Chapter 34

592 32 24
                                        

Banglore January 25, 2015

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Banglore
January 25, 2015

Zayn ghar aaya toh uska sans lena bhi mushkil lag raha tha. Chhati mein ek bojh tha, jo uske andar ki har awaz ko daba raha tha. Woh kamre ke kone mein rakhe jaa-namaz ki taraf dekhta raha. Uska dil dhadak raha tha lekin ajeeb bechaini ke sath. Usne jaa-namaz uthaya, bichhaya, aur Dil hi Dil mein takbeer keh kar khud ko Allah ke samne khada kar diya.

"Allahu Akbar."
Usne dono haathon ko uthaya aur kaan tak le gaya, phir hath baandh liye. Uski awaaz dheemi thi, magar andar ka dard har lafz mein samet chuka tha.
"Subhanaka Allahumma wa bihamdika, wa tabaarakasmuka, wa ta’ala jadduka, wa la ilaha ghayruka."

Har lafz ke sath uska dard zehan mein ghoom raha tha. Muskan ki aahatein, uska chehra—sab uske samne zinda tha, jaise woh yahin kahin ho.

"Subhana Rabbi al-Azeem."
Usne teen martaba ye alfaz dohraye. Phir woh sidha khada hua:
"Sami' Allahu liman hamidah. Rabbana laka al-hamd."

Aansoo uske gaal par behtay ja rahe the. Uska chehra puri tarah se gila ho chuka tha. Phir woh sajde mein gaya.

"Subhana Rabbi al-Ala." Woh baar baar yeh alfaz dohraye ja raha tha, jaise yeh tasbih uske dil ke bojh ko halka kar degi.

Woh har sajde mein apna bojh Allah ke samne rakh raha tha. Har lafz ke sath woh apne dard ko samet raha tha. Har tasbih uske dil ke us kone ko chhoo rahi thi, jahan ab sirf ek khaali pan tha. Namaz ke har hisse mein uske aansoo behte ja rahe the. Har sajde mein woh apne gham ko Allah ke hawale kar raha tha.

Namaz khatam karne ke baad, usne dono haath uthaye aur apne behte hue aansoo pochhne ki koshish ki. Lekin woh roka nahi ja raha tha. Uski awaz kaamp rahi thi,

"Woh mere dil se kyun nahi nikal rahi,?

Main useh kyun nahi bhool paa raha?

Mujhe us se itni mohabbat kab ho gayi?

Mujhe us se itni mohabbat kyun ho gayi?"

Har lafz ke sath woh zyada girta ja raha tha. Woh apne haath se apni chhati daba raha tha, Woh jaise saans leta, uske sine mein dard hota.

"Main apne aap ko bhoola chuka hoon.

Main ab woh nahi raha jo main hua karta tha.

Mohabbat mere liye azab kyun ban rahi hai?

Main uske liye itna kyun tadap raha hoon?

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now