.
"Tum? Tumhe sharam nahi aati? Jo kuch tumne kiya hai uske baad bhi mere saamne aaye ho?"
"Sharam mujhe nahi, aapko aani chahiye,"
"Maine usse wahan aage ki padhai ke liye bheja tha. Main khud usse airport chhod kar aaya tha. Tum... tum use wahan se lekar kahan chale gaye?"
Zayn ne ek kadam aage badha "Mujhe toh yeh bhi nahi pata tha ke woh kahin ja rahi hai. Aapne usse bheja, aur ab mujhe ilzaam de rahe hain?"
"Mujhe laga tha woh tumhare saath gayi hai,"
"Main do din se usse mila tak nahi. Hamari baat bhi nahi hui hai,"
"Maine usse khud boarding ke liye bheja tha, Aur ab pata chala ke usne flight miss kar di. Toh mujhe kaise na lage ke tumhare saath gayi hai?"
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...