Part - 10

709 55 0
                                    

Anirudh and Bondita both leave for meet eachother ...

Bondita aap saath rosogulle or Anirudh aapne saath women rights ki book lekar jata hai

They both reach to the school Bondita :- pta nahi kab aayege ye biristra babu ...

Anirudh (from behind) :- Bondita... ( Bondita turns)

Bondita :- aap aa gaye...

Both :- muje tumse\aapse kuch kehna hai

Both :- haa to bolo Both ..nahi phele tum\aap boliye

Anirudh :- aacha main bolta hu uss
din jo kuch bhi hua muje usska bhout pachtawa hai please muje maff kardo

Bondita :- mafi to muje bhi mangni hai aapse mane aapke tin ke dabbe...

Anirudh :- kya...

Bondita :- mera matlab hai aapki gadi par gobar nahi lagana chiye tha sama kar digye muje ...

Anirudh :- thik hai mane tumhe maff kiya

Bondita :- mane bhi aapko maff kiya raak..biristra babu

Anirudh :- bondita biristra nahi barrister babu

Bondita :- wahi to bola biristra babu..

Anirudh :- barrister... Aacha rehne do tum muje biristra babu hi bula lo (Both laugh)

Bondita :- hyy dugga maa... Der hi gayi ghar der se pahuchi to maa chinta karegi or mammi to bhout dantegi...
Main chalti hu ... (Go same steps forward and then again came } dekha ekdam buddhu hu main aapke liye ye rosogulle layi thi dena hi bhul gayi (gave the rosogulle to him and about to leave)

Anirudh :- arre arre bondita ruko to jara main bhi tumhare liye kuch laya hu (gave the book to her) isse jarrur padhna ...

Bondita :- thik hai dhanyawad .. ( she leaves )

Anirudh find himself smiling for no reason ..

He also leave from there

At rc mention Anirudh saw soudamini..

Anirudh :- arre mini tum woh (she glare at him and leave )
esse kya ho gaya (yuvraj came) arre yuvi ye mini ko kya ho gaya hai woh esse kyu behave kar rahi hai

Yuvraj :- kyuki maine usse bta diya ki tu usse vivah nahi karna chata hai.. ( he say casually and eat his remaining apple)

Anirudh :- kya ..to isliye naraz hai woh... Tune aisa kyu bola...

Yuvraj :- woh shadi ki baat kar rahi thi to  bta diya tu ye bta kesi rahi bondita se mulakat mafi mangi ki nahi ...

Anirudh :- haa mangi or ussne muje maf bhi kar diya or ye dekh gift main rosogulle bhi diye.... Par tu ( yuvraj interrupt him)

UV :- arre wah rosogulle (try to eat them)

Anirudh :- arre arre arre doctor sahab ye mera tofa hai ..

UV :- wah ji wah rosogulle ke liye dost ko bhul gaya bewafa insan ... Dosti pe woh kala wala rang...

Anirudh :- tera matlab kalank ...

UV :- haa haa wahi kalank ...

Anirudh :- tujhe na doctor nahi joker hona chiye the notanki kahi ka ye le ( gave the rosogulle to him ) khush

Yuvraj :- bhout (hug eachother ) mujhe kuch kaam hai main aata hu...

Anirudh :- mujhe  aise kyu laga yuvi mini se naraz hai .. main hi jyada soch raha hu... Par mujhe mini se baat karni hogi..

Yuvraj (thinking) :- ( muje Anirudh ko saudamini ke baare main bta dena chiye usse bhi pta chalna chiye ki jise woh aapna jiwan saathi banana chahta hai woh asal main usse saath hi nahi hai to jiwan to bhout dur ki baat hai Isse phele ki der ho muje Anirudh ko sab batana hoga please durga maa meri madad kigye ... Main aapne dost ko uss chalak soudamini se vivah nahi karne de sakta bhout bhola hai woh.. woh kisi bhi keemat par soudamini jesi ladki deserve nahi karta bilkul nahi woh to ek essi jiwan saathi deserve karta hai jo bilkul usske jesi ho usse samjhe usski badlav ke sapne ko samjhe .( tear fell from his eyes) 

At bondita's side

Aashita :- mil kar aa gayi vilayti babu se

Bondita :- haa shama bhi mang li or biristra babu ne muje maaf bhi kar diya ..or ye dekh ye kitab di hai tohfe main

Aashita read the title

Aashita :- "Naari Adhikar" (note:the book is in hindi translation) arre ye to bilkul tere hi kaam ki pustak hai tuje ye badlav or badlav ke visay main har cheese pasand hai na..

Bondita :- haa kyuki baba kehte the badlav prakarti ka niyam hai or humare desh main bhout kuch badla par ye samaj aaj bhi wahi hai or aurto ki stithi .. woh to badli hi nahi or tu dekhna ye badlav ek din iss desh iss samaj main jarrur aayega kyuki is
badlav ke aabhav main hi mane aapne baba ko kho diya aaj bhi jab woh baat yaad karti hu na to aatma tak kaap uthti hai meri ...

Flashback

Bondita's father is tied in a piller... Bondita and her mother is also tied on other side

Bondita(8 year old kid) :- chhod do mere baba koooo.... Jane do unheee ...

Sumati maa :- chhod digye unhe dada reham kigye sama kat digye unhe

Men 1 :- nahi....paapi hai ye ek papan ki madad ki hai isne

Somesh :- agar ek bekasur ki madad karna paap hai to haa hu main papiiii or muje koi pachtawa nahi aapne iss paap parrrrr .... (Loudly) (note :somesh is bondita's father name)

Men 2 :- tumne paap kiya hai uss vidhwa ki madad karke

Somesh :- too kya vidhwa insaan nahi hoti kab badlegi iss samaj ki ye jadbuddi durga maa ne sabhi ko ek saman banaya hai to insano main ye bhed kyu ...mar jati woh prasav pida se ek jiwan agar ussne khoya tha to ek jiwan ko aastitav dene wali thi to kyu nahi karta main usski madad....

Man 3 :- par thi to kulta aapne pati ko kha gayi jo jiwan kha gayi woh jiwan ko kese aastitav main laa sakti hai purush hokar tumne purusho ka apman kiya hai tumhe jine ka koi haq nahi hai

Everyone :- haa haa koi haq nahi hai mar do isse laga do aag iske deh ko

Bondita :- nahiiii mat maro mere baba kooo babaaaaa.......

Somesh :- nahi bondita .... Tumhe rona nahi hai tumhare baba ja jarrur rehe hai par tumse dur nahi... bondita tumhe ladna hai iss samaj se badlav lana hai iss samaj main har uss kupratha main jisne manav jati ko keval vinaash ki or agrasar kiya hai vada karo bondita ....

Bondita :- main vada karti hu baba main jarrur ladungi badlav ke liye aapki bondita pura karegi aapki icha ko ....

And they burn bondita's father alive

Flashback end

Bondita :- aapne baba ki antim icha ko pura karne ke liye main aapni antim saas tak ladungi....

Aashita :- haa bondita kaka ka sapna jarrur pura hoga or dekhna ek din tuje woh bhi milega jo tere iss sapne ko pura karne main teri madad karega ...

Bondita :- kon??

Aashita :- wahi jisse tera vivah hoga tere pati babu ... ( Both laugh together )

To be continued












Till Eternity जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें