In RC mention Anirudh and uv came in as kaka called them
Anirudh :- ji kaka khiye...
Kaka :- Anirudh woh sodamini aayi thi batto batto main vivah ki baat hui to yuvi ne usse sach bta diya ki tum abhi usse vivah nahi karna chate ho.... naraz hokar chali gayi woh abb jo baat karni ho khud kar lena... Wese bhi tum kisi ki sunte kaha ho bus badlav badlav or kisi ki fikar kaha hai tumhe ..:.
Anirudh :- ka.. kaka suniye too ( kaka leave without hearing him) Anirudh go to his study and sit .. yuvi enter
Yuvi :- Anirudh tu thik haina
Anirudh :- koi muje samajta kyu nahi yuvi sabne mere sapne ko bus ek fitoor ka naam dekar chhod diya hai..... koi samajta kyu nahi ki ye koi dimagi fitoor nahi avsyakta hai meri hi nahi iss purre desh ki samaj ki ... Ek bhout jarruri avsyakta ...
Yuvi :- sant ho ja Anirudh main samjhta hu na ek din sab samjhege .... Main hu na tere saath ..
Anirudh :- tu saath hai tabhi ti itni himmat jutayi hai maine warna dus warsh ka tha main ja maa muje akela chhod kar chali gayi mere man main jab bhi koi duwidha ya prashani hoti thi to maa humesa hoti thi mere har sawal ka jawab dene ke liye ... sab pareshan ho jaye the mere sawlo se par maa ... Maa ke pas humesa mere sawalo ka jawab hota tha.. tuje pta hai aaj jo bhi mera sapna hai na iski niv maa ne hi rakhi hai...
Flashback
Subra maa :- arre Anirudh beta ruk kitna bhayega aapni maa ko aaja mere bacche bhojan kar le
( note :- Anirudh is 10 year old )
Anirudh :- nahi maa nahi khauga... Phele batiye ki humare sarir ko bhojan ki avsakta kyu hoti hai...
Subra maa :- aacha to aao main batati hu kyu jarrut hoti hai humare sarir ko bhojan ki ... (Anirudh sit on couch with his mother)
Anirudh :- abb batiye (subra maa start feeding him )
Subra maa :- too tumhe khane main luchi , bangun bhaja , bhaat, khir , rosogulle , sondesh aadi sab pasand hai na..
Anirudh :- haa...
Subra maa :- par kyu?
Anirudh :- kyuki ye sab cheese bhout swadist hoti hai maa...
Subra maa :- hmm par kya jante ho bhojan itna swadist kyu hota hai... Ussme mile tatvo ke karan pta hai woh tatav kya hai protein, vitamin ityadi ..jo tumhare sarir main badlav ke liye bhout avsayk hai...
Anirudh :- sarir main badlav matlab maa
Subra maa:- matlab ye ki tumhare ye chote chote haath chote chote pav tumhari lamabai ka badhna
Anirudh :- par kyu maa kyu avsyakta hai badlav ki main chota aacha nahi hu kya!!
Subra maa :- nahi beta tum bhout aache ho par badlav to prakarti ka niyam hai na jiwan ke har paksh main badlav ki avsyakta hoti hai fir chaye woh saririk ho bhotik ho mansik ho ya samajik ...
Anirudh :- saririk, bhotik or mansik badlav ke barre main to main jaan gaya hu par ye samajik badlav kya hai maa..
Subra maa :- samajik badlav matlab samaj main badlav usski pratho main badlav jati pratha , sati pratha or samaj ki sabhi kuprathao main badlav...
Anirudh :- to ye badlav kese aayega maa ...
Subra maa :- ladne se ...har uss samajik burai se har uss kupratha se jo iss samaj ke badlav ke aade aati hai...
Anirudh :- maa aapki baato se lagta hai ki badlav bhout avsayk hai humare desh ke liye main aaj aapse wada karta hu bada hokar main badlav ke liye jarrur ladunga ......
Subra maa :- haa haa Anirudh roy choudhury jarrur ladiyega phele bade to ho jaiye
Anirudh :- or usske liye dher sara bhojan karna padega....
Flashback end.
Anirudh :- or fir kuch samay baad maa to chali gayi ..par chhod gayi mujme ye badlav ka beej or aaj woh beej ek hara bhara vriksh ban chuka or jiski jade muje lagatar badlav ki or kich rahi hai.....
UV :- kaki se kiya hua tera wada jarrur pura hoga Anirudh tu pareshan mat ho iss waqt badlav ek andera rasta hai tere liye or tuje jarrut hai to bus ek mashal ki ek esse saathi ki jo uss rah par tera saath de sake..
Anirudh :- sahi keh raha hai tu aacha main soudamini se baat karni hai main aata hu (Anirudh wipe his tears and go out from his study )
Yuvi :- arre Anirudh ruk to sauda.....fir se nahi bta paya main kuch bhi Anirudh ko...kese batau main usse ki soudamini usse pyar nahi karti hyy durgga maaa please madad kigye meri.... Koi to rasta dikiye abb isse phele ki jada der ho soudamini ke intentions ke barre main sab batana hoga Anirudh ko..
Anirudh go to meet soudamini
Anirudh :- mini... Plz ek baar meri baat sun loo
Soudamini :- chale jao Anirudh yaha se muje tumse koi baat nahi karni ...
Anirudh :- mini meri baat samjne ki kosis karo ... Mene ye to nahi kaha ki main tumse vivah nahi karunga bus kuch samya mang raha hu tumse plz mini meri baat ko samjhne ki kosis karo..
Soudamini :- thik hai mane diya tumhe samay jitna samay chiye le lo pyar karti hu tumse jabardasti saadi karne ko thodi na kahungi ...
Anirudh :- thankyou mini thankyou so much tum nahi janti kitna bda bhoj utar diya tumne mere kandhe par se thankyou...
(Sodamini smile and anirudh leaves)
Sodamini :- chinta mat karo Anirudh bas ek baar vivah karke main roy choudhury’'s ki bahu ban jau fir ye fitoor humesa ke liye bhulwa dungi
tumhein...(smile evily)To be continued...
आप पढ़ रहे हैं
Till Eternity
RomanceLove....., sounds cool rain , butterflies, bubble etc right but in The era of 1920s ... British era... four people they have their own free world... Different paths but same Destination CHANGE .... they want to change the society but get binded in...