Part - 95

414 46 7
                                    

Continue from previous parts...

Batuk :- bodhi... Kaha ja rahi hai aap dono...

Bondita :- batuk tum ghar jao hume kuch kitabe lene jana hai...

Batuk :- phir kitabe... Dada ke saath reh reh ke aap dono bhi kitabi kida ban gayi hai..main to chala ghar (after he leave they both go to book store)

Aashita :- dada...

Seller :- kahiye konsi kitab do aapko...

Bondita :- hume aise kitab chiye jisme kinnaro ke vishay main likha ho...

Seller :- chi chi oo baba hum aise kitabe nahi rakhte...

Aashita :- kyu nahi rakhte..or..(she is getting angry Bondita hold her hand)

Bondita :- aap itna bta digye koi or koi dukan hai jaha hume woh kitab mil jaye...

Seller :- yaha ek bhi dukan aisi nahi jaha aapko woh kitabe mil jaye jaieye aab aap dono (they come back home)

They wait for Anirudh and yuvraj for long but went to sleep... at 2am they come... And go to their rooms

Anirudh :- i'm sorry bondita iss baar tum dono ke sawalo ko jawab dekar phir tumhe khatre main nahi daal sakta

Bondita (in sleep) :- pati babu aap kab aayenge mujhe janna hai kinner kon hai or unke saath essa bartaav kyu kiya jata hai...(Anirudh cover her with blanket and come back in study he lie on study couch)

Anirudh :- batana chahta hu main tumhe ki is duniya main sirf aadmi or aurrat hi nahi esse bhout se insaan hai jo humse bhout alag par humare jaise hi hai...i'm sorry (soon he fall asleep)

In Yusita room
Aashita was sleeping on bed he sit beside her

Yuvraj :- sorry Aashi pta hai mujhe ki tumne bhout intazar kiya hoga par tumhare or bondita ke sawalo ka jawab dene main dar lag raha hai kahi har baar ki tarah tumdono kisi khatre main .. sorry par iss baar nahi..(he get up and went to sleep)

In morning bondita wake up and went to study... Anirudh is not there

Bondita :- pati babu ghar nahi aaye...

Same as Aashita wake up yuvi was not in room she come downstairs ...

Bondita :- koyli didi pati babu.. raat ko ghar nahi aaye.....

Koyli :- woh bahu rani ji.. Anirudh babu or yuvraj babu to subha subha nikal gaye...

Aashita :- chle gaye...

Koyli :- haa unhone bola ki main sabko keh du ki bhout Jarruri kaam hai...

*******
A week passed like this... Bondita and Aashita haven't seen both Anirudh and yuvraj from past Seven days.. everyday they come home after they sleep and leave before they wake up... Both of them try to find out about transgender topic but didn't get any information about it

It was Saturday
Both are coming back from school... They saw someone on clif the person was standing on edge..

Aashita :- bondita woh aadmi...(both run and pull that boy)

Bondita :- pagal ho gaye hai aap ye kya karne ja rahe the...

Boy :- mar jane to mujhe iss samaj main meri koi jagha nahi...

Aashita :- aisa kyu bol rahe hai.. aap or Aisa kya ho gaya jo aap atamahatya karne ja rahe the...(ganga come there)

Ganga :- Arun...

Bondita :- ganga....

Ganga :- aap dono yaha.. bhout bhout Dhanyawad us din aapne meri madad ki or aaj isse bhi bachaya...(to arun) pagal ho gaya hai tu.. haa..

Arun :- to kya karu main.. ye samaaj jo hume til til kar maarta hai usse aacha to hum ek baar main hi mar jaye na..agar main baki mardo jaisa nahi hu to isme meri kya galti hai... Ya payal ki kya galati thi....kya galti thi usski agar woh dusri aurrato ki tarh nahi thi....

Bondita :- ye sab kya bol rahe hai kon payal... Or aap kyu atmahatya kar rahe please bhagwan ke liye kuch to batiye....

Ganga :- aap dono ne humari bhout madad ki par kripya aap dono iss baat par jada mat sochiye...bus itna samajh ligye ki iss duniya main aadmi or Aurrat hi nahi aise bhout se log hote hai jo unse bhout alag hote hai... (She leave hurriedly with Arun)

Aashita :- Ganga.... (She sit on big rock)
Ho kya gaya hai sabko koi kuch bata kyu nahi raha... Jisse bhi pucho sab tal dete hai...or pati babu or Anirudh babu pta nahi kaha gayab ho gaye.. haad hoti hai kisi cheese ki...

Bondita :- aab ek hi jagha hai British library....

Aashita :- paise hai tere pass British library main books kharidne ke liye..ghar chal(she drag her with her) 

At home...
Bondita :- itna gussa kyu ho rahi le thanda pani pi... Or ye dekh gulak (she throw it on ground and collect the money)

Aashita :- main aapna bhi lekar aati hu..(she also bring her gulak and broke it)

Bondita :- pure 50 rupey dugga maa itne sarre paise humare gulak main kese aaye...

Aashita :- pta nahi andaze se to bhout kam paise dale the na hume aapne gulak main..par humare pass paise to hai abhi chal warna kal library band rakhegi..(both leave and go to British library)

(In Barrister office cabinet)
Anirudh(on call) :- haa maine yachika dayar kar di hai... I'm sure court ka faisla humare favour main ho...

(Hospital cabinet)
Yuvraj (on call) :- hmm.. kyuki aab or nahi bhag sakte... Ek baar ye rule ban jaye phir sab thik ho jayega... (They hang up the call)

In British library...
Bondita :- excuse me mother do you have any book on transgenders... flashback
Aashita :- iss dictionary main likha hai kinner ko English main transgender kehte hai....

Bondita :- finally.. kamse kam ek translation to mila...
Flashback ends...

Mother :- wait let me check (she come with a book after some time) here its is..

Bondita :- how much...

Mother :- ten ruppes (they pay for the book and go to bank of river their haven't change their school dress both remove their shoes and socks and sit on bank by putting their feets in water..

Aashita :-  'theories of new understanding' (both start reading the book after an hour both complete their reading and close the book

Bondita :- aab ek ek baat samajh aayi..  is duniya main sirf transgenders hi nahi gay or lesbians bhi hote hai...
Isska matlab ganga ek aadmi hai.. par usske ander female genes hai....

Aashita :- or Arun ek gay..tabhi to usse kaha tha ki woh baki mardo jaisa nahi or woh naam kya tha.. payal payal ek lasbian thi tabhi ussne kaha ki woh baki aurrato jaise nahi thi..par payal ke saath hua kya ....

Bondita :- abb sabse bada sawal hai ye hai ki uss din ganga ko sab chune se kyu mana kar rahe the... Issme unki kya galati hai... Pati babu dada kaha hai aap...

Aashita :- aap dono hi de sakte hai humare sawalo ke jawab...

Bondita :- ek ke baad ek sab ulajhta hi ja raha hai.. agar iss book ki mane to transgender ho gay ho ya lasbian sab wese hi janam lete hai...to isme un sab ki kya galti ye galat ho raha hai bhout galat ganga ho ya arun unhe samj main rehne ka pura haq hai ye banawati samaj unse unka ye adhikar nahi chin sakta (they come back at mention )

To be continued....

Till Eternityजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें