Part 30

259 7 5
                                    

~Present

Woh us din Feroz sons se kuch kitaaben lainay gayi thi. Shehla uske sath thi. Kitabein dekhte hue woh dono mukhtalif hisson ki taraf barh gayeen. Woh aik kitaab ka flip parhnay mein masroof thi, jab usne apni pusht par aik aawaz suni. Kisi ne uska naam liya tha. Be ikhtiyar usne palat kar dekha aur chand lamhoon ke liye sakit reh gayi. Woh junaid ibrahim tha.... Fori tor par uski samajh mein nahi aaya ke woh usay kiya response day. Woh ab muskorata hwa uski taraf aa raha tha. Woh koshish ke bawajood muskar nahi saki. Gardan mourr kar usne haath mein pakri kitaab ko band kiya aur wapas rakh diya.

Junaid tab tak uske qareeb pahonch chuka tha. Rasmi si salam dua ke baad usne Aleeza se kaha.

"Mujhe tawaqqa nahi thi ke aaj aap se yahan mulaqaat hogi..."
Woh sapat chehray ke sath usay dekhatii rahi. Chand haftay pehlay Bhorban mein uske sath honay wali mulakaton ke nateejay mein peda honay wali garam joshi yak dam hi kahin gayab ho gayi thi. Junaid ne us tabdeeli ko foran mehsoos kar liya tha.

Uske andaaz o atwaar mein khasi sard mehri thi. Woh qadray khafeef ho gaya.

"Haan mujhe apna waqt zaya karne ka khasa shoq ho raha hai aaj kal... mein jagah jagah isi terhan ki sar garmion mein zaya karti phir rahi hon."
Junaid samajh nahi saka, woh kis sargarmi ka zikar kar rahi hai. Usne aik kitaab ki taraf haath berhate hue kaha.

"Achi kitabon ki talaash karna koi ghair munasib sargarmi nahi hai, nah hi aisi sargarmi hai jis par koi waqt zaya karne ka label laga sakay."
Usne laa mohala yahi andaza lagaya ke woh apne wahan anay ke baray mein baat kar rahi thi. Aleeza ne sir utha kar dekha. Junaid ke chehray par itni sanjeedgi thi ke usay be ikhtiyar ajeeb si sharmindagi hui.

'Shayad mein waqai har qisam ke adab aadaab bhulte jarahi hon..."
Usne dil mein socha.

"Aap Bhorban se kab aaye?"
Woh baa-mushkil apne chehray par aik numaishi muskurahat layi.

"Kaafi din ho gaye..."
Junaid ko uske chehray par muskurahat ubharti dekh kar ajeeb si tasalii hui.

"Aap ka kaam khatam ho gaya?"

"Nahi, mukammal tor par to nahi magar barri had tak..."

"Dobarah kab jarahay hain?"

"Abhi fori tor par to nahi jaoon ga. Kuch arsa ke baad chakkar lagaun ga."
Woh khamosh ho hogayi. Aur kya sawal kiya jaye, kisi aisay shakhs se, jis jis ke liye aap ke paas koi haqeeqi sawal nah ho. Woh soch mein gum thi.

Uska andaza tha ke Junaid ab us se apne proposal ke baray mein baat zaroor kere ga. Uska andaza durust saabit nahi hwa. Woh bhi ab khamosh tha. Shayad woh khud bhi samajh nahi pa raha tha ke woh Aleeza se kya baat kere ya phir Aleeza ke tasurat ne usay kuch mohtaat kar diya tha.

"Aap akeli aayi hain?"
Chand lamhoon ke baad Junaid ne phir khamoshi ko tora.

"Nahi. Meri friend mere sath hai."
Aleeza ne Shehla ki taraf ishara karte hue kaha. Junaid ne gardan mourr kar us taraf dekha, jahan woh ishara kar rahi thi phir us ne muskuratay hue ravani mein kaha.

"Shehla...?"
Woh mun khole Junaid ko dekhnay lagi palken jhapkay baghair kisi buut ki terhan.

Junaid ne gardan mourr kar usay dekha aur phir be ikhtiyar usay apni ghalti ka ehsas hua.

"Meri behen bhi mere sath aayi hui hai."
Usne bohat taizi se baat ka mauzo bdalty hue kaha.

"Woh wahan..."
Usne kuch faaslay par khari aik larki ki taraf ishara kiya, jis ke sath paanch chay saal ka aik chhota sa bacha bhi khara tha.

Aleeza ne us larki ki taraf dekhnay ki koshish nahi ki. Woh ab bhi palken jhapkaaye baghair Junaid ko ghoor rahi thi.
Junaid uske tasurat se kuch gurbara gaya.

Amar Bail Where stories live. Discover now