Chapter 37

139 12 7
                                    

Raat ke 3 baj rahe thay

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Raat ke 3 baj rahe thay. Zayn ne apne room ka darwaza khola, dheere se hallway cross kiya aur neeche garage ki taraf chala gaya. Har cheez chup thi, sirf uske pairo ki aawaz sunai de rahi thi. Garage mein pohanch kar usne motion lights ko on hota dekha. Ek kaali gaadi kapde mein dhaki hui thi, jo uska intezar kar rahi thi.

"Long time no see, my love," usne gaadi se kaha.

Zayn ne kapda khincha aur zameen par phek diya. Darwaza khola aur steering wheel ke saamne baith gaya. Usne engine start kiya, ek gehri saans li aur accelerator par pair rakha.

Sarrak par nikalte hi woh ek sunsaan road ki taraf gaya, jahan street lights bhi nahi thi aur CCTV cameras bhi nahi. Har taraf sirf andhera tha-gupt, gehra, aur khamosh. Headlights band karte hi woh pura road andheray mein doob gaya.

Har cheez mehsoos ho rahi thi-hawa ka cheekhna, steering wheel ka kampna, aur woh sukoon jo kahin bhi nahi tha.

Ek gehri saans lete hue usne socha:
"kya meri zindagi itni be-matlab thi ki main is andheray sadak ka rukh kar loon? Kya ek ladki ke bina main kuch nahi hoon?"

"Mein ek ladki ke liye rone walon mein se nahi hun." Usne saamne sadak ko dekhte hue kaha.

Usne accelerator par aur zor diya, speedometer ki sui tezi se badhne lagi. Speedometer ki sui ab 280 km/h par thi. Uski har saans bhaari thi, jaise woh khud se bhaag raha ho. Andhera aur ghutan usse daba raha tha, aur woh sirf ek cheez mehsoos kar raha tha-khud ki barbaadi.

Ek police ki gaadi side par lagi thi, jisme do officers maujood thay. Ek officer ne kaha, "Relaxing kaam hai yaar. Bas gaadi mein baithe raho aur khaate jao." Tabhi unka speed device ek dum se on hua: 280 km/h.

"Yeh kya tha?" Officer ne chonkte hue dusre officer ki taraf dekha. Dusre officer ne radio uthaya aur bechaini se report karne laga.

"Control, ek gaadi road no. 12 se guzri hai. High speed. Backup bhejein," doosre officer ne report kiya.

Par Zayn ki gaadi jaise hawa thi, bina trace ke highway par guzarti gayi.

Zayn janta tha uske pichhe police hai aur woh apni kabiliyat se bhi waqif tha. Woh yeh janta tha use koi nahi pakad sakta tha.

_____

Khalid ke table par phone rakhte hi phone firse bajne laga. Unhone phone uthaya aur salam kiya. Salam ka jawab sunte hi uss aadmi ne apna taaarf diya.

"Mr. Khalid, main ACP Mehmood bol raha hoon. Kal raat ki ek report mili hai. Ek black BMW jo unregistered number plate ke saath thi, woh bohot high speed par thi. CCTV footage mein uska trace mila hai. Aur hum jante hai woh Zayn hi hai. Woh bina street lights wale road par gadi chala raha tha aur headlights bhi off thi! Yeh banda pagal hai kya? Aapka beta bilkul out of control ho gaya hai. Kya woh marne ki koshish kar raha tha? Yeh koi mazaak nahi hai, Mr. Khalid. Uski wajah se kisi aur ko chot lag sakti thi. Aap is mamle ko foran serious lein, warna humein gaadi ko detain karne ke saath-saath use arrest bhi karna padega!"

"Ji mein baat karta hun." Keh kar Khalid ne phone rakh diya. Kuchh der baad unhone Zayn ko kamre mein bulaya.

"Dad, aapne bulaya?" Zayn ne puchhte hue kamre ke andar qadam rakha. Khalid ne bina koi jawab diye, bina ek lafz kahe, uske chehre par ek zor ka thappad jod diya.

Zayn kuch der ke liye hosh-o-hawas kho baitha. Uske hathon ki ungliyan dheere se apne chehre ko chhu gayin, jaise yakeen karne ki koshish kar raha ho ke jo abhi hua woh haqeeqat tha. Uski aankhein chand lamhon ke liye Khalid ki taraf dekhti rahi.

"Dad, kya ho gaya?" Zayn chonkte hue bola.

"Kya chahte ho tum? Kya tumhe apni zindagi ki koi kadar nahi? Kya kar rahe the tum kal raat uss sunsaan sadak par? Marne gaye the ?" Khalid ka gussa saaf tha.

"Main marne nahi gaya tha, Dad!" Zayn ne kaha, uski awaaz mein bhi ab gussa saaf tha. "Agar itni si baat samajh nahi aati toh kya faida?"

"Toh phir? Another rush of adrenaline? Tum kab yeh adrenaline ki bakwas khatam karoge? Kab samjhoge ke zindagi koi khilona nahi hai?" Yeh khel kab khatam hoga?" Khalid ka gussa ab bhi bhadak raha tha. "Aur agar uss ladki ke liye marna chaahte ho, toh yeh aur bhi sharam ki baat hai!"

Zayn ki shakal badal gayi. "Main ek ladki ke liye apni jaan kyun dunga? Pagal nahi hun mein!" usne ek garajti awaaz mein kaha.

Khalid ne naram lekin sakht lehje mein kaha, "Beta, woh ladki zarurat nahi hai. Zarurat sirf Allah ki hai. Tumhara dard, tumhara gussa sab isi liye hai, kyunki tumne Rabb ko bhula diya hai."

"Bakwaas" Zayn ne dheeme lehje mein kaha.

Khalid ne aaine ki taraf ishara karte hue kaha, "Toh jao, aur apni shakal dekho." Zayn ne unhe ek pal ke liye ghoora aur kamre se nikal gaya.

Apne kamre mein jaane ke baad Zayn aaine ke samne khada ho gaya. Usne apni shakal dekhi-ankhon ke neeche kali lakeerein, ek udaasi jo uska peecha nahi chhod rahi thi.

"Yeh main hoon?" usne dheeme se kaha.

Usne apne shelf ki taraf dekha, jahaan ek Quran dhool mein lapeta hua tha. Usne apne haath uss taraf badhaye, lekin phir peeche hata liye.

"Main ek mamuli ladki ke peechhe apni zindagi barbaad nahi kar sakta. Agar woh meri kadar nahi karti aur mujhe chhod kar gayi toh yeh uska loss hai mera nahi. Mein kyun shok mana raha hun? Ab bhaad mein gaya yeh mohabbat ka natak." Zayn ne apne aap se kaha.

Usne apne baalon mein hath ferte hue khud ko ek aur baar aaine mein dekha. Use ab khud par taras nahi gussa aane laga tha.

___________________________________________

___________________________________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

___________________________________________

Assalam o alaikum

Hey everyone! I know Zayn's journey is full of twists and turns, and in this chapter, you're getting a glimpse into his internal struggle. He's at a crossroads-caught between his pride, pain, and the unresolved feelings for Muskan. While he's convinced that moving on is the right choice, deep down, the wounds are still there. He thinks he's done with love, but life, as always, has a way of proving us wrong.

Let me know your thoughts in the comments-I'd love to hear what you think about his transformation and whether he's really done with Muskan or just trying to convince himself.

Lots of love ❤️🧡💛💚💙💜🤎🖤🤍💘💝💖💗💓💞💕💟♥️❣️❤️‍🩹❤️‍🔥🫀🫶🫰

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: 17 hours ago ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now