A love story of Umar Jehangir and Aleezay Sikandar, set-up in the backdrop of Pakistani bureaucratic culture. It is not written by me its written by umaira Ahmad...
The story will be narrated between past and present to try not to skip anything to understand everything...
~Present
"Umar aa raha hai parso."
Lunch par Nano ne achanak se usse kaha.Wo khana khana bhool gayi...
"Parso aa raha hai? Aapko kisne bataya?"
Usne bechaini se Nano se pucha."Tum uss waqt so rahi thi, wo bhi tumse baat karna chah raha tha, magar mene jab ye bataya ki tum so rahi ho, to phir usne jagane se mana kar diya."
Nano ne tafsil batayi thi.Alizey ke chehre par muskurahat ubhri...
"Chuttiyan guzarne aa raha hai?" Usne pucha
"Haan yahi samaz lo, foreign service chod raha hai, keh raha tha, chand haftey tak Police Service join kar lega."
Aliza ko hairat ka jhatka lga...
"Umar aur Police Service! Mujhe yakin nahi aa raha Nano. Itni achi post chod kar, aakhir wo karega kya yahan. Uncle ne use kuch nahi kaha?"
Use ab bhi yakin nahi aa raha tha."Jahangir se uska koi jhagda ho gya hai. Usne mujhe tafsil nahin batayi lekin they are not on talking terms now a days."
"Isme esi konsi nayi baat hai, ye to pichle kayi saal se ho raha hai." Aliza ko wakayi koi herani nahi hui thi.
"Haa magar abhi phir koi jhagda hua hai dono mein, ab aayega to pata chalega ke kya hua."
Nano bhi jyada fikr mand nahi lag rahi thin.
"Yahi rahega kya?" Usne Nano se pucha.
"Haan. Keh raha tha posting milne tak yahi rahega.
Mujse puch rha tha ki tumare ya apne liye kisi chiz ki jarurat ho to use bata dein, wo le aayega. Apne liye to mene kuch nahi kaha lekin tumare liye kuch perfumes laane ke liye kaha tha. Meri baat par wo hasne laga..."Aliza ke zehen mein be ikhtiyar ik yaad tilmilai.
"Keh raha tha ye to koi mangwane wali cheez nahi hai, janta hoon Aliza ke saamne jaunga to perfumes ke bagair kaise jaunga. Phir mene usse kaha ki kuch acchi kitabein le aaye tumare liye, khaas taur par painting ke baare mein koi nayi kitaab."
Nano use batati gayi thi."Aapne ese hi takalluf di Nano."
"Arey nahi, wo khud israr kar raha tha.
Khair, tum zara uske liye kamra set karwa dena, aur annexy bhi zara saaf karwa dena. Uska saar saaman bhi aa raha hai. Abhi filhal to yahi rakhwayega, phir jab posting milegi to le jayega."
Nano ne use hidayat dete hue kaha tha.
Phir wo lunch karne ke baad uth kar chali gayi thin.Wo bahot der tak wahin baithe bahot kuch sochti rahi thi. Zehen mein bahot kuch taza hota jaa raha tha.
"To Umar Jahangir aakhirkar tum waapas aa hi rhe ho"
Usne muskurate hue socha. Phir kuch zehen mein aane par woh uth kar us kamray ki taraf aa gayi jahan wo hmesa theharta tha. Darwaza kholte hue use bahot khushgawar sa ehsas hua tha. Wo aksar is kamray mein aa kar waqt guzarti thi, aur hmesa hi yahan aa kar usey yun lagta jaise woh yahin kahin mojood tha.Uski rocking chair usey saakit haalat mein bhi isi tarah jhulati hui nazar aati thi, jis tarah woh use jhulaya karta tha. Har cheez par jaise uska lams tha. Har taraf uski jaise aawaz goonjti thi. Wohi dheema, gehra aur thehra hua lehja, wohi pur sukoon, dil ke kahin andar tak utar Jane wali awaaz, aur phir wohi khilkhilate hue be ikhtiyar hasna, is kamray mein aa kar jaise sab kuch zinda ho jata tha.
Illusion aks ban jata tha aur aks haqeeqat ban kar uske ird gird phirne lagta tha. Kamray mein wohi makhsoos khushboo basi hui thi. Umar ke istemal mein aane wali choti choti cheezein isi tarah apni jagah par thi jaise unhein kal hi rakha gaya ho.
Usne yaad karne ki kosis ki, pehli baar woh kab aaya tha. Use apne zehen par zor nahi dena pda. Use acchi tarah yaad tha ke woh kis saal kis mahine kis tareekh kis din aur kis waqt aaya tha. Baaz baatein aap kabhi bhoolna nahi chahte.
Aur woh kab gaya tha, usey ye bhi yaad tha. Baaz baatein aap kabhi yaad rakhna nahi chahte. Aliza ke liye tab se aaj tak woh yahi tha, usi kamrey mein, kamas-kam uske liye...
Use apne piche darwaza khulne ki aawaz aayi thi, wo be ikhtiyar palti.
"Acha kya tum abhi ye kamra drkhna aagyi, mene socha mein bhi aik nazar daal hi loon."
Nano andr aa gyin thin. Chand lamhe woh tanqeedi nazaro se kamray ka jaiza leti rahi, phir jaise mutmain bhi ho gayin."Mera khayal hai ki sab kuch theek hi hai, lekin phir bhi tum zara har cheez ko achi tarah check kar lena. Mein nahi chahti ki use yahan koi takleef ho."
Nano mud kar kamray se nikal gayi thi.Wo dressing table ki taraf badh gayi thi aur wahan pada hua aik perfume usne hath mein le liya. Aahista - aahista usne perfume ka dhakkan utar kar khushboo ko mehsus krne ki kosis ki. Be-ikhtiyar muskurahat uske hoto par aayi.
Aik baar phir ek image uske zehen par lehraya tha. Usne dressing table ke aayine ko dekha, waha ek dam koi aur nazar aane laga tha. Wahin usi jagah chand saal pehle...
Wo be-ikhtiyar chand kadam piche hatt gayi. Use apni gardan aur baalo par phwaar parti hui mehsus hui thi...
_______ _______ _______ _______ _______ ________ _______ _
Hey birdies, don't forget to follow and like.
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...