Chapter 33

150 11 2
                                    

Muskan ne darwaza khola aur ghar mein daakhil hui

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan ne darwaza khola aur ghar mein daakhil hui. Kiran, lounge ke beech khadi thi, uska chehra gusse aur bechaini ka aks tha.

"Yeh kaun tha, Muskan?" Kiran ka lehja sakht tha.

"Bas ek dost," Muskan ne dheeme lehje mein kaha, apni nazrein zameen par tikate hue.

"Dost? Mujhe sab pata hai, Muskan. Azlan ne mujhe sab bataya hai," Kiran ne uske kareeb aate hue kaha.

Muskan ek lamhe ke liye chup ho gayi. "Ammi, woh bas ek dost hai. Maine kuch galat nahi kiya," usne samjhane ki koshish ki.

Kiran ne gehri saans li aur apne jazbaat ko sambhalte hue kaha, "Galat aur sahi ka faisla kabhi kabhi jazbaat nahi, haalaat karte hain. Tum abhi samajh nahi rahi ho."

"Woh jhuth keh rahen hain. Hamare bich Aisa kuchh nahi hai." Muskan ne bechaini se kaha.

"Har koi yahi kehta hai."

"Aisa nahi hai ammi."

"Kya mujhe tumhare jazbat samajh nahi aate ? Yeh kehna chahti ho?"

"Ammi"

"Tumhare chehre ko dekh kar hi pata chal raha hai ke tum dono ke darmiya kya hai. Tum uske liye kya mehsoos karti ho. Tumhare abbu galat nahi hai. Tum galat ho."

"Kisi ko pasand karna galat nahi ho sakta."

"Use khudgarzi kehte hai."

"Yeh khudgarzi nahi hai. Mujhe bhi khush rehne ka haq hai."

"Bachi ho tum abhi. In sab jazbaton ke baare mein tumhe samajh nahi hai."

"Kisi ko pasand karne mein koi burai nahi."

"Burai hai. Insaan mohabbat ke naam itne gunah karta hai ke mohabbat ko hi haram kardeta hai."

"Ammi woh mujhe pasand nahi karta. Sirf mein karti hun."

"Fir toh khatam karo yeh jazbat."

"Yeh mere haath mein nahi hai."

"Yeh sab karke tumhe kuchh hasil nahi hoga. Ek tarfa Mohabbat sirf mout de sakti hai zindagi nahi." Azlan ne peeche se awaz di.

Kiran ek pal ke liye chup rahi. Uske chehre par guzre hue waqt ka bojh nazar aane laga. Woh Muskan ka hath pakad kar use apne kamre mein le gai. Usne ek kursi kheench kar baithne ka ishara kiya aur khud bhi baith gayi.

"Ab meri baat suno. Jo mein kahun use samajhne ki koshish karna, Muskan," uska lehja ab naram tha.

"Kya batana hai aapko?"

"Tumhare abbu ke baare mein."

"Ke woh mujhse itni nafrat kyun karte hai?"

"Haan"

"Jab main school mein thi, tab Azlan se mili thi." Kiran ke chehre par guzar chuki yaadein ujagar ho rahi thi. "Main aur woh ek doosre se mohabbat karte the. Roz milte the. Ghumne jaya karte the. Aur tab hame bhi mohabbat galat nahi lagti thi. Sab thik tha. Magar mere walid ko pata chal gaya."

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now