Love....., sounds cool rain , butterflies, bubble etc right but in The era of 1920s ... British era... four people they have their own free world... Different paths but same Destination CHANGE .... they want to change the society but get binded in...
Bondita :- jii kaka sasurji jaisa aapne kaha tha bilkul waise hi sari tyariya kar li hai humne... (Anirudh and yuvraj come out from study)
Kaka :- ye kamsin kali banke kaha chale sahabjade (bondita chuckle)
Anirudh :- kakaaa... Hum kuch kaam se ja rahe hai...
Aashita :- arre agar aap dono chale jayenge to khan baba ko port par lene kon jayega...
Kaka :- bahu khan ne sakht hidayaat di hai koi bhi usse lene na jaye...
Yuvraj :- kaka kuch der main wapas aa jayenge hum..
Kaka :- aacha thik hai jao... Par jaldi aa jana.. (they nod like a obeying kid and leave) chalo bahu ek baar rasoyi main jake sari tyariya aache se dekh lete hai.. (they went to kitchen)
After sometime.. It was almost evening time all RCs were waiting and doing preprations for khan baba's arrival then someone come to their main door...
......... :- bhai jaan... Arre hum aaye or sab kaha chale gaye....
ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Kaka :- kahi nahi gaye... Tumhari hi pratiksha kar rahe hai tabse khan ke bacche... (Kaka hug him with moist eyes)
Khan baba :- humare aane se aapko itna dukh hua ki aansu bahane lage..
Kaka :- itne saal ho gaye bilkul nahi badle tum..
Binoy :- da... jo badal jaye woh khan thodi...
Khan baba :- chote bhai jaan kaise hai aap... (Both hug eachother)
Kaka :- chalo chalo..aab kya sari batain darwaze par hi hongi...
Khan baba :- lagta hai kuch bhul rahe hai aap...
Kaka :- hum..hum tooo....kuch nahi bhul rahe.. kyu Binoy... (In teasing tone) koyli aarti ki thali do... (He did khan baba's aarti then they come inside)
Khan baba :- itna kuch badal gaya tulsipur main... Par aapne ghar ki baat hai juda hai... Aaj bhi waisa hi mehsoos hota hai jaise 7 saal phele tha...
Anirudh and yuvraj :- khan baba... (Khan baba turn and see Anirudh and yuvraj was standing there a wide smile appear on their face the trio hug eachother)
Khan baba :- kuch hi waqt hua hai tum dono ka waha se aaye or aisa lagta hai jaise salo beet gaye... To mere shero kaisa laga aapni mitti main wapas aakar...
Anirudh :- khan baba jaisa aapne btaya tha waisa hi hai sab..
Yuvraj :- thoda kaccha thoda pakka thoda khatta (both Anirudh and yuvraj look at eachother and say)
Both :- thoda mittha... (They laugh together)
Khan baba :- mitha.. (he smell something) khir or sondesh... Ki khusboo hai hawao main... Lagta hai kisi ne bade pyar se khir or sondesh banya hai humare liye...
Kaka :- arre bilkul... bahu.. jaldi aao.. (both Aashita and Bondita come out)
Both :- jii kaka sasurji...
Khan baba :- bhai jaan ye bachiya kon hai or aapko kaka sasurji kyu keh rahi hai..
Kaka :- humari bahuye hai to kaka sasurji hi to kahengi... Ye hai Aashita yuvraj ki patni.. or ye hai bondita Anirudh ki patni... (Khan baba's smile faded away and he look towards Anirudh and yuvraj both Anirudh and yuvraj look down because they know the reason of his glance) Or inse milo bahu ye hai tumhare khan baba (both bondita and aashita join their hands)
Both :- pranam khan baba... (Khan baba smile a bit and keep hand on their head)
Khan baba :- Aallah humesa tum dono ki hifajat kare or khusiyo se tumhara daman bhara rahe...
Khan baba :- nahi bhai jaan abhi safar main kafi kuch khaya hai humne thodi der Anirudh or yuvraj se baat karni hai hume kafi samay ho gaya na inse thik se baat kiye...
Kaka :- haa haa jarrur akhir dil kaha lagega tumhara inke bina... Par aaram se baat karna chalo abhi sanjh ki aarti ka samay ho gayaa hai..(he nod and they all went to temple after doing aarti everyone got busy in some work khan baba went in study after sometime Anirudh and yuvraj come inside)
Anirudh :- khan baba...
Khan baba :- ander aao.. (they go near them )
Yuvraj :- khan baba woh..
Khan baba :- mat kaho hume khan baba kya isliye bharat wapas aaye the tumdono... Vivah... thik hai kiya tumdono ne vivah par yahi sikhaya tha humne tumdono ko.. un bacchiyo ki jindagi se khel gaye tum dono... Btaya hume bhai jaan ne Aashita 18 saal ki hai or bondita..she is just 15 kaise kar sakte ho tum dono...
Anirudh :- humare pass or koi rasta nahi tha khan baba...
Khan baba :- rasta... Ye kaisa rasta apnaya tumdono ne...
Yuvraj :- khan baba ...
Khan baba :- hum... Sirf waja sunna chahte hai... Aise konse haalat the jinke haatho majbur hoke aisa kadam uthaya tumdono ne....
Aashita :- waja main btati hu khan baba.. (the trio look towards door where Aashita was standing) maff kigyega maine aap logo ki baatein suni...(she come inside) Khan baba pati babu ka mujhse or Anirudh babu ka bondita se vivah karne ka sabse bada karan hai humare sapne... Woh sapne jo ye samaj hume kisi bhi roop main dekhne ki izzazat nahi deta maa baba jaldi se kisi bhi vyakti se mera Vivah krana chahte the taki mere sapne samaj main unke apman ka karan na ban jaye... Bondita ke mama mami ne sampoorna didi ke vivah ke liye dhan ikatha karne ke liye bondita ka vivah ek budhe aadmi se tay kar diya.. Uss waqt pati babu or Anirudh babu ne humara haath thama or ye vishwas dilaya ki.. vivah ka matlab kisi ke saath bandhan main bandh jana nahi hota... balki ek dusre ke sapno ko unki khusiyo ko nayi udan dene ko... Rishta kehte hai.. jismain maryada or pavitrata kabhi aapni seema par nahi karti aaj hum jaha bhi pahuche sirf inki ki waja se to aab aap hi btaiye ismain kuch galat hai kya.. (tears start flowing from her eyes khan baba go towards her and wipe tears and keep his hand on her head)
Anirudh :- khan baba bondita ko ye sab nahi pta chalna chiye iss waqt usse ye sab samjhana bhout muskil hai...
Khan baba :- samjhte hai hum.... tumhare sapne jarrur pure honge aakhirkar indono se jada samjahdar ho tum or Bondita...
Yuvraj :- haa.. khan baba bhout Samajhdar hai ye dono ..
Bondita :- aap sab log yaha hai.. maine pure ghar main dhund liya... (Everyone look toward her) kya hua aap sab itne gambhir kyu lag rahe hai...
Aashita :- gambir yaha koi bhi gambhir nahi hai... Khan baba ne bhojan nahi kiya na aab tak to unhe hi bulana tha bojan ke liye....
Bondita :- ye galat baat hai khan baba itne pyar se aapke liye itna sab kuch banaya tha humne or aap hai ki kuch kha hi nahi rahe...
Khan baba :- arre arre jarrur khaynge aab itne pyar se bane bhojan ko na nahi keh sakte...(khan baba leave with bondita)