Zayn apne cabin mein khamoshi se baitha tha. Uske samne laptop khula tha, lekin uska dhyan kahin aur tha. Usse ab lagne laga tha ke yeh talash bekaar thi. Uske zehan mein Khalid ke alfaz ab bhi ghoom rahe the.
"Dekho Zayn, tum uske peechhe apni zindagi barbaad kar rahe ho."
Zayn us waqt kuch nahi bola tha, lekin uske andar ka sach Khalid ke har lafz ko tasdiq kar raha tha. Itne mahine ho chuke the, aur Muskan ke baare mein use ab bhi kuchh nahi pata tha.
"Mahira ke saath jo kuch tumne kiya, woh bhi theek nahi tha, Main samajhta hoon ke agar tumhe Mahira pasand nahi thi, toh yeh tumhara haq hai. Lekin tumhe aage toh badhna hoga. Tum is halat mein kab tak rahoge? Maine ek ladki dekhi hai. Usse jaa kar milo. Faisla ek din mein mat lena, lekin khud ko aur uss ladki ko ek mauka zarur do."
Ab, apni chair mein baitha, woh is baat ko samajh chuka tha ke usne Muskan ke jazbat ko galat samjha tha. Shayad woh kabhi uske liye mohabbat thi hi nahi. Shayad woh bas ek dost thi, aur woh dosti bhi usne nahi nibhayi. Uska intezar aur uske jazbat bekaar ho chuke the.
Usne geheri saans li, apne laptop ko band kiya aur apni kursi se uth kar office se nikal gaya. Usne move on karne ka faisla kar liya tha.
Shehar ki sarrak par chalti gaariyon ka shor, uske dil ke khaali pan ko bhar nahi pa raha tha. Zayn ek restaurant ke samne ruk gaya. Andar jaane se pehle usne ek gehri saans li.Andar har cheez chamak rahi thi. Mehez yeh chamak uski aankhon ko chubhti thi. Samne ek larki baithi thi-balki ek aur "koshish." Uska naam Nisha tha. Mehez kapdon aur make-up ke peeche chhupi ek shakhsiyat, jo use sirf dikhawa lagti thi.
"Toh, tumhare liye waqt nikalna mushkil hota hoga," Nisha ne halki muskaan ke saath kaha. Uska lehja jaise kisi script ka hissa lagta tha-saaf, magar adhoora.
"Han, kaam kaafi demanding hota hai," Zayn ne utni hi banawati muskraahat ke saath jawab diya. Uska lehja shareek-e-gohar tha, magar nazar khidki ke bahar kahi aur thi.
Nisha ne mazeed kuch kaha, magar Zayn ko uski ek bhi baat samajh nahi aayi.
Woh apni kursi se halka sa peechay jhuka aur gahri saans li. Kya yeh larkiyan, yeh rishte, yeh meeting uske dil ko bhar sakti thi? Nahi, yeh sirf ek farz tha jo woh khud par thop raha tha. Ek koshish jo uska zakham aur gehra kar rahi thi.
---
Zayn ne apne phone ko side table par rakha aur apne balon mein haath pherta hua sofa par gir gaya. Usne kal raat ka ek aur dinner yaad kiya. Ek aur milne ki koshish, ek aur bekaar guzari shaam. Us larki ka naam kya tha? Misha? Ya Nishat? Ya shayad kuch aur? Kya farq padta hai?
Woh sari raat us larki se baatein karta raha tha, lekin har baat ek hi chehre ki taraf le jaati thi. Muskan.
Ab tak usne kitni larkiyon se milne ki koshish ki thi? Har dafa woh sochta tha ke shayad iss baar sab kuch theek ho jaayega, lekin har dafa woh aur zyada akela mehsoos karta tha. Uske dil mein ek khali pan tha, ek aisi jagah jo sirf ek insaan bhar sakta tha.
Usne apne aap ko behlane ki koshish ki, lekin ab woh samajhne laga tha ke yeh sab bekaar hai. Woh jitna usse bhoolne ki koshish karta, woh utni hi use yaad aati thi.
__________________________________________
Author's Note:
Assalam o alaikum,
Hieeee everyone.I hope you enjoyed this emotionally charged scene where Zayn's inner turmoil takes center stage. His struggle to move on from Muskan and the emptiness he feels despite trying to rebuild his life speaks volumes about how deeply love can impact someone. It's not just about forgetting a person; it's about healing a part of yourself that feels incomplete without them.
And now, here's a tiny spoiler for you-Zayn's journey is far from over. Sometimes, just when you think you've lost everything, life has a way of surprising you. Maybe his path and Muskan's aren't as disconnected as they seem. Will Zayn's pain push him towards growth, or is destiny planning something unexpected for him? Keep reading to find out!
Thank you for being a part of this journey. Your support means the world to me, and I can't wait to hear your thoughts on this chapter!
Lots of loveee
❤️🧡💛💚💙💜🤎🖤🤍💘💝💖💗💓💞💕💌💟♥️❣️❤️🩹❤️🔥🫀🫶🫰
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...