☆☆☆
Aleeza Nanu ke sath laonj mein hi baithi hui thi, jab usay bahar porch mein kisi gaari ke ruknay ki aawaz aayi.
"Shayad Shehla aayi hai."
Nanu ne us se kaha."Nahi yeh Shehla ki gaari ki aawaz nahi hai."
Aleeza ne kuch ulje hue andaaz mein kaha. Usi waqt Umar laonj ka darwaaza khol kar andar daakhil hwa. Aleeza be ikhtiyar khush hui. Kuch der pehlay woh be basi ke jis ehsas se do chaar thi, woh yak dam gayab ho gaya tha."Hello."
Umar ka lehja bilkul Khushgawar nahi tha. Us ke chehray par sanjeedgi thi."Acha hwa Umar tum aagaye. Yeh Aleeza bohat pareshan ho rahi thi. Phone dead hai aur bahar mojood police guard kisi ko andar anay day raha hai nah hi bahar jane day raha hai. Aleeza market tak jana chahti thi tum usay le jao."
Nanu ne Umar ko dekhte hi kaha."Market tak kis liye?"
Umar ne Aleeza ko barray ghhor se dekhte hue kaha. Woh ab uske qareeb sofa par baith raha tha."Woh Shehla ko phone karna chahti hai."
Nanu ne kaha ."Kis liye?"
"Woh usay bulana chaah rahi hai yahan."
"Theek hai mera mobile le lo, is par call kar lo usey."
Umar ne apna mobile uski taraf berhate hue kaha."Haan is par call kar lo."
Aleeza ne us se mobile le liya aur uth kar khari ho gayi."Tum kahan ja rahi ho?"
Umar ne usay uthte dekh kar toka."Apne kamray mein..."
"Mere samnay baat karo Shehlase..."
"Haan Aleeza yahin phone kar lo."
Nanu ne bhi mudakhlat ki. Aleeza ne choank kar Umar ko dekha, uske chehray par sanjeedgi ke ilawa aur kuch bhi nahi tha."Woh... nahi nanu! mein yahan phone nahi kar sakti."
Us ne laonj se nikaltay hue kaha."Granny mein abhi aata hon."
Aleeza ne chaltay chaltay Umar ko kehte suna, woh ab uski taraf araha tha. Aleeza kuch heran ho kar usay dekhnay lagi. Woh ab uske qareeb aakar barri narmi se uske haath se mobile le raha tha."Aao tumahray kamray mein chalein, kuch baatein karni hain tum se."
Woh qadray madham magar mohakam aawaz mein keh raha tha."Mujhe bhi aap se kuch baatein karni hain."
Woh uske sath chaltay hue boli. Woh dono kamray mein aagaye. Kamray ka darwaaza band karte hi Aleeza ne Umar se kaha."Aap ne dekha Abbas ne un charon ke sath kya kiya hai?"
Umar ne uski baat ka jawab dainay ke bajaye us se kaha."Aleeza baith jao aur phir baat karo."
Woh sofa par baith gayi ."Abbas ne un charon ko qatal kar diya hai, yeh keh kar ke woh police muqablay mein maaray gaye. Yeh sab jhoot hai...aap to achi terhan jantay hain. Sab kuch aap ke samnay hi to hwa tha."
Umar ab khud bhi dosray sofay par baith gaya tha aur barray itminan se usay dekh raha tha."Usne charon ke sath wohi kiya jo uncle Ayaz ne Shahbaz ke sath kiya. Mujhe ab aap ki baat par yaqeen agaya hai, aap tab sach keh rahay thay..."
Woh kehti ja rahi thi, Umar ne kisi radd amal ka izhaar nahi kiya."Aap Shahbaz ke baray mein kuch nahi kar sakay, magar un charon ke baray mein hum bohat kuch kar satke hain, aap aur mein gawah hai... sab kuch hamaray samnay hwa tha. Hum Abbas ko aik ghalat kaam ke liye saza dilwa satke hain."
Woh ab bhi be ta-assur chehray ke sath usay dekh raha tha."Kya yeh zaroori hai ke har ghalat kaam karne ke baad Abbas aur uncle Ayaz jaisay log barri aasani se bach jayen. Kabhi to unhen yeh ehsas hona chahiye ke woh ghalat kar rahay hain. Woh har kaam ghalat tareeqay se kar rahay hain, un ke nazdeek kabhi insani zindagi ki ahmiyat kyun nahi hai."
Usay baat karte karte mehsoos hwa ke Umar ne ab tak uski kisi baat ki taied nahi ki thi, nah muh se nah chehray ke kisi ta-assur se. Woh yak dam khamosh hogai. La shaori tor par woh yeh tawaqqa kar rahi thi ke Umar uski har baat ki nah sirf taied kere ga balkay foran us ki madad ki hami bhi bharay ga. Magar woh... Woh uske samnay be ta-assur chehray ke sath bilkul khamosh betha hwa tha.
YOU ARE READING
Amar Bail
RomancePresenting The Novel "Amarbail" written by Umera Ahmed in English language. Join the heart-wrenching journey of Aleezay Sikandar and Umar Jehangir. A story that beautifully portrays the intensity and sacrifices that love can entail. © All Rights Res...