Part - 121

441 57 4
                                    

Continue from previous part....

After crying for a long time..
Aashita :- pati babu...(they both parted)

Yuvraj :- Aashi i'm really sorry... please

Aashita :- mujhe doctor nahi banna..(her words shook him from inside)

Yuvraj :- kkk..kkya.. kya kaha tt tumne..

Aashita :- sab sahi kehte hai.. ladkiyo ko ghar main rehna chiye.. ye bahar ki duniya mere liye kabhi thi hi nahi... ye vidhyalay ye padyai sapne hum ladkiyo ke liye kabhi bane hi nahi the..  ek aurrat ke liye sabse surakshit ek hi jagha hai rasoi....ye haath.. kalam nahi kadchi ke liye bane hai..

Yuvraj :- ye tum kya bol rahi ho... Aashita aisa..(Aashita fold her hands in front of him)

Aashita :- Mujhe meri duniya main wapas jane diye.. jameendar babu.. aapki ye duniya mere layak nahi hai... Mujhse kabil or layak ladki jarrur milegi aapko jo Tulsipur ki pheli mahila doctor Banegi..har kadam par aapka saath degi....par mujhse nahi hoga... (Her words totally broke him )

Yuvraj :- thik hai.. agar tum yahi chahti ho to yahi sahi..par meri bhi ek baat sun lo Aashita.. saat din ka samay hai mere pass or in saat dino main agar maine tumhara ye faisla badal kar rahunga nahi badla to main humesa ke liye tulsipur chhod kar chala jauga... (He stood up and go towards door but stop he didn't turn but said) tum kya ho or kya kar sakti ho ye mujhse behtar koi nahi janta tum khud bhi nahi... (Then he leave)

Aashita :- aap kyu zid kar rahe hai.. aab kuch nahi badlega..(again tears fell from her eyes)

It was a dark room only a light bulb was lit up in center a person was tied up on chair his face was covered with a black cloth and his hands were tied up behind the chair.. he was continuesly trying to be free.. then the door get opened and someone enter in the room and remove his mask the tied person was none other then perry Frost...

Perry :- let me go... (The person who come inside keep his feet on arm of chair )

........... :- desperate to go out (the person was Anirudh ) let me go... Yahi kaha tha na Aashita ne.. kaha tha na khud ki shakal dekhne ke liye taras jaoge tum...

Perry :- you will face it.. let me go otherwise...

Anirudh :- otherwise what... mere aapno ko nuksan pahuchane ki galti ki hai tumne.. Anirudh Roy Choudhury kisi ko bhi maff kar sakta hai.. par jo mere aapno ko nuksan pahuchayega usse main kisi layak nahi chhoduga..  perry Frost aab sabke liye past hoga.. is jail ki chardiwari hi abb tumhari duniya hogi...
(Alfie stark was a police officer age 24 and friend of Anirudh and yuvraj he was also standing there.. )

Alfie :- don't worry Anirudh mere rehte ye kabhi yaha se bahar nahi nikal payega issne Aashita bodhi ke saath jo bhi kiya he will pay for it (Anirudh look at him and nod his head then he leave from there)

In night time...
Bondita come in hall ...

Bondita :- kaka sasurji, sasurji, pishi maa ,Pati babu, dada, som dada ,batuk sab jaldi aaiye...(everyone come in hall instead of yuvraj)

Kaka :- kya hua bahu..

Bondita :- woh kaka sasurji... Ek galati ho gayi mujhse...

Binoy :- kaise galti bahu...

Bondita :- woh maine galati se khana bana diya aab aap sab to nahi kahenge... to abb aan ka to apman hoga na... Hain na kaka sasurji...(everyone look at each other and Anirudh give a little smile to bondita)

Kaka :- nahi hoga aan ka apaman bahu hum sab khayenge na...(in mind :- bhout samjhdar hai humari bahu muskil samay main bhi pariwar ko kitne aache se sambhal rahi hai..)

Anirudh :- yuvii...(he look around) yuvraj kaha hai...

Som :- pta nahi dada woh ghar par nahi hai sayad...kafi der se nahi dekha unhe...

Kaka :- jise bhook lagegi woh khud aakar kha lega..tum sab baitho...

Anirudh :- please kaka.. aise to mat kigye...

Kaka :- kya karna hai kya nahi woh tum hume mat sikhao Anirudh...

Anirudh :- thik hai aap woh kigye jo aapko thik lagta hai main woh karunga jo mujhe thik lagega...(he leave every one set on table and had their dinner with heavy heart)

Bondita :- main aashi ko khana khila ke aati hu...(she go to her room with a plate of food) Aashi chal khana kha le..(she keep the plate on table Aashita was sitting on window looking outside)

Aashita :- mujhe nahi khana bondita..(bondita go and sit beside her)

Bondita :- kyu nahi khana hai tujhe...

Aashita :- mujhe nhi khana hai bondita please ja yaha se..mujhe aakela chhod de..(bondita stand and back just in second)

Bondita :- ye dudh dekh rahi hai.. (she mix water in it) iss dudh main se pani ko alag kar de main bina kuch kahe chali jaungi...

Aashita :- bondita tu kyu zid kar rahi hai..

Bondita :- tuuu.. kyu zid kar rahi hai..jab tujhe pta hai main nahi jaungi (Aashita look at other side) dekh Aashi aab bacchi nahi hu main.. sab samajh aa raha hai mujhe.. tujhe kaisa mehsus ho raha hai woh bhi janti hu main par insab main teri koi galati nahi hai.. or jab teri koi galati hai hi nahi to tu kyu khud ko saza de rahi hai yu akele rehkar bhuke reh kar..

Aashita :- galati hai bondita... Galati hai.. sari galati meri hai.. koi dosh nahi dega uss perry Frost ko.. lalchan is pariwar par lagega... Pariwar ka man Samman sab kharab hoga meri waja se... Kaka sasurji sasurji pati babu Anirudh babu yaha tak ki maa baba sabko apmanit hona padegaa mere karan..

Bondita :- ye sab tu kya bole ja rahi hai.. aashi.. main kitni baar bolu issme teri koi galati nahi hai tu kyu nahi samajh rahi hai.. dekh ye sab mat soch.. tujhe aapne sapne pure karne hai..

Aashita :- konse sapne bondita... Sab khatam ho gaya.. mujhe bus aab yaha se jana hai.. iss bojh ke saath main yaha nahi reh sakti ki main sabki muskilo ka karan hu...

Bondita :- aashi tu..

Aashita :- bus bondita jis baat ka koi matlab nahi usse agge mat badha ..(she leave )

Bondita :- abb isse dada ke alawa koi nahi samjha sakta.. hayye dugga maa ye sab kya ho raha hai please sab thik kar digye na..

In Aarohi's room

Aarohi :- Aashita ke saath jo kuch bhi hua thik nahi hua bura lag raha hai mujhe par usse salo purane hadse ke baad insaniyat mar chuki hai meri..
Busss... jameendaro ki beti ho tum (a men say) par jawaan to mera hai.. (a women screem) )
attit ka woh ek ek panna taza hai.. saat din... saat din baad Aashita jayegi is ghar se akele nahi bondita ko bhi lekar.. chahe kitna bhi waqt lage saal do saal dus saal jab tak main in sabko khoon ke aansu nahi rula deti meri aatma ko thandak nahi milegi.. (she wipe her tears )

On bank of river..
Yuvraj was sitting on bank of river putting his feet in water he was looking at stars of clear sky Anirudh come there)

Anirudh :- tu yaha hai.... (He also sit beside him) iss waqt tu yaha kya kar raha hai..

Yuvraj :- jindagi ka koi bharosa nahi hota na Anirudh kab kaha kya badal jaye kuch pta nahi chalta... Tujhe pta hai Aashita ne kya kaha usse abb doctor nahi banna... Usse lagta hai ghar main rehna usske liye sabse surakshit hai... Kaise samjau main usse... Ki ek aurat ke liye ye pura sansar surakshit nahi hai agar woh aise dar kar haar kar baith jaye..
.
.
.
To be continued..







Till Eternity जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें